Quetta Kay Bugti Stadium Main Pakistan Super League Say Pehlay Exhibition Match Ka Mela Saja To Samjhain History Create Hogai. Jahan Cricket Kay Fans Ko Behtareen Match Dekhnay Ko Mila Waheen Quetta Gladiators Kay Iftikhar Ahmed Nay Peshawar Zalmi Kay Fast Bowler Wahab Riaz Ko 6 Balls Per 6 Lagaatar Sixes Laga Ker Kamal Kar Dikhaya.

#IftiMania

5th February Ko Quetta Main Cricket Fans Ki Nazrain Bugti Stadium Per Theen. Quetta Gladiators Aur Peshawar Zalmi Ki Team Apni Full Strength Kay Sath Ground Main Maujod Theen Aur Donon Teams Main Super Stars Nay Cricket Kay Liye Ideal Environment Bana Dia Tha.

Quetta Ki Innings Kay Last Over Main Wahab Riaz Ka Samna Iftikhar Ahmed Say Hoa. Iftikhar Ahmed Waisay Hi Behtareen Form Main Hain. Bangladesh Premier League Say Hi Un Ka Bat Buhat Chal Raha Hay. Iftikhar Nay Wahab Kay Over Ki Sab 6 Balls Ko Ground Say Bahar Phaink Dia Aur Daikhnay Waloon Ko Hairan Kerdiya.

Iftikhar Ki Performance Par #Iftimania Ka Hash Tag Trend Main Aa Gaya. Iftikhar Ki Six Hit Kernay Ki Skills Aur Batting Style Misbah Ul Haq Kia Yaad Dilata Hay.

Lagatar 6 Sixes Laganay Ka Record

Ager Lagatar Sab Say Ziada Sixer Laganay Kay Record Ki Baat Ki Jaei Tou Sab Say Pehlay Naam Ata Hay Sir Garfield Sobers Ka.

Sir Sobers Nay 1968 Main Nottinghamshire Aur Glamorgan Kay Match Main Malcolm Nash Kay Aik Over Main 6 Sixes Lagaye Thay.

Us Kay Bad, 1985 Main Ravi Shastri Nay Mumbai vs Baroda Match Main History Create Ki Thi. Tilak Raj Woh Bowler Thay Jin Ko Ravi Nay Chakay Maaray.

Phir Aata Hay New Zealand Main Honay Wala Aik Match. Wellington vs Canterbury Shell Trophy Muqablay Main Robert Vance Ka Over All Formats Ka Most Expensive Over Kaha Jata Hay. Vance Nay Uss Over Main 17 Wide Balls Bhi Keen. Former New Zealand Skipper Lee Germon Nay Robert Vance Ko 8 Sixes Maray Aur Record Thor Phor Diay.

2007 Kay World Cup Main South Africa vs Netherlands Muqablay Main Bhi History Bani. Jab Netherlands Kay Part Time Bowler Daan Van Bunge Ko South African Hard Hitting Batsman Herschelle Gibbs Nay Dho Dala.

September 2007 Main Khelay Gaey Pehlay T20 World Cup Main England Kay Against Bhi Aik Aisa Record Bana, Jo Aaj Bhi Yaad Aata Hay.

India Kay Left Handed Batter Yuvraj Singh Nay Stuart Broad Kay Aik Hi Over Main Lagatar 6 Chakay Mar Daalay. Yuvi Nay Iss Match Main T20 International Ki Fastest Fifty Banai, Sirf Aur Sirf 12 Balls Per.

Baat Phir English County Cricket Tak Aei Aur 2017 Main Worcestershire Aur Yorkshire Kay Match Main Bhi “Sixers Carnage” Dekha Gaya.

Worcestershire Kay Batter Ross Whiteley Nay Left Arm Spinner Karl Carver Ko Aik Over Main 6 Chakay Maray Mager Un Ki Team Phir Bhi Haar Gai.

Afghan Opener Hazatullah Zazai Nay Bhi Record Book Mai Apna Naam Likhwaya Jab Unhonay 2018 Main Afghanistan Premier League Main Yeh Record Banaya.

Unhonay Kabul Zwanan Aur Balkh Legends Kay Match Main Abdullah Mazari Ko 6 Chakay Maray

Year 2020 Main Super Smash Clash Main Canterbury Kings Aur Northern Districts Kay Match Main Leo Carter Nay Anton Devcich Ko Consecutive6 Sixes Laga Diay Thay.

Carter Nay 29 Balls Per 70 Runs Not Out Ki Innings Khel Ker Canterbury Kings Ko Match Jitwa Diya Tha.

Antigua Main 2021 Main West Indies vs Sri Lanka Kay Match Main West Indian Player Kieron Pollard Nay Akila Dananjaya Kay Over Main 6 Sixes Lagaey Thay.

Mazay Ki Baat Ye Kay Is Match Main Akila Dananjaya Nay Hat Trick Bhi Ki Thi.

Mager Kieron Pollard Nay Lagatar 6 Sixes Laga Ker Un Ki Sari Khushi Khatam Kardi.

Vijay Hazare Trophy 2022 kay quarterfinal main Maharashtra ka muqabla Uttar Pradesh kay sath tha. Ruturaj Dashrat Gaikwad nay aik over main 7 sixes laga ker unique record apnay naam kia. unhonay left-arm spinner Shiva Singh kai over main yeh record banaya. Shiva nay apnay over main aik No ball bhi kerwai jis per bhi Vijay Nay Six hit kiya.

Sri lanka Main List A Kay Match Main Sri Lanka Army Sports Club Aur Bloomfield Cricket And Athletic Club Aamnay Samnay Thay. Thisara Perera Nay Dilhan Cooray Kay Aik Over Main 6 Chakay Maray Aur Record Book Main Yeh Record Banana Walay Pehlay Sri Lankan Player Ban Gaey.

Perara Nay 52 Runs Sirf 13 Balls Per Banaei. Dilhan Cooray Ko 4 Overs Main 73 Runs Paray. Yeh Match Barish Ki Waja Say Mukamaal Nahi Hosaka.

شیئر

جواب لکھیں