Lionel Messi, Aik Living Legend Hain. Buhat Say Fans Ki Nazar Mein GOAT Yani ‘Greatest Of All Time’. Aur Dekhain To Messi Kay Paas Kya Nahi Hay? Record 7 Ballon d'Or Say Lay Kar 10 La Liga Aur 4 UEFA Champions League Titles Tak, Yahan Tak Ke 23 Saal Baad Argentina Kay Liay Pehla Copa America Bhi. Laikin Nahi Hay To FIFA World Cup Nahi. Aur Jis Kay Paas World Cup Na Ho, Hamari Nazar Mein Wo Legend Kaisay Ban Sakta Hay?

To Ab Messi Ki “Jindagi Ka Aik Hi Maqsad Hay”: WORLD CUP! Aur Ye Manzil Ab Un Say Sirf 2 Qadam Ki Doori Par Hay. Aik Semifinal Aur Phir Final.

One Last Chance

Aisa Nahi Hay Kay Lionel Messi Ko World Cup Jeetnay Ka Chance Nahi Mila. Wo 5 World Cup Tournaments Khel Chukay Hain. 2014 Mein To Final Tak Bhi Puhanchay, Laikin Germany Nay Messi Ka World Champion Ban’nay Kay Sapna Torr Dia.

Ab Ye Khwab Poora Karnay Ka Messi Kay Paas Aakhri Mauqa Hay. Kyunke Is Waqt Un Ki Umar 35 Saal Hay Aur Next World Cup 2026 Mein Hoga, Yani Tab Wo 39 Years Kay Ho Jaen Gay, Yani Football Khelnay Wali Umar Nahi Rahay Gi. To Ye Un Ka One Last Chance Hay.

Messi FIFA ‘22 Mein

FIFA World Cup 2022 Mein Argentina Ka Start Bhayaanak Tha. First Match Mein Hi Unhain Saudi Arabia Kay Hathon Shikast Hui. Wo Match Jisay History Ka Biggest Upset Kaha Ja Raha Hay. Laikin Next Match Say La Albiceleste Sanbhal Gaey. Mexico Ko 2-0 Say Haraya, Poland Ko Bhi Isi Margin Say Shikast Di Aur Phir Knockout Round Mein Australia Ko Haraa Kar Quarterfinal Tak Aa Gaey, Jahan Aik Yaadgar Muqablay Kay Baad Penalty Shootout Par Netherlands Ko Haratay Huay Semifinal Mein Aa Gaey.

Record Torr Messi

Is World Cup Mein Lionel Messi Ab Tak Kai Records Torr Chukay Hain. Wo World Cup History Mein Argentina Kay Liay Sab Say Zyada Matches Khel Chukay, Aur 4 Goals Kay Sath Sab Say Zyada Goals Ka National Record Bhi Ab Unhi Kay Paas Hay.

Yahi Nahi Wo Most World Cup Appearances Ka World Record Bhi Torrnay Walay Hain. Laikin Kya Trophy Bhi Utha Sakain Gay? Is Ka Jawab Next Week Mil Jaey Ga.

Argentina Nay Last World Cup 1986 Mein Diego Maradona Ki Kaptani Mein Jeeta Tha. Us Kay Baad Phir Kabhi Trophy Naseeb Nahi Hui. 1990 Aur 2014 Mein Final Mein Puhanch Kar Bhi Ye Aizaz Nahi Mila. To Agar Messi 18th December Ko Lusail Iconic Stadium Mein Jeet Gaey, To Maradona II Ban Jaen Gay.

شیئر

جواب لکھیں