T20 World Cup Semi-Final Mein Aaj Pakistan Aur New Zealand Ka Muqabla Hay, Wo Bhi Sydney Mein. Wohi Maidan Ke Jahan Pakistan Nay Kuchh Din Pehlay South Africa Ko Haraya Tha. World Cup Mein Pakistan Ki Ab Tab Ki Sab Say Clinical Performance Yahi Thi.

To Kya Sydney Aaj Bhi Pakistan Par Mehrban Hoga? Us Kay Liay Pakistan Aur Sydney Ki History Par Nazar Dalna Hogi.

Pakistan Nay Aaj Tak Sydney Mein Sirf 2 T20 Internationals Hi Khelay Hain Aur Result Sirf Isi Match Ka Nikla Hay, Yani Pakistan-South Africa Ka. Pakistan Nay Is Match Mein South Africa Ko D/L Method Par 33 Runs Say Haraya Tha. 185 Runs Ka Barra Target Dia Aur Phir 108 Runs Par Hi South Africa Kay 9 Out Kar Diay. Aisa To Pakistan Pooray Tournament Mein Nahi Khela Tha.

Chase Ya Defend?

Agar SCG Mein Honay Walay Tournament Kay Doosray Matches Dekhain To Yahan Kafi High Scoring Matches Huay Hain. Opening Match Mein New Zealand Nay 200 Runs Banaey Thay. Phir South Africa Nay Bangladesh Kay Against 205 Runs Score Kiay. India Nay Netherlands Kay Khilaf 179 Aur New Zealand Nay Sri Lanka Ka Muqabla Kartay Huay 197 Runs Score Kiay The. Aur Ye Sub Matches In Teams Nay Hi Jeetay. Haan, Aik Match Mein Chase Karnay Wali Team Zaroor Jeeti Hay. England Nay Sri Lanka Kay Khilaf 142 Chase Kia Tha, Laikin Last Over Mein Jaa Kar.

SCG Aur T20 World Cup 2022

Winnervs.MarginDate
Raftar Bharne Do ENGRaftar Bharne Do SL4 wkts.5 Nov '22
Raftar Bharne Do PAKRaftar Bharne Do SA33 runs3 Nov '22
Raftar Bharne Do NZRaftar Bharne Do SL65 runs29 Oct '22
Raftar Bharne Do INDRaftar Bharne Do NED56 runs27 Oct '22
Raftar Bharne Do SARaftar Bharne Do BAN104 runs27 Oct '22
Raftar Bharne Do NZRaftar Bharne Do AUS89 runs22 Oct '22

To Hum Keh Saktay Hain Ke Sydney Mein Pehlay Batting Aur Barra Total Jeet Ki Guarantee Daita Hay. Aur Chase Karna Itna Aasan Nahi.

Sydney, Aik Bhoot Bangla

Laikin Agar Peechay Dekhain To SCG Pakistan Kay Liay Itna Achha Maidan Nahi Hay. 21 ODIs Matches Mein Say Pakistan Yahan Sirf 6 Hi Jeeta Hay. 1992 World Cup Mein Pakistan India Kay Khilaf Match Bhi Yaheen Par Hara Tha.

Pakistan Nay Aakhri Martaba Yahan 1997 Mein West Indies Kay Khilaf Kamyabi Hasil Ki Thi. Tab Say Aaj Tak Honay Walay Saray, 6 Kay 6, Matches Pakistan Haara Hay.

Test Mein Bhi Pakistan Ka Haal Mukhtalif Nahi. Aakhri Baar 1995 Mein Yahan Aik Test Jeeta Tha Aur Us Kay Baad Honay Walay Tamam 6 Test Matches Haara Hay.

Pakistan Sydney Mein

FormatMat.WonLostDraw/NR
Test8251
ODI216150
T20i2101

Khair Hamain Test Aur ODI Say Kya Laina Dena? Hum To T20 World Cup Semi-Final Mein Hain Aur Waisay Bhi Maidan Koi Bhi Ho, Humain Larrna Hay, Sub Say Aagay Barrhna Hay, Aur Jeet Kar Dikhana Hay!

شیئر

جواب لکھیں