Saal Ka Sab Say Barra Muqabla, T20 World Cup Final, Jis Mein Hain 2 Azeem Teams Face-To-Face Hon Gi: Pakistan Vs England. Wohi Teams Jo Last World Cup Mein Semi-Final Haar Ka Bahar Ho Gai Theen, Laikin Is Martaba Title Ki Daway-Daar Ban Kar Samnay Aai Hain.

Final Kahan Dekha Ja Sakta Hay?

Agar Aap Un Khush Qismat Logon Mein Shamil Nahi Jo Melbourne Cricket Ground Mein Ye Match Dekhain Gay, To Koi Baat Nahi. Aap Dunya Mein Kaheen Bhi Beth Kar Ye Final Dekh Saktay Hain.

Ye Match Dopehr 1 Bajay Shuroo Hoga. Jo Pakistan Television Kay Ilawa A-Sports Par Bhi Dekha Ja Sakay Ga. Radio Pakistan Bhi Apnay Medium Wave Network Par Is Ki Live Commentary Nashar Karay Ga.

Agar Aap Online Dekhna Chahtay Hain To Daraz, Tapmad, Jazz Aur Ary Zap Par Bhi Live Hoga.

T20 World Cup Final: Mausam Kaisa Hoga?

Ye Sub Say Khatarnaak Sawal Hay Kyunkay Melbourne Mein Sunday Balkay Reserve Day Monday Par Bhi Barish Ka Imkaan Hay. Agar Match Itwaar Ko Nahi Ho Saka To Peer Ko Khela Jaey Ga. Tab Bhi Mumkin Na Hua To History Mein Pehli Baar Trophy Share Hogi Yani Pakistan Aur England Donon Champions Hon Gay.

Pakistan Aur England T20 World Cup Final Mein Kaisay?

Pakistan Ka World Cup Ka Start Waisa Hi Tha Jaisa Hota Hay. Yani Shuroo Kay Matches Haaray, Pehlay India Say Aur Phir Zimbabwe Say Bhi. Ye Donon Matches Huay To Buhat Tough, Laikin Result To Shikast Hi Nikla Na. Khair, Pakistan Nay Apnay Next 3 Group Matches Jeetay. South Africa, Netherlands Aur Bangladesh Ka Haraya. Laikin Ye Netherlands Kay Hathon South Africa Ki Upset Shikast Thi Jis Nay Paksitan Kay Liay Semi-Final Ki Raah Humwaar Ki.

Semi-Final Mein Pakistan Ka Muqabla Khatarnaak New Zealand Say Hua. Pakistan Nay Usay Bhi Hara Dia Babar Azam Aur Mohammad Rizwan Ki ‘Trademark’ Century Partnership Say Aur Pakistan Puhanch Gaya Teesri Martaba T20 World Cup Final Mein.

Waisay Start To England Ka Bhi Achha Nahi Tha. Especially Ireland Kay Hathon Shikast. Phir Australia Kay Against Us Ka Important Match Bhi Barish Ki Nazar Hua. Laikin England Nay New Zealand Aur Sri Lanka Kay Khilaf Zabardast Kamyabi Hasil Ki Aur Semi-Final Mein Puhanch Gaya, Jahan Us Ka Muqabla Hua ‘Mighty’ India Say.

Laikin Ye Semi-Final Pooray Tournament Ka Most One-Sided Match Sabit Hua. Alex Hales Aur Captain Jos Buttler Ki Batting Nay India Ko 10 Wickets Say Hara Dia. Aik Aisi Jeet Jo Buhat Arsay Tak Yaad Rakhi Jaey Gi.

To Final Mein Ab 2 ‘Zakhmi Sheron’ Ka Muqabla Hoga.

Kin Ka Muqabla Dekhnay Wala Hoga?

Final Mein Pehla Muqabla Hoga Openers Ka: Pakistan Kay Babar Azam Aur Mohammad Rizwan Prolific Openers Hain. Donon Ka Start Kuchh Slow Zaroor Hota Hay Laikin Aanay Walay Batsmen Kasar Poori Kar Detay Hain. Especially Mohammad Haris Nay Ye Role Buhat Achhi Tarah Play Kia Hay.

Bowlers Mein Shaheen Afridi Starting Mein Nakaam Honay Kay Baad Ab Peak Par Hain. Shadab Khan Bhi Best Performance Day Rahay Hain.

England Ki Batting Line Dekhain To ‘Shaitan Ki Aant’ Ki Tarah Lambi Hay.  Buttler Aur Hales Say Shuroo Hoti Hay Aur Phir Chalti Hi Chali Jati Hay. Phir Bowlers Mein Sam Curran Aur Adil Rashid Zabardast Bowling Kar Rahay Hain.

Donon Teams 1,1 Martaba World Champion Reh Chuki Hain. Donon Nay 2,2 Final Khelay Hain Yani Aik Jeeta Aur Aik Haara Hay. Pakistan Nay 2007 Mein India Say Final Mein Shikast Khai Laikin 2009 Mein Champion Bana. England 2010 Mein Apni History Ki Pehli ICC Trophy Jeeta Laikin 2016 Mein West Indies Say Hara. Carlos Brathwaite Remember The Name!

92 Mein Bhi…

Is World Cup Ki Khaas Baat Hay 92 Say Buhat Zyada Similarities. 30 Saal Pehlay Khelay Gaey World Cup 92 Mein Bhi Pakistan Aisay Hi Girta Parta Final Tak Puhancha Tha, Jahan Us Ka Muqabla England Say Hi Hua Tha. Wo Bhi Isi MCG Kay Maidan Par. Yani 30 Saal Baad Ya To England Apna Badla Lainay Main Kamyab Ho Jaey Ga Ya Phir Pakistan History Repeat Karay Ga.

شیئر

جواب لکھیں