FIFA World Cup 2022 Ki Opening Ceremony Nay Islamic Dunya Ko Hairan Kardia Hay. Aik Aisay Waqt Mein Jab Kabhi Mauqa Milta Hay To Mulk Aisay Event Mein Sari Haddein Par Kar Jatay Hain. Hamari Pakistan Super League Hi Dekh Lain, Jis Ki Opening Aur Closing Ceremony Mein Kya Kuch Nahi Hota. Laikin Qatar Ka Attitude Dekhain, Wo Dunya Ka Sub Say Bara Event Organize Kar Ra Hay Aur First Impression Aisa Dia Hay Ke Sub Islamic Countries Ko Kuch Sochnay Par Majboor Kardia Hay.
Opening Ceremony Mein Quran Majeed
Opening Ceremony Mein Hollywood Kay Famous Actor Morgan Freeman Bhi As A Host Maujood Thay. Opening Sequence Mein Unhon Nay Dunya Kay Logon Ko Aik Doosray Kay Qareeb Lanay Aur Un Kay Darmyan Unity Paida Karnay Kay Hawalay Say Aik Sawal Uthaya. Yahan Qatar Kay Influencer Aur World Cup Ambassador Ghanim Al Muftah Nay Quran Majeed Ki Surah Al-Hujarat Ki Aayat 13 Ki Tilawat Ki. Jis Ka Tarjuma Hay:
Logo! Hum Nay Tumhain Aik Mard Aur Aik Aurat Say Paida Kia Aur Phir Tumhari Qaumain Aur Bradriyan Bana Deen Takay Tum Aik Doosray Ko Pehchano. Dar-Haqeeqt Allah Kay Nazdeek Tum Mein Sa Say Zyada Izzat Wala Wo Hay Jo Tumharay Andar Sab Say Zyada Parhezgaar Hay.
Quran Majeed, Surah Al-Hujaraat, Ayat 14 (49:13)
Qatar Kay Extraordinary Steps
Ye Islam Aur Arab Culture Say Unapologetic Wabastgi Ko Zahir Karnay Wala Qatar Ka Pehla Qadam Nahi Hay. Is Say Pehlay Us Nay Stadiums Mein Sharab Aur Beer Kay Istamal Ko Ban Kia. LGBT Rights Par Buhat Shor Kia Gaya Laikin Qatar Nay Is Par Apna Stance Naram Nahi Kia Jo Aaj Ki Dunya Ko Dekhain To Aik Notable Step Hay.
Aisay Waqt Mein Jab Har Mulk West Kay Barhtay Huay Pressure Kay Samnay Dabta Ja Raha Hay. Qatar Ka Itnay Baray Event Par Aisa Stance Ikhtyar Karna Admirable Hay.
Islam Ki Tableegh
FIFA World Cup Kay Daruan Qatar Mein 15 Lakh Log Aaen Gay. Is Opportunity Ko Islam Ki Tableegh Kay Liay Bhi Istamal Kia Ja Raha Hay. Qatar Nay Dawah Kay Liay Kai Famous Islamic Preachers Ko Bulaya Hay. Especially Dr. Zakir Naik Ki Aamad Par To Bohat Baat Hui Hay. Un Ki Qatar Aamad Par Indian Media Nay Jo Reaction Dia Hay, Wo Bhi Zahir Karta Hay Ke Qatar Jab West Say Nahi Ghabrata To India Say Kya Daray Ga.
Islam Ka Paigham Phailanay Kay Liay Qatar Nay Bohat Say Steps Uthaey Hain, Jin Mein Host Cities Mein Kai Jaghon Par Ahadith Lagana Bhi Shamil Hain. Social Media Par Aisi Kai Photos Samnay Aai Hain, Jin Mein Mukhtalif Jaghon Par Mukhtalif Ahadith Dekhi Ja Sakti Hain.
Yani Qatar World Cup Jaisay Mega Event Ko Dawah Kay Liay Istamal Kar Raha Hay.
Political Significance
World Cup Ki Opening Ceremony Mein Saudi Arabia Kay Mohammad Bin Salman, Uae Kay Sheikh Mohammed Bin Rashid Al Maktoum, Turkey Kay Recep Tayyip Erdoğan Aur Egypt Kay Abdel Fattah Al-Sisi Maujood Thay. Un Sab Ki Mojoodgi Mein Qatar Nay In Alfaaz Kay Sath Ceremony Ka Aaghaz Kia “Qatar Say, Arab World Say, Hum Aap Sab Ko FIFA World Cup 2022 Mein Welcome Kartay Hain.”
Ye Message Aur Islam Aur Arab Culture Kay Hawalay Say Unapologetic Steps Sabit Kar Rahay Hain Ke Qatar Saudi Arab Say Zyada Arabic Aur Islamic World Ko Lead Karnay Ki Salahiyat Rakhta Hay.
Aik Aisay Waqt Mein Jab Saudi Arabia Tezi Say Liberal Ho Raha Hay, “Azadi” Ikhtiyar Kar Raha Hay Aur Mohammad Bin Salman Ki Policies Ki Waja Say Mulk Crossroad Par Khara Hay. Tab Qatar Ka Ye Stance Muslim Dunya Ko Hairan Kar Raha Hay.
Saudi Arabia Apni Religious Identity Say Jaan Chhura Raha Hay, Aur Qatar Dunya Kay Sab Say Barray Stage Par Is Identity Ko Qubool Kar Raha Hay.
Shayad Yahi Waja Hay Ke West Mein Qatar Kay Khilaf Itna Zyada Propaganda Ho Raha Hay. Waisay Kya T20 World Cup Final Say Pehlay Aik Ceremony Mein Australia Ki Aboriginal Community Kay Rituals Par Bhi Aetraz Hua Tha?