Karachi Nay Wo Kar Dikhaya Jo Na Quetta Kar Paya Tha, Na Peshawar Aur Na Hi #Dimaghse Khelnay Wala Islamabad. Multan Nay Jaisay Hi Apnay Shehr Say Qadam Nikaalay, KK v MS Muqablay Mein Aik Bari Shikast Nay Usay Ja Lia. Jee Haan! Multan Stadium Say Bahar Nikaltay Hi Sultans Ko Karachi Mein Karari Shikast Hui Hay.

Karachi Kings Nay National Stadium Mein Aik Zabardast Kamyabi Haasil Kar Kay Tournament Mein Apnay Chances Zinda Kar Liay Hain. Hamain To 167 Runs Multan Ko Roknay Kay Liay Kafi Nahi Lagtay Thay, Laikin Ye Karachi Ki Spin Trio Ka Din Tha.

Pakistan Super League 2023

Karachi Kings vs Multan Sultans

26 February 2023

National Stadium, Karachi, Pakistan

Result: Karachi 66 Runs Say Jeet Gaya

🟦 KK167-3
Tayyab Tahir65 (46)
Matthew Wade46 (47)
MS BowlingOMRW
Ihsanullah40222
Anwar Ali40281
🟦 MS(T:168)101
Mohammad Rizwan29 (25)
Shan Masood25 (16)
KK BowlingOMRW
Tabraiz Shamsi40183
Shoaib Malik3.30163

Tabraiz Shamsi, Shoaib Malik Aur Imad Wasim Nay To Multan Ko Sirf 101 Runs Par Lapait Dia. Karachi Kay Spinners Nay 11 Overs Phenkay, Sirf 68 Runs Diay Aur Multan Kay 7 Players Ko Out Kia. Karachi Walo! Aur Kya Chahiye?

Multan Ki Pehli Ghalti

Multan Nay Din Mein Pehli Ghalti Ki Toss Jeet Kar Khud Fielding Karnay Ki. Karachi Ko Powerplay Mein In-Form James Vince Ki Wicket To Daina Pari Laikin Phir Bhi Powerplay Mein 52 Runs Buray Nahi Thay. Vince Thay Buhat Khatarnaak Mood Mein, Sirf 12 Balls Par 27 Runs Bana Chukay Thay Laikin Anwar Ali Nay Is Khatray Ka Darwaza Band Kardia.

Laikin Multani Bowlers Kisi Doosray Batsman Ko Jhuka Nahi Sakay. Waisay Karachi Khud Innings Ko Next Gear Mein Nahi Lay Ja Paya. Aik Waqt Tha Jab Team 180+ Kay Liay Par Tolti Nazar Aa Rahi Thi Laikin Phir Overs Kay Sath Sath Run Rate Kam Hota Gaya.

Terrific Tahir

Tayyab Tahir Nay PSL Debut Par Hi 65 Runs Ki Achi Innings Kheli. Wo 46 Balls Par 65 Runs Bananay Kay Baad Ihsanullah Ki Pehli Wicket Banay. Jabke Matthew Wade 47 Balls Par 46 Runs Bana Kar Ihsan Ka Doosra Shikar. Imad Wasim Nay 6 Balls Par 14 Runs Bana Kar Runs Ki Raftar Barhanay Ki Koshish Ki Laikin Phir Bhi Karachi 167 Runs Tak Hi Puhanch Paya.

Wo Point Jo Turning Nahi Tha

Karachi Kings Nay Last 5 Overs Mein Sirf 31 Runs Banaey, To Lag Raha Tha Ye Match Ka Turning Point Hoga Aur Karachi Ko Kisi Ki Waja Say Aik Aur Shikast Hogi. Phir Chase Kartay Huay Multan Nay 5 Overs Mein 41 Runs Banaey To Lagta Tha Ab Karachi Ka Asal Imtehan Hoga, Kyunke Ab Un Kay Samnay Tha Multan Ka Jinnati Middle Order. Laikin Karachi Kay Spinners Nay Kamal Kardia.

Spinners Ka Raj

Shoaib Malik Nay Aik Kamal Ki Ball Par Rilee Rossouw Ko Clean Bowled Kia. Phir Tabraiz Shamsi Nay David Miller Ko Boundary Line Par Catch Karwaya Aur Next Over Mein Malik Sahib Nay Rizwan Ko Out Kar Kay Match Ko Upside Down Kardia. Is Wicket Ka Credit Tayyab Tahir Ko Bhi Jata Hay Jinhon Nay Point Par Buhat Acha Catch Lia.

Us Kay Baad To Bus Karachi Kay Spinners Ka Raj Tha. Unhon Nay Sirf 31 Runs Kay Izafay Say Multan Ki Last 7 Wickets Giraeen. Sultans 17th Over Mein Sirf 101 Runs Par All Out Ho Gaey.

Karachi Ki Taraf Say Tabraiz Shamsi Nay 4 Overs Mein Sirf 18 Runs Day Kar 3 Players Ko Out Kia. Is Par Unhain Man Of The Match Award Bhi Mila. Shoaib Malik Nay 16 Runs Day Kar 3 Wickets Leen Jabke 2,2 Players Ko Imad Wasim Aur Akif Javed Nay Bhi Out Kia.

Rise of Karachi?

Kya Ye Moment Rise Of Karachi Ka Start Hoga? Is Baray Mein Kuch Kaha Nahi Ja Sakta Laikin Ye Baat Zaroor Hay Ke Ye Kings Ki One Of The Finest Victories Hay. Bus Aagay Unhain Zara Sanbhal Kar Khelna Hoga, Kyunke Un Kay Most Destructive Batsman James Vince Ab England Ki Cricket Team Kay Sath Khelnay Ja Rahay Hain Aur 7th March Tak Available Nahi Hongay. Is Liay Hum Yahi Kahain Gay Karachi! Zara Sanbhal Kar!

Pakistan Super League Points Table

26 February 2023

MWLPTNRR
🟦 MS64280.844
🟥 IU43161.049
🟦 KK62440.862
🟩 LQ3214-0.050
🟨 PZ4224-1.137
🟪 QG5142-1.977
شیئر

جواب لکھیں