Author: فہد کیہر

T20 World Cup Main Sri Lanka Kay Baad Agla Shikar Bana Hay West Indies. Pehlay Din Group A Main Sri Lanka Ko Namibia Nay Shikast Di Thi To Doosray Roze Group B Main West Indies Scotland Say Haar Gaya Hay. https://twitter.com/ICC/status/1581922910180081664?s=20&t=IQyIN1pfy5MQL1RAed5WLg Ye Hobart Main Khela Gaya First Round Ka Match Tha Jis Main Donon Teams Pehlay Bowling Karna Chah Rahi Theen. Toss Jeeta West Indies Nay Aur Khushi Khushi Scotland Ko Khelnay Ki Dawat Day Di. Laikin Scotland Nay Yahan Super Say Bhi Ooper Perform Kia, 160 Runs Banaey Aur Phir West Indies Ko Allout Kar Kay Upset Kar Dia.…

مزید پڑھیں

T20 World Cup Ka Is Say Ziada Dhamakay Daar Start Ho Nahi Sakta Tha. Aik Taraf Namibia Nay Sri Lanka Ko Upset Kia, To Baad Main Isi Ground Par Netherlands Aur United Arab Emirates Ka Kaantay Daar Muqabla Dekhnay Ko Mila. Jis Main Netherlands Nay Last Over Main Sirf 3 Wickets Say Kamyabi Hasil Ki. Yani Pehlay Hi Din Maza Aa Gaya! https://twitter.com/ICC/status/1581609603661537283?s=20&t=bm-u11c5BKD7kSpZEBsoNQ Is Match Main Toss Jeeta Emirates Nay Aur Pehlay Khud Khelnay Ka Faisla Kia. Start Main Wickets To Nahi Deen, Laikin Khela Buhat Slow. Openers Chirag Suri Nay 20 Balls Par Sirf 12 Runs Banaey, Aur Muhammad…

مزید پڑھیں

Yeh Hai Sri Lanka! Khatarnaak Sri Lanka. Kuch Haftay Pehlay Asian Champion Ban'nay Wala, India Ko Haranay Wala Aur Pakistan Ko 1 Nahi 2 Martaba Shikast Dainay Wala Sri Lanka. Jab Ye Introduction Namibia Ko Karwaya Gaya to Wo Bola “Hoga, Hamain Kia?” Aur Phir T20 World Cup 2022 Ke Pehlay Muqablay Main 55 Runs Se Sri Lanka Ko Hara Kar Aik Bara Upset Kar Dia. https://raftar.com/t20-world-cup-ke-upset-matches/ Namibia Nay To Aaj Kamaal Hi Kar Dia. Toss Hara, Pehlay Batting Karna Pari, Sirf 16 Runs Par Dono Openers Out Ho Gaey, Balkay 14 Overs Main 91 Runs Par Hi 5 Wickets…

مزید پڑھیں

Aaj Hay 15 October, Babar Azam Ka Birthday. Aur Ye Birthday To Buhat Hi Special Raha, Kiunke Isay Manaya T20 World Cup Kay Sub Captains Nay. Ji Haan, World Cup Say Pehlay Trophy Kay Sath Sub Captains Ka Photo Session Hua. Jis Main Australia Kay Captain Aaron Finch Babar Azam Ka Birthday Cake Lay Kar Aa Gaey. Phir Tamam Captains Nay Aik Special Birthday Party Ki. India Kay Rohit Sharma Say Lay Kar New Zealand Kay Kane Willamson Tak, Sub Is Party Main Shareek Thay, Jinhon Nay Gaaya ‘Happy Birthday To You Babar!”. Yani Ye Aik Buhat Unique Moment Tha.…

مزید پڑھیں

Aik Aur Big Match Aur Asif Ali Ka Aik Aur Big Failure. Aaj To Asif Aey Bhi Easy-Peasy Situation Main. Pakistan 164 Runs Chase Kar Raha Tha Aur Hyder Ali Aur Mohammad Nawaz Apna Kaam Kar Chukay Thay, Bus Zarurat Thi Aik Finishing Touch Ki. Asif Aaey Aur 2nd Ball Par Hi Catch Day Kar Chalay Gaey, Sirf Aur Sirf 1 Run Bana Kar. Pakistan Baad Main Mohamad Nawaz Aur Iftikhar Ahmed Ki Waja Say Jeet To Gaya, Laikin Asif Ki Big Matches Main Fail Honay Ki Kahani Jari Hay. https://twitter.com/_MunirAbbasi/status/1580798906501189637?s=20&t=USNTySviWW4-ny3I2N9RMA Jee Haan! Aisa Pehli Baar Nahi Hua. Last Year…

مزید پڑھیں

Pakistan Kay Mohammad Rizwan Kheltay Hain, Aur Kamal Kheltay Hain, Bus New Zealand Kay Khilaf Tri-Series Final Main Un Ka Balla Nahi Chal Saka. 29 Balls Par Sirf 34 Runs Bana Kar Hi Out Ho Gaey. Laikin India Kay Suryakumar Yadav Aka SKY Ko Peechay Zaroor Chhor Gaey Hain. Wo Kaisay? Asal Main Suryakumar Yadav Is Saal Yani 2022 Main Sub Say Ziada 801 Runs Rakhtay Thay, Laikin Rizwan Nay Aaj Jab Apna 15th Run Lia To Wo SKY Say Aagay Nikal Gaey. World No. 1 T20i Batter Rizwan Kay Liay 2022 Bhi Zabardast Raha Hay. Pichhlay Saal Unhon Nay…

مزید پڑھیں

Pakistan Asia Cup 2022 Ka Final Haara, Us Kay Baad England Kay Khilaf T20 Series Kay Last Aur Decisive Match Main Bhi Shikast Khai, Laikin Is Martaba Aisa Nahi Hua, Nawaz Nay Honay Nahi Dia. Pakistan New Zealand Kay Khilaf Tri-Series Ka Final 5 Wickets Say Jeet Gaya. World Cup Ki Is Say Achhi Tayari Ho Nahi Sakti. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1580801312005890048?s=20&t=USNTySviWW4-ny3I2N9RMA Is Jeet Main Surprisingly Middle Order Nay Buhat Important Role Play Kia, Aray Nahi Asif Ali Nay Nahi, Wo To Aik Martaba Phir Buri Tarah Nakam Huay. Ye Mohammad Nawaz Thay Jinhon Nay Hyder Ali Aur Iftikhar Ahmed Kay Sath Mil…

مزید پڑھیں

Dead Rubber Tha To Pakistan Aasani Say Jeet Gaya, Laikin Semi Final Ka Pressure Green Shirts Ko Lay Dooba. Pakistan Women’s Asia Cup Kay Semi Final Main Sri Lanka Kay Hathon Sirf 1 Run Say Haar Gaya. Yani Pak-India Final Dekhnay Ki Umeed Khatam Hogai. Agar Ye Kahain To Ghalat Nahi Hoga Ke Pakistan Nay Jeeta Hua Match Haara. Last 4 Overs Main Pakistan Ko Sirf 23 Runs Ki Zarurat Thi. Captain Bismah Maroof Is Say Pehlay 2 Fours Bhi Laga Chuki Theen, Laikin Is Kay Baad Pakistan Aik Boundary Tak Nahi Laga Saka. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1580507816171048961?s=20&t=uo8t_ZHMEe-cArMmjzBvOQ Sri Lanka Nay Toss Jeetnay…

مزید پڑھیں

Bangladesh Kay Khilaf Match Jeetnay Kay Baad Pakistan Kay Captain Babar Azam Ki Press Conference Main Us Waqt Maza Aa Gaya, Jab Aik Journalist Nay Tv Host Aftab Iqbal Kay Baray Main Aik Sawal Kar Dia. Journalist Ka Kehna Tha Ke Aftab Iqbal Keh Rahay Hain Ke As A Captain Aap Theek Nahi Chal Rahay. Is Tarah Ki Batein Sun Kar Kitna Afsos Hota Hay? Jawab Detay Huay Babar Azam Nay Kaha Ke Mujhay Nahi Pata Aap Kis Ki Baat Kar Rahay Hain. Jin Ka Aap Naam Lay Rahay Hain, Main To Unhain Janta Bhi Nahi. https://twitter.com/raftardotcom/status/1580500362146246656?s=20&t=tct0BhXwKFOYdxvVorjvFQ Kuch Din Pehlay…

مزید پڑھیں

Pakistan Nay New Zealand Tri Series Kay Final Say Pehlay Apna Last Match Bhi Jeet Lia Hay. Bechara Bangladesh Puray Tournament Main Aik Match Bhi Nahi Jeet Saka Aur Yahan Last Chance Bhi Zaya Kar Dia. Pakistan Nay Is Match Main 7 Wickets Say Kamyabi Hasil Ki, Laikin Margin Par Na Jaen, Pakistan Nay Last Over Ki 5th Ball Par Target Hasil Kia. Pakistan Ko Last 2 Overs Main 14 Runs Ki Zarurat Thi Laikin 19th Over Main Sirf 6 Runs Banay Aur Mohammad Rizwan Ki Wicket Bhi Chali Gai. Yoon Match Phans Gaya, Yahan Tak Ke Last Over Ki…

مزید پڑھیں