Stadium Mein 2 Lakh Say Zyada Tamashai Hain, FIFA World Cup Ka Final Hay, Brazil Apnay Home Ground Par Khel Raha Hay, Lead Bhi Lay Chuka Hay, Laikin… Phir Bhi Haar Gaya. 5 Crore Dil Toot Gaey, Tab 9 Saal Kay Aik Bachy Nascimento Nay Apnay Baap Ko Rotay Dekha Aur Waada Kia Ke Wo Aik Din Brazil Ko World Cup Jitaey Ga. Aur 8 Saal Baad Wo Din Aa Hi Gaya! Nascimento Pele Ban Gaya, History Ka Youngest World Champion, Aur Phir Aik Nahi 3 Baar World Cup Jeetnay Wala History Ka Wahid Footballer Bhi. Aaj Wohi ‘The King’ Is Dunya Say Chala Gaya!

Blow Of Maracanã

1950 FIFA World Cup Final Mein Brazil Ki Shikast Ko ‘Blow Of Maracanã’ Kehtay Hain, Us Stadium Kay Naam Par Jahan Ye Match Hua Tha. Ye Haar Brazil Ki Nafsiyat Say Buri Tarah Chipak Gai, Aisi Ke Us Nay Apna Football Khelnay Ka Traditional Style Hi Chhor Dia. Kyunke Wo Is Style Ko Hi Shikast Ka Reason Samjhta Tha.

Laikin ‘Kawwa Chala Hans Ki Chaal, Apni Chaal Bhi Bhool Gaya.’ 1954 Mein Brazil World Cup Quarter Final Say Hi Bahar Ho Gaya. Aur Phir Aaya 1958 FIFA World Cup, Pele Ka Pehla World Cup, Jab Dunya Usay Pele Kehti Hi Nahi Thi, Tab Naam Tha Nascimento.

Rise Of Pele

Raftar Bharne Do

1958 FIFA World Cup Ka Start Brazil Kay Liay Asaan Nahi Tha. Austria Kay Against Jeeta Aur England Kay Khilaf Match Draw Kia, Laikin 3 Players Zakhmi Ho Gaey. Pele, Jo World Cup Say Pehlay Hi Knee Injury Ka Shikar Thay, Most Important Match Kay Liay Maidan Mein Utaray Gaey.

17 Saal Ka Naujawan, Reigning Olympic Champion Soviet Union Samnay Aur 50 Hazar Logon Say Bhara Stadium, Pele Nay First Match Say Hi Apni Presence Sabit Kardi. Vava Kay 2 Goals Mein Aik Assist Pele Ka Bhi Tha Aur Yaheen Say Wo Kahani Shuru Hoti Hay, Jo Brazil Ko Football World Ka Superpower Bana Gai.

Soviet Union Ka Hara Kar Brazil Semi Final Mein Puhancha, Jahan Us Ka Muqabla France Say Hua. Les Bleus Nay 1-0 Ki Lead Bhi Li, Laikin Phir Aaya Pele Moment, Second Half Mein Unhon Nay 1 Nahi, 2 Nahi, 3 Goals Score Kar Diay Aur FIFA World Cup Mein Hattrick Karnay Walay Youngest Ever Player Ban Gaey.

Phir Final Mein Brazil Ka Muqabla Kisi Aur Say Nahi, Mezban Sweden Say Tha. Us Zamanay Mein Host Ka Final Haarna Kam Hi Dekha Gaya Tha. 1930 Aur 1934 Mein Uruguay Aur Italy Mezban Hotay Huay Hi World Champion Banay Thay. Wahid Unlucky Team Brazil Ki Thi Jo 1950 Mein Haar Gai Thi. Ab Us Ki Talafi Ka Din Aa Gaya Tha.

Waisay Final Mein Sweden Tha Favourite, Aur Us Nay 4th Minute Mein Hi Goal Kar Kay Ye Baat Sabit Bhi Ki. Ab Brazil Aik Mojzay Ka Muntazir Tha, Wo Mojza Jo Wo 1950 Mein Nahi Hua Tha, Laikin Is Baar Un Kay Paas Aik Miracle Tha, Pele Ki Soorat Mein.

Pehlay Vava Kay 2 Goals Nay Brazil Ko Lead Dilai Aur Phir Second Half Mein Chala Pele Ka Jadu. Unhon Nay 55th Minute Mein Aik Kamal Goal Kia, Aur Akhir Mein Match Kay Final Moments Mein Un Kay 2nd Goal Nay Match Ka Faisla Kardia. Brazil 5-2 Say Jeet Kar World Champion Ban Gaya. Pehli Baar!

What A Feeling!

Us Ehsas Ko, Us Jazbay Ko, Us Feeling Ko Aap Mehsoos Kar Saktay Hain? Moashray Kay Pisay Huay Tabqay Say Aanay Wala Pele, Aik Larka, Jo Footbaler Ban'na Chahta Tha, Laikin Us Kay Paas Jootay Tak Nahi Thay. Phir Black Bhi, Jin Kay Khilaf Us Zamanay Mein Buhat Bura Sulook Hota Tha, Racism Apnay Urooj Par Thi. Sab Say Barh Kar Wo Bacha Jis Nay Sirf 9 Saal Ki Umar Mein Apnay Baap Say Aik Wada Kia Tha, 8 Saal Baad World’s Biggest Stage Par Tanha Brazil Ko World Cup Jita Gaya. Koi Filmi Kahani Lagti Hay Na?

Pele Nay Is Match Say Sirf 18 Month Pehlay Zindagi Mein Pehli Baar Apna Ghar Chhora Tha. Sirf Derh Saal Mein Wo Nascimento Say Pele Bana, “The King” Bana. 

Azeem Player, Azeem Insaan

Shorat Baray Baron Say Hazam Nahi Hoti. Kai “Greats” Bhatak Gaey, Behak Gaey, Tabah Ho Gaey. Pele Jis Ghurbat Say Aaey Thay, Sirf 17 Saal Ki Umar Mein Itni Shohrat Milnay Kay Baad Dimagh Kharab Honay Ka Khatra To Tha, Laikin Wo Aur Down To Earth Ho Gaey. Aik Azeem Player Ban’nay Kay Baad, Aik Azeem Insaan Bhi Ban Kar Dikhaya.

Pelé Amar Rahay Ga!

Pele Kay Era Mein Brazil Invincible Tha. 1962 Mein Apnay Title Ko Defend Kia, 1966 Mein Nakaam Raha Kyunke Pele Zakhmi Ho Gaey Thay.

Tab Dunya Janti Thi Kay Asal Khatra 21 Saala Pele Say Hay, Is Liay Bulgaria Aur Portugal Kay Defenders Nay Buhat Rough Khel Pesh Kia Aur Pele Ko Injured Kar Dia. Asal Mein 1958 Mein Europe Mein World Cup Jeet Kar Brazil Nay European Football Par Question Mark Laga Dia Tha, Jis Ka Badla European Teams Nay Buhat Buri Tarah Lia, Yahan Tak Ke Referees Nay Bhi Brazil Kay Khilaf Faislay Diay.

Khair, 1970 Mein Pele Nay Mexico Mein Apna Last World Cup Khela Aur Aik Baar Jeet Kar Dikhaya. Youn Wo 3 Martaba Kay World Champion Ban Gaey, Yani Ye Aizaz Hasil Karnay Walay History Kay Pehlay Aur Aakhri Khilari.

International Olympic Committee Nay Unhain ‘Athlete Of The Century’ Kaha, FIFA Nay ‘Player Of The Century’ Qarar Dia. Brazil Ki Government Nay 1961 Mein, Sirf 20 Saal Ki Umar Kay Pele Ko ‘Official National Treasure’ Qarar Dia.

Ab Pele Hum Mein Nahi, Laikin Un Ka Naam Zinda Rahay Ga! Jersey No. 10 Kabhi Nahi Bhoolay Gi.

شیئر

جواب لکھیں