Kitnay Surprising Results Aaey Hain Na Is FIFA World Cup Mein? Saudi Arabia Nay Argentina Ko Haraya, Japan Nay Germany Aur Spain Ko, Tunisia Nay France, Cameroon Nay Brazil Aur Morocco Nay Belgium, Spain Aur Portugal Ko Shikast Di Aur Dunya Ko Hila Dia. FIFA World Cup Upsets Hi Nay Qatar 2022 Ko ‘Best World Cup Ever’ Banaya Hay. Laikin Akhir Aisa Ho Kyun Raha Hay? Kya Is Ki Koi Khaas Waja Hay? Aayen Talash Kartay Hain.

Aik Different World Cup

Pehla Reason To Ye Hay Ke World Cup 2022 Sab Say Alag Aur Sab Say Juda Hay. Ye Pehla World Cup Hay Jo Football Mein World Kay Aur Continental Powerhouses Say Door Ho Raha Hay. Ye Middle East Mein Honay Wala Pehla World Cup Hay. Isi Liay Different To Hoga!

Ghalat Time Par

FIFA World Cup 2022 Apnay Time Par Nahi Ho Raha. 1930 Say Ab Tak Jitnay World Cup Huay Hain, Sab May Say August Kay Darmiyan Khelay Gaey. Qatar 2022 Wo Pehla Tournament Hay Jo November Aur December Mein Khela Ja Raha Hay.

November-December Mein Bhi Qatar Mein Itni Garmi Hoti Hay Ke Sab Stadiums Ko Air Conditioned Banaya Gaya Hay. Jo Temperature Ko Qabil-E-Bardasht Rakhtay Hain.

Phir Inhi Dinon Mein Jab Dunya Bhar Mein League Football Apnay Urooj Par Hoti Hay. Yahi Waja Hay Ke Kai Teams Kay Players Zakhmi Ya Thakay Huay Nazar Aaey. Ya To World Cup Hi Nahi Khel Sakay, Ye Maidan Mein Utray To Apna Jadu Nahi Jaga Sakay. Defending Champion France Hi Ko Lay Lain, Jis Kay Paul Pogba, N’golo Kante Aur Karim Benzema Sab Zakhmi Honay Ki Waja Say World Cup Mein Nazar Nahi Aa Rahay.

Players Ko Masroof Football Season Ki Waja Say World Cup Ki Preparations Ka Mauqa Bhi Nahi Mila. Especially Aisi Teams Jin Kay Players Mukhtalif Leagues Mein Masroof Thay, Wo Group Stage Mein Struggle Karti Nazar Aaeen. France Aur Argentina To Chalain Sanbhal Gaey, Tunisia Aur Saudi Arabia Kay Hathon Haarnay Kay Baad Bhi Kisi Na Kisi Tarah Semi Final Tak Aa Gaey. Laikin Germany, Belgium, Mexico, Denmark Aur Uruguay Sab First Round Mein Hi Bahar Ho Gaey.

FIFA World Cup Upsets Ki History

FIFA World Cup Upsets Ki Long History Bhi Rakhta Hay. 1966 Mein North Korea Kay Hathon Italy Ki Shikast Say Lay Kar 2022 Mein Saudi Arab Ki Argentina Kay Against Jeet Tak, Upsets Ki Aik Buhat Lambi List Hay. Is Liay Koi Extra Ordinary Result Aa Jana Koi An-Honi Baat Nahi Hay. Bus Is World Cup Mein Aisay Matches Kuchh Zyada Hi Ho Gaey Hain.

Superpowers Ka Daur Khatam?

Football Mein 2 Power Centers Hain: Aik Europe, Doosra South America. Aaj Tak Jitnay World Cup Huay Hain, Sab Inhi 2 Continents Nay Jeetay Hain. Aaj Bhi Best Players Yaheen Kay Hain, Laikin Africa Aur Asia Bhi Tezi Say Aagay Aa Rahay Hain. Ab Wo Zamana Nahi Raha Ke Wohi 3-4 Teams Hi World Cup Mein Musical Chairs Ka Khel Khelain. Aaj Nahi To Jald Hi Koi Non-European Ya South America Say Bahar Ki Team World Cup Uthaey Gi. Ho Sakta Hay Ye World Cup Morocco Ka Hi Ho?

شیئر

جواب لکھیں