Hum Sab Kay Pass Aisi Skills, Opinions Aur Conversation Ideas Hotay Hain Jin Kay Baray Main Hum Confident Hotay Hain. Mager Aap Kay Baray Main Aap Kay Boss, Colleague, Friend Ya Kisi Jaan Pehchaan Walay Ki Feeling Different Hosakti Hay Jis Ka Akser Aap Ko Andaza Bhi Nahi Hota. Talking Ya Conversation Skills Hamesha Bauhat Ehemiyat Rakhti Hain.

Aisa Bhi Hota Hay Kay Aap Ka Nature Passive Hota Hay Aur Dosray Banday Aap Per Hawwi Hojatay Hain. Kia Aap Aggressive Hain Aur Aap Kay Doston Say Ziada Dushman Hotay Hain?  Yeh Bhi Mumkin Hay Kay Aap Apni Nature Ya Conversation Skills Ki Waja Say Dosron Ko Irritate Kertay Hoon. Aap Ki Personality Main Moujood Qualities Ki Waja Say Bhi Aap Ko Socially Aur Professionally Mushkil Hosakti Hay, Khayal Kerain.

Key Factor Yeh Hay Kay Aap Assertive Rahain Aur Overly Aggressive Nature Ko Change Kerain. Aap Aisa Bilkul Ker Saktay Hain Aur Iss Kay Liye Aap Ko Kuch Phrases Ko Conversation Skills Main Avoid Kerna Hoga, Kion Kay Yeh Aap Ko Weak Aur Timid Banatay Hain.

“I’m Sorry To Ask This, But…”

Jab Aap Is Andaz Main Baat Kertay Hain, Tou Iss Say Yeh Zahir Hota Hay Kai Aap Khudh Ko Down Ker Rahay Hain Aur Yeh Aap Ki Conversation Skills Per Negative Impact Daalta Hay.

Kisi Say Baat Kertay Hoay Aap Ko Apna Lehja Firm Rakhna Chaheye Aur Kehna Chaheye Kay “Can You Share The Report You Made For The Team Meeting?”.Aap Ko Aisay Baat Kernay Say Guraiz Kerna Chaheye, “I’m Sorry To Bother You, But Can You Share The Report You Made For The Team Meeting?”. Aisay Baat Kernay Say Aap Ki Request Downplay Honay Ka Impression Samnay Walay Per Jata Hay.

To The Point Or Short Baat Kerain Aur End Main Thank You Keh Ker Baat Khatam Kerdain.

“I Could Do That.”

Verbs Actually Action Words Hotay Hain. Yeh Logon Ko Batatae Hain Kay Aap Kia Kerrahay Hain Ya Aap Kia Kernay Walay Hain. Apnay Ap Ko Stronger Show Kernay Kay Liye Aisay Verbs Ko Choose Kerain Jo Aap Ki Intentions Ko Clearly Zahir Kerain.

Iss Ki Example Yeh Hay Apni Conversation Main “Will” Ka Ziada Istimal Kerain Kion Kay Yeh “Could” Say Ziada Stronger Word Hota Hay. Aap Yeh Nahi Kahaein Kay “I Could Do That” Balkay Aap Ko Kehna Chaheye “I Will Do That”.

Yeh Bhi Zaroori Hay Kay Jab Ap Kuch Mangain Tou “I Need” Ka Istemal Kerain Kion Kay Yeh Ziada Strong Word Hota Hay Aur “I Want” Kehnay Say Parhaiz Kerain.

“You Need To…”

Jab Aap Kisi Request Kay Shuru Main “You” Ka Istemaal Kertay Hain Tou Yeh Aisa Lagta Hay Kay Aap Ka Controlling Behavior Ho. Yeh Kisi Fear Ya Insecurity Ki Waja Bhi Hosakti Hay.

Ager Aap Apni Conversation Main “I” Based Statements Use Kerain, Tou Is Say Communication Main Behtar Rehta Hay. Iss Say Yeh Message Jata Hay Kaay Ap Ko Kia Zaroorat Hay Aur Yeh Koi Aggressive Attack Nahi Samjha Jata.

 Iss Ki Example Yeh Hay Kay Jab Ap Koi Project Shuru Ker Rahay Hon Tou “You Need To Get Started On That Project” Kahaein Gae Tou Aisa Lagae Ga Kay Aap Commanding Horahay Hain. Aap Ko Yeh Jumla Younh Kehna Chaheye, “I’d Like It If You Started On That Project.”

Hamesha Apnay Aap Ko Samnay Rakhtay Hoay Jumlon Ka Istemaal Kerain.

“You Always…” Or “You Never…”

Generalizations Ki Waja Say Arguments Paida Hotay Hain Kion Kay Is Say Dosra Banda Defensive Hojata Hay.

Ager Aap Kisi Baat Per Khush Nahi Hain Tou Specific Rahain Aur Woh Baat Bayan Kerain. Bajay Iss Kay Aap Yeh Kahain Kay “You Always Forget Meetings,” Aap Yeh Kahain Gae “I Was Upset When You Showed Up Late To Thursday’s Meeting.”

Aap Tamaam Malba Aik He Banday Per Na Daalain. Iss Kay Bajaie Situation Ko Accurately Describe Kerain. Is Say Aap Ki Repuration Fair Aur Clear Rahay Gi. Aap Dosron Ko Bhi Mouqa Dain Gae Kay Woh Khudh Ko Improve Kernay Ki Koshish Kerain.

Overly Aggressive Hoay Baghair Bhi Assertive Hoa Jaskta Hay. Aisi Conversation Skills Use Kernay Say Aap Intentionally Respect Earn Kertay Hain Aur Aap Ka Communication Ka Yeh Andaz Kafi Thoughtful Hoga.

شیئر

جواب لکھیں