Lahore Ne Multan Sultans Ko Najane Kaisay Hara Diya Tha? Rizwan XI Ab To Kisi Ke Haath Hi Nahi Lag Rahi. Pehlay Quetta Gladiators Ko Buri Tarah Kuchla, Aur Phir Baari Aa Gayi Peshawar Zalmi Ki. Jee Haan! Multan vs Peshawar Match Mein Babar Azam Ki Team Ko Sultans Ne Poooray 56 Runs Se Shikast Di Hai Aur Top Of The Table Apni Position Aur Mazboot Kar Li Hai.
Pakistan Super League 2023
Multan Sultans vs Peshawar Zalmi
17 February 2023
Multan Cricket Stadium, Multan, Pakistan
Result: Multan 56 Runs Say Jeet Gaya
🟦 MS | 210-3 | |
---|---|---|
Rilee Rossouw | 75 (36) | |
Mohammad Rizwan | 66 (42) |
PZ Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Salman Irshad | 4 | 0 | 38 | 2 |
Sufiyan Muqeem | 4 | 0 | 36 | 1 |
🟨 PZ | (T:211) | 154 |
---|---|---|
Saim Ayub | 53 (37) | |
Mohammad Haris | 40 (23) |
MS Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Usama Mir | 4 | 0 | 22 | 3 |
Ihsanullah | 3.5 | 0 | 24 | 3 |
Sultans Ka Royal Show
Toss Harnay Kay Bawujood Multan Sultans Ka Aaghaz Shandaar Tha. Shan Masood Aur Mohammad Rizwan Ne 54 Runs Ki Opening Partnership Di, Jis Ke Baad 'Rilee Rossouw Show' Ka Aaghaz Ho Gaya. South African Southpaw Ne Sirf Aur Sirf 36 Balls Par 75 Runs Bana Daaley. Un Ki Innings Mein 2 Sixes Aur 12 Fours Shamil Thay. Unhon Ne Pehlay Rizwan Ke Sath 62 Runs Ka Izafa Kya. Rizwan 42 Balls Par 66 Runs Bana Kar Out Huay Lekin Rossouw 19th Over Tak Jamay Rahay.
Aakhir Mein David Miller Ke 14 Balls 23 Aur Kieron Pollard Ke 6 Balls Par 15 Runs Ne Score Ko Puhancha Dia 210 Par. Yani Is Season Mein Pehli Baar Kisi Team Ne 200 Ka Milestone Paar Kar Liya.
Worst Bowling Attack?
Is Se Andaza Laga Lain Ke Peshawar Ne Kitni Mayoos-Kun Bowling Ki. Tournament Se Pehlay To Hum Samajh Rahay Thay Ke Multan Sultans Ki Bowling “Homeopathic” Hai Lekin Ab Yeh "Aizaz" Asal Mein Peshawar Ka Hai.
Wahab Riaz Jaisay Senior Bowler Ne 4 Overs Mein 44 Runs Khaey. Last Over Mein To Unhain 19 Runs Parr Gaey, Jin Mein No Ball Par Lagnay Wala Six Bhi Shaamil Tha. Khurram Shahzad To Wahab Se Bhi Agay Nikal Gaye Aur 4 Overs Mein 49 Runs Kha Gaye.
Aur Zalmi Bowling Kay Sath Aisa Pehli Baar Nahi Hua. Karachi Ke Khilaaf Mein Bhi Us Ne 197 Runs Khaye Thay. Yani Ab To Aadat Si Hai!
Ab Peshawar Zalmi Ke Liye 211 Runs Ka Mushkil Target Tha. Batting Line Dekhain To Phir Bhi Zalmi Fans Ko Umeed Thi Ke Muqabla Zor Ka Hoga. Zaroor Hota, Agar Multan Unhen Saans Bhi Lainay Dena To.
Ihsanullah, The Giant Killer
Ihsanullah Ne Babar Azam Ko Out Kar Ke Peshawar Ki Batting Line Ko Pehla Jhatka Lagaya. Ihsan To Ab ‘Giant Killer’ Bantay Ja Rahay Hain. Last Match Mein Unhon Ne Jason Roy, Sarfraz Ahmed , Umar Akmal Aur Iftikhar Ahmed Ki Wickets Li Theen Aur Ab Babar Bhi Un Kay Shikar Ban Gaey Hain.
Haan! Zalmi Ke Nojawan Mohammad Haris Aur Saim Ayub Nay Buhat Acha Khela. Agar Multan Ki Fielding Brilliance Na Hoti To Shayad Match Kaheen Takkar Ka Hota. Abbas Afridi Ki Direct Throw Ne Mohammad Haris Ki 23 Balls 40 Runs Ki Innings Khatam Ki.
Turning Point
Kuch Hi Dair Baad Match Ka "Turning Point" Aa Gaya. Usama Mir Ne Tom Kohler-Cadmore Ko Boundary Line Par Catch Out Kara Diya.
Rovman Powell Ne Kuch Jaan To Maari, Un Ke 2 Sixes Ne Mahaul Banana Shuru Hi Kya Tha Ke David Miller Ke Aik Kamaal Catch Ne Un Ki Innings Bhi Khatam Kar Di.
Is Ke Baad ‘Tu Chal Mein Aaya’ Wala Maamla Ho Gaya. Sirf 24 Runs Ke Izafay Se Peshawar Ki 7 Wickets Gireen. Jin Mein Top Scorer Saim Ayub Ki Wicket Bhi Shamil Thi. Unhon Nay Ne 37 Balls Par 3 Khoobsurat Sixes Aur Itnay Hi Fours Ki Madad Se 53 Runs Banaye. Un Ki Batting Aisi Thi Ke Ho Sakta Hay Zalmi Fans Ko Haar Ka Dukh Na Hua Ho, Especially Aatay Hi Lagaya Gaya Ye Four! 😍
Usama Mir Aur Ihsanullah 3,3 Wickets Ke Sath Multan Ke Prominent Bowler Rahay. 2 Wickets Abbas Afridi Ne Bhi Haasil Keen.
Is Zabardast Kamyabi Ke Sath Points Table Par Multan Chhaa Gaya Hai. Last Match Mein 39 Balls Pehlay Hi 9 Wickets Se Kamyabi Aur Ab 56 Runs Ke Barray Margin Se Jeet Net Run Rate Mein Multan Ko Buhat Aagay Le Ja Chuki Hai.
Pakistan Super League Points Table
17 February 2023
M | W | L | PT | NRR | |
---|---|---|---|---|---|
🟦 MS | 3 | 2 | 1 | 4 | 1.936 |
🟥 IU | 1 | 1 | 0 | 2 | 1.059 |
🟩 LQ | 1 | 1 | 0 | 2 | 0.050 |
🟨 PZ | 2 | 1 | 1 | 2 | -1.350 |
🟦 KK | 2 | 0 | 2 | 0 | -0.585 |
🟪 QG | 1 | 0 | 1 | 0 | -2.722 |
Dekhna Yeh Hai Ke Aglay Muqablay Mein Islamabad Kis Tarah #Dimaghse Khelta Hay Aur Multan Ka Muqabla Karta Hai, Kyunke Yahi 2 Teams Hain Jin Ka First Impression Buhat Jandaar Hai.