Mohammad Amir Ka Magical Bowling Spell Aur Imad Wasim Ki Losing Cause Mein Aik Aur Fifty, PZ v KK Match Mein Peshawar Zalmi Sirf 2 Runs Par 3 Wickets Girnay Kay Baad Bhi 197 Runs Bana Gaya Aur 24 Runs Kay Baray Margin Say Jeet Bhi Gaya. Yani Karachi Kings Ab Buri Tarah Phans Gaey Hain. Un Ki 7 Matches Mein Sirf 2 Wins Hain Aur Unhain Apnay Last 3 Matches Jeetnay Hain. Warna Last Season Ki Tarah Group Stage Mein Hi Bahar Ho Jayen Gay.

Pakistan Super League 2023

Peshawar Zalmi vs Karachi Kings

1 March 2023

Rawalpindi Cricket Stadium, Rawalpindi, Pakistan

Result: Peshawar 24 Runs Say Jeet Gaya

🟨 PZ197-5
Rovman Powell64 (34)
Tom Kohler-Cadmore56 (45)
KK BowlingOMRW
Mohammad Amir40264
Tabraiz Shamsi40251
🟦 KK(T:198)173-8
Imad Wasim57 (30)
Matthew Wade53 (41)
PZ BowlingOMRW
Azmatullah Omarzai40283
Aamer Jamal40433

Magical Amir

Match Ka Aghaz Buhat Hi Toofani Andaz Mein Hua. 2 Matches Bahar Bethnay Walay Mohammad Amir Nay Aatay Hi Apni Bowling Say Aag Laga Di. Unhon Nay First Ball Par Mohammad Haris Ko LBW Kia Aur Second Last Ball Par Babar Azam Ko Bhi Bilkul Aisay Hi 9 Par Out Kardia.

Donon Magical Deliveries Theen Aur Lagta Tha Match Ki Tone Set Ho Jaey Gi. Laikin Yahan Out Of Nowhere Haseebullah Khan Aagaey, Jinhon Nay Apnay PSL Debut Par Hi Game Change Kardia.

Middle Order Ka Order

Zalmi Middle Order Nay To Kamal Hi Kardia. Shayad Karachi Shuru Mein 3 Wickets Lay Kar Mutma’in Sa Ho Gaya Aur Isi Ka Faida Utha Gaey Peshawari Batsmen. Jo Bhi Ho, Haseebullah Kay Sath Rovman Powell Aur Tom Kohler-Cadmore Nay Karachi Kay Saray Plans Ki Aisi Taisi Kardi.

Haseebullah Nay Crucial Conditions Mein 29 Balls Par 50 Banaey Jabke Rovman Powell 34 Balls Par 64 Runs Bana Kar Match Ko Karachi Ki Grip Say Nikaal Laey. Final Blows Diay TKC Nay, Jinhon Nay 45 Balls Par 56 Runs Ki Not Out Innings Kheli. Aur Peshawar Puhanch Gaya  197 Par.

Kis Nay Socha Tha Ke 3rd Over Mein 2 Runs Par 3 Wickets Dainay Wali Team Yahan Tak Puhanchay Gi.

Karachi Ka Reply

Waisay 198 Runs Chase Karachi Ka Start Bura Nahi Tha. James Vince Ki Jaga Khilaey Gaey Adam Rossington Nay 1 Six Aur 2 Fours Say Mahaul Bana Dia Tha. 5th Over Mein Jab Score 40 Runs Par Puhancha To Wo Boundary Line Par Catch Day Gaey.

Kings Ka Middle Order Waisa Nahi Tha Jaisa Zalmi Ka Tha. Middle Of The Innings Tak Tayyab Tahir Aur Irfan Niazi Donon Out Ho Chukay Thay Aur Score 81 Runs Tha. Yani Last 10 Overs Mein 117 Runs Required Thay Aur Yahan Aaya Match Ka Turning Point.

Turning Point

Yahan Aaya Match Ka Turning Point, Aik Shot Khelnay Ki Koshish Mein Shoaib Malik Kay Haath Say Bat Nikal Gaya Aur Sath Hi Karachi Kay Haath Say Match Bhi. Aamer Jamal Nay Malik Sahib Ko Khud Catch Kia Aur Bolti Band Ka Ishara Kardia.

Bolti Band Hui Ho Ya Na Hui Ho, Runs Zaroor Band Ho Gaey. Imad Wasim Aik End Say Akailay Hi Kharay Reh Gaey. Karachi 20 Overs Mein 173 Runs Hi Bana Saka. Imad Nay 30 Balls Par 57 Runs Banaey Aur Aik Aur Personal Milestone Kay Sath Maidan Say Wapis Aaey.

Imad Ki Innings Phir Zaya

Imad Wasim Nay Peshawar Zalmi Kay Khilaf Last Match Mein Bhi 47 Balls Par 80 Runs Banaey Thay, Phir Bhi Karachi Haar Gaya Hta. Yani Nahi Multan Sultans Kay Against Un Ki 26 Balls 46 Aur Ab Zalmi Kay Khilaf Aik Aur 30 Balls 57 Runs Ki Innings Karachi Kay Kisi Kaam Nahi Aai.

Haan! Personally Imad Ko Kafi Faida Puhancha Hay, Wo 237 Runs Kay Sath Is Season Mein Sub Say Zyada Runs Bananay Walon Mein 2nd Number Par Aa Gaey Hain. Wo Bhi Is Tarah Ke Un Ka Average 118 Say Zyada Aur Strike Rate Taqreeban 180 Hay.

Most Runs in PSL 2023

InnsRunsHSAveSR100/50
Mohammad Rizwan6358110*89.50141.501/3
Imad Wasim723780*118.50179.540/2
Fakhar Zaman52359647.00172790/2
Rilee Rossouw522578*56.25166.660/2
Tom Kohler-Cadmore62169243.20157.660/3

Karachi Peshawar Head To Head

Karachi Is Season Mein 7 Mein Say 5 Matches Haara Hay, In Mein Say 2 Peshawar Kay Khilaf Hain. Karachi Kings Ka To Zalmi Kay Against Record Buhat Hi Bura Ho Gaya Hay. One To One Matches Mein Say 14 Zalmi Nay Jeetay Hain Aur Karachi Ko Sirf 5 Mein Kamyabi Mili Hay.

Pakistan Super League Points Table

27 February 2023

MWLPTNRR
🟩 LQ54181.470
🟦 MS64280.844
🟥 IU5326-0.334
🟨 PZ6336-0.896
🟦 KK72540.565
🟪 QG5142-1.977
شیئر

جواب لکھیں