Buhat Shauq Tha Hamain Bari Teams Ki Mezbani Karnay Ka, Umeed Hay Ab Arman Thanday Parr Gaey Hongay. 2022 Mein Jahan Pakistan Home Ground Par 1 Test Tak Nahi Jeeta, Waheen 2023 Ka Aghaz Bhi Itna Acha Nahi Raha. Khair, Pakistan New Zealand 2nd Test Mein Jaan Bachi, So Lakhon Paey!

Pakistan New Zealand Kay Against 2nd Test Haartay Haartay Jeetnay Laga, Aur Phir Jeet’tay Jeet’tay Haarnay Hi Wala Tha Ke Allah Allah Karkay Mu’amla Draw Par Ruk Gaya. New Zealand Kay Khilaf 2 Test Matches Ki Series 0-0 Say Khatam Hui. Aur Youn Pakistan Ka Home Ground Par Imtehan Bhi Poora Hua, Kyunke Ab Is Saal Koi Home Series Nahi Hay.

Chalain, Ye Draw Australia Say 1-0 Say Aur England Kay Hathon 3-0 Kay Clean Sweep Say To Acha Result Hay. Laikin Pakistan Ki Nakaami Mein Aik Bara Factor Tha Dead Wickets Ka. Last 1 Year Mein Pakistan Mein Test Cricket Jaisi Pitches Par Hui Hay, Unhon Nay To 70s Ki Yaad Dila Di Hay.

Dead Pitches, Laikin Kyun?

Pakistan Cricket Team Ye Samajhti Hay Ke Us Ki Batting Line Kamzor Hay. Is Liay Agar Aisi Wicket Bani, Jis Mein Bowlers Kay Liay Zara Si Bhi Help Hui To Wo Collapse Ho Jaey Gi. Is Liay Safe Side Par Rehtay Huay Aisi Pitch Bana Di Jati Hay, Jo Bowlers Kay Liay Bilkul Baykaar Ho. Nateeja Ye Nikalta Hay Ke Runs Ka Sailab Aa Jata Hay. Pakistan Ki Bowling Line Jo Waisay Hi Main Bowlers Kay Zakhmi Honay Ki Waja Say Kamzor Thi, Dead Wickets Par To Us Kay Liay Museebat Hi Khari Ho Gai.

Karachi Ki Dead Wicket

New Zealand Kay Khilaf Ye Series Hi Dekh Lain Jis Mein Sirf 2 Matches Mein 2860 Runs Banay. Jee Haan! Taqreeban 3 Hazar Runs Sirf 2 Matches Mein Hi Score Ho Gaey Hain.

Pehlay Test Mein Pakistan Kay First Innings Mein 438 Runs Kay Jawab Mein New Zealand Nay 612 Runs Bana Dalay. Pakistan Nay 2nd Innings 311 Par Declare Kar Kay Aur New Zealand Ko 138 Runs Ka Target Dia. Wo 61 Runs Tak Hi Puhancha Ke Match Khatam Ho Gaya. Babar Ki "Brave Declaration" Ki Waja Say.

Yahi Nahi, Second Test Mein Bhi Kuch Aisa Hi Nazar Aaya. New Zealand Kay 449 Runs Kay Baad Pakistan Nay 408 Runs Score Kiay Aur 319 Runs Kay Target Kay Liay 304 Tak Puhanch Gaya. Ye Pitch Itni ‘Mazedar’ Thi Ke Pehli Innings Mein New Zealand Ki Last Wicket Hi Century Partnership Kar Gai. Pakistani Ki Donon Innings Mein Bhi Zyada Tar Runs Lower Order Mein Banay.

Khair, Ye Pakistan Mein Kisi Bhi 2 Test Series Mein Sub Say Zyada Runs Hain, Aur World Record Say Sirf 159 Runs Kam Hain.

New Zealand Kay Tour Of England 2015 Mein Sirf 2 Test Matches Mein 3019 Runs Banay Thay, Jo Aaj Bhi Aik World Record Hay.

2 Test Series Mein Sub Say Zyada Runs

HostVsMts.RunsWktsYearWinner
EnglandNew Zealand23019782015Drawn
Sri LankaIndia22892461997Drawn
BangladeshWest Indies22875632012West Indies
PakistanNew Zealand22860622022-23Drawn
BangladeshEngland22844642010England

Runs Kay Anbaar

Aisa Nahi Ka New Zealand Kay Khilaf Ye Series Koi Anokhi Hay. England Aur Australia Kay Tours Mein 3,3 Teset Matches Mein Bhi Itnay Runs Banay Kay Wo Pakistan Mein Honay Wali Series Mein Top 10 Most Runs Mein Shamil Hain. England-Pakistani Series To Sub Say Zyada Runs Ban’nay Kay Hawalay Say 2nd Number Par Rahi Jis Mein 3898 Runs Banay Aur Pakistan Teenon Matches Haara Bhi.

Record Khair Say India Kay Famous Tour Of Pakistan 2006 Kay Paas Hay, Jis Mein Sirf 3 Matches Mein 4138 Runs Banay Thay. Aur Pakistan Ye Series 1-0 Say Jeeta Tha.

Most Runs In A Test Series

in Pakistan, 3 or Less Test Matches

HostVsMts.RunsWktsYearWinner
PakistanIndia34138732006Pakistan
PakistanEngland338981092022England
PakistanIndia33892801978Pakistan
PakistanEngland337201032005Pakistan
PakistanAustralia33704991994Pakistan

Ab Aagay Kya?

Pakistan Ki Wickets Par Buhat Aiteraz Ho Raha Hay. Kya Pakistan Cricket Ki New Administration Ye Bold Step Utha Paey Gi? Khair, Ab To Poora Saal Home Ground Par Test Cricket Hi Nahi Hogi. Jab Hogi Tab Shayad Ye Administration Hi Na Ho. Is Liay Fil’haal Ye Kisi Ka Mas’la Nahi.

شیئر

جواب لکھیں