Barhti Mehangai Kay Is Daur Mein, Jab Naey Naey Kharchay Moun Kholay Kharay Hain, Aamdani Atthanni Kharcha Rupaiya Hay. To Kya Karain? Salary To Barhnay Wali Nahi, To Income Kay Naey Tareeqay Nikaalnay Hi Parain Gay. Wo Bhi Aisay Jo Job Kay Sath Sath Chal Sakain.
Free Time Ya Paisa?
Side Hustle Aap Ka Free Time Zaroor Khaey Ga, Is Liay Koshish Kerain Kay Burnout Honay Say Bachain. Aap Ko Kaam Ko Manage Karna Hoga. Apnay Social Media Isteymal Ko Kum Karain Aur Is Time Ko Freelancing Kay Liay Use Karain. Side Hustle Aap Ka Free Time To Khaey Ga, Laikin Is Waqt Shayad Free Time Say Zyada Zaruri Paisa Hay. Jo Freelancing Mein Buhat Hay.
Kitna Kamaya Ja Sakta Hay?
Agar Aap Kay Local Clients Bhi Hon Aur Aap Aik Din Mein 4 Hours Kaam Kar Kay 3,000 Rupay Bhi Kamayen To Ye Weekly 5 Days Kay 15,000 Bantay Hain. Yani Aik Maheenay Kay 60,000 Aur Yearly 720,000 Rupees, Jee Haan! 7 Lakh Rupay Say Zyada.
Kaun Sa Kaam Karain?
Freelancer.com Ki Aik Study Nay 372,000 Jobs Ka Data Analyze Kia, Jis Say Pata Chala Ke Programming, Report Writing Aur Research Ki Jobs Sub Say Tezi Say Grow Ho Rahi Hain. Agar Aap Ko Ye Kaam Atay Hain To Samjhain Aap Side Hustle Kay Taur Par Buhat Kama Saktay Hain.
Agar Aap Ka Koi Passion Hay Aur Wo Aap Ki Job Ka Part Nahi To Aap Us Shauq Ko Freelancing Mein Poora Kar Saktay Hain. Laikin Agar Aisa Nahi Tab Bhi Aap Apni Regular Job Wala Kaam Kar Kay Apnay CV Ko Behtar Bana Saktay Hain.
Agar Aap Ko Writing Yani Likhna Aata Hay To Aap Online Kafi Paisa Kama Saktay Hain. Freelance.Com Par Ya Upwork Par Aay Kisi American Client Say 30 Say 40 Dollars Per Hour Charge Kar Saktay Hain. Is Kay Ilawa Web Development Ki Bhi Buhat Demand Hay. Data Analyst To Is Say Bhi Zyada Kam Saktay Hain, Approx. 65 Dollars Per Hour. Graphic Designer Bhi 45 Dollars Per Hour Haasil Kar Saktay Hain, Programmer To Un Say Bhi Aik Haath Aagay Hain: 60 Say 70 Dollars.
Ye Aisay Kaam Hain Jo Agar Aap Ko Aatay Hain To Mumkin Hay Ke Pakkay Clients Milnay Kay Baad Aap Ko Apni Job Bhi Na Karni Paray.