Dil Toot Gaya, Dimagh Jeet Gaya. FIFA World Cup 2022 Mein Morocco Ka, Africa Ka, Arab World Ka Aur Muslim Dunya Ka Safar Khatam Ho Gaya. Defending Champion France Nay 2nd Semi Final Mein Morocco Ko 2-0 Say Hara Dia Hay. Youn 18th December Ko World Cup Kay Liay Argentina Aur France Aamnay Samnay Hon Gay. Yani Lionel Messi vs Kylian Mbappé, No. 10 vs No. 10.

Start Hi Lead Kay Sath

France vs Morocco Semi Final Mein Les Bleus Nay Theo Hernández Kay Zariay 5th Minute Mein Hi Goal Kar Dia Tha. Morocco, Wo Team Jis Nay Pooray Tournament Mein Koi Goal Nahi Khaya Tha, Phir Match Mein Wapis Nahi Aa Saki.

Morocco Nay Koshish Buhat Ki, French Goal Par 13 Shots Mareen, 3 On Target Bhi Raheen Laikin Goal Nahi Milna Tha, Nahi Mila. Azz-Eddine Ounahi Ki Koshish Athletic French Goalkeeper Hugo Lloris Nay Roki, Jabkay Jawad El Yamiq Ki Bicycle Kick Goal Post Say Takra Kar Wapis Aa Gai.

France Ki Jeet Us Waqt Yaqeeni Ho Gai, Jab 79th Minute Mein Randal Kolo Muani Nay Maidan Mein Aatay Hi Goal Kardia. Wo As A Substitute Ground Par Aaey, Aur Apnay 44th Second Mein Score Karnay Mein Kamyab Ho Gaey. Kylian Mbappé Ka Wo Assist Kisi Bhi Tarah Messi Say Kam Nahi Tha.

Quickest Goal By A Substitute

Randal Kolo Muani Ka Ye Goal FIFA World Cup Ki Knockout Stage Mein Kisi Substitute Ka Second Fastest Goal Tha. 1998 Kay World Cup Mein Denmark Kay Ebbe Sande Nay Nigeria Kay Khilaf 26th Second Mein Goal Kia Tha. Jabkay Muani Nay 44th Second Mein Ball Net Mein Puhancha Di.

France Kay Muqablay Mein Morocco Mein Finishing Touch Ki Kami Nazar Aai. Box Kay Andar Puhanchtay Hi Un Mein Wo Yaqeen Nahi Dikhai Dia, Aur Nahi Qismat Itni Achi Thi. Jawad Ki Bicycle Kick Ka Goal Post Par Lagna Is Ki Aik Misaal Hay.

Morocco Kay Muqablay Mein French Attackers Jab Bhi Box Mein Dakhil Huay, Aisa Lag Raha Tha Ke Bhairron (Sheeps) Mein Kisi Nay Sher Chhor Dia Hay.

France, New Brazil?

France FIFA World Cup Ki History Mein 4th Time Final Mein Puhancha Hay. Aur Ye Sab Finals Us Nay 1998 Kay Baad Khelay Hain, Jab Wo Home Ground Par Champion Bana Tha. Is Say Andaza Lagaya Ja Sakta Hay Ke Last 25 Years Mein French Football Kis Bulandi Par Puhanchi Hay.

1998 Kay Baad France Nay 2006 Aur 2018 Mein Bhi Final Khela, Aur Aakhri World Cup To Jeeta Bhi. Ab Us Kay Paas Title Ko Defend Karnay Ka Golden Chance Hay.

Ye Wohi Duration Hay Jis Mein Brazil Nay Sirf Aik World Cup Jeeta Hay. Last 5 World Cup Tournaments Mein Brazil 4 Martaba Quarter Final Mein Haara Hay.

Unbeaten Teams Bahar

Semi Finals Mein Tournament Ki Donon Unbeaten Teams Bahar Hueen. Pehlay Croatia Argentina Say Haara, Jis Nay FIFA World Cup 2022 Mein Aik Match Bhi Nahi Haara Tha, Laikin Saudi Arabia Say Upset Shikast Khanay Walay Argentina Say Shikast Kha Betha.

Morocco Is World Cup Mein Koi Match Haarna To Door Ki Baat, Aik Goal Tak Nahi Khaya Tha. Laikin Final-4 Mein Un Ki Qismat Bhi Nahi Chali.

Ab Donon Teams Saturday 17th December Ko 3rd Place Play-Off Mein Khelain Gi.

شیئر

جواب لکھیں