Author: فہد کیہر

T20 World Cup 2022 Ke Liye Mukhtalif Mulk Apni Kits Bana Chukay Hain Balkay Is Mein Kai Matches Bhi Khail Chukay Hain. Australia, England, India, Bangladesh Ke Ilawa Pakistan Bhi World Cup Ki Kit Mein Khail Raha Hay. Kisi Ko To Yeh Shirt Bohat Pasand Aa Rahi Hay Lekin Kayi Log Keh Rahay Hain "Yeh To Tarbooz Hay Yaar!" https://twitter.com/TheRealPCB/status/1571847357263749124?s=20&t=lhCRm6F1tc4uachbcJUF-w Aik Zamana Tha Cricket Safaid Kapray Pehan Kar Khela Jata Tha, Lekin Zamana Badla Aur Sath Hi Bohat Kuch Badal Gaya. Cricket Day And Night Ho Gai, Gaind Red Se White Ho Gayi, Kapray Ho Gaey Rangeen Aur Cricket Ban…

مزید پڑھیں

Pehlay Karachi Aur Phir Lahore, Donon Jagah Stadium Main Aik Ajeeb Sa Nara Lag Raha Tha: Parchi Parchi! Laikin Agar Hum Aap Ko Bataen Ke Team Main Koi Aur Bhi Hay Jo Shayad Parchi Nahi Poora “Parcha” Hay To…? Is Parchay Ka Na Average Hay, Na Strike Rate Aur Kabhi Barray Match Main Run Bhi Nahi Karta. Miliay Asif Ali Say…! Asif Ali Ka T20i Career MatRunsHSAveSR100s50s4s6s4950141*15.45136.00002334 Janta Hoon Aap Soch Rahay Hon Gay Ke Asif Becharay Ko Gendain Hi Kahan Milti Hain? Ghalat! T20 Internationals Main 44 Main Say 24 Innings Main Asif Bhi Ki Batting 15wain Over Main…

مزید پڑھیں

Pakistan 2007 Ke T20 World Cup Mein Final Haar Gaya Tha, Woh Bhi India Se. Dil Totay Totay Ho Gaya Tha Aur Usay Jor Sakti Thi Sirf Aik Cheez, Aik World Cup. Phir 2009 Mein Aik Aur T20 World Cup Hua, Jis Mein Bhi Kai Yadgar Matches Hue. Final Bhi Kamaal Tha, Jis Mein Jeeta Kon? Jee Haan! Pakistan. Final Tak Bhi Jaaen Ge Lekin Pehlay Zara Is World Cup Ke Kuch Yadgar Matches Ki Baat To Kar Lain. Aik Aur Start, Aik Aur Upset Is World Cup Ka Aaghaz Bhi Dhamakay Daar Tha. Pehlay Match Mein England Aur Netherlands…

مزید پڑھیں

Is Saal Ka Sab Say Bara Tournament Kaun Sa Hay Bhai? Seedhi Si Baat Hay T20 World Cup! Iss Waqt To Bhayya Yahi Format Chal Raha Hay. Test Ko To Ab Puranay Log Bhi Nahi Dekhtay, One Day Bechaara Darmiyan Mein Latka Hua Hay, Lekin T20 Hay Laadla Format. Aur Jab Is Ka World Cup Aa Jaye To Hype To Banti Hay Boss! To Aaen Is Hype Ko Aur Barhatay Hain, Aur Baat Kartay Hain Har T20 World Cup Kay Yadgar Matches Ki, Kuchh Aisay Moments, Ki Jo Bhulaey Nahi Bhooltay. Cricket Mein World Cup Ki Tareekh To Bohat Purani…

مزید پڑھیں

Asal Cricket To Test Cricket Hay, Laikin ‘Kamaanay Wala Larka’ T20 Hay. Franchise Cricket Main Itna Paisa Hay, Itna Paisa Hay Ke Ab Test Ko To Koi Ghaas Hi Nahi Daal Raha Aur One Day Cricket Ko Apni Jaan Kay Laalay Paray Gaey Hain. Kiunkay Buhat Say Log Keh Rahay Hain Ke 50 Overs Cricket Ko Khatam Kar Daina Chahiye Aur Kuchh Kehtay Hain Zamanay Kay Sath Odi Cricket Ko Bhi Badalna Chahiyay. Baat Yahan Tak Puhanch Gai Hay Ke Buhat Say Players Odi Cricket Say Apni Jaan Chhura Rahay Hain. Aik Taraf England Kay Ben Stokes Nay Odi Say…

مزید پڑھیں

Queen Elizabeth Bilaakhir Chali Gaeen. Baqi Dunya Ko To Afsos Tha Hi, Cricket Bhi Is Ki Zadd Main Aa Gai. England Aur South Africa Ka Aakhri Test Chal Raha Tha, Pehlay Din Barish Ho Gai Aur Doosray Din Queen Chali Gaeen, Yani Jo Series Decider Match Tha, Us Main 2 Din Ka Khail Zaya Ho Gaya. Yahan Aik Sawal Paida Hota Hay: Barish Ki Waja Say To Cricket Ruk Jati Hay, Maidan Geela Ho Tab Bhi Match Nahi Khaila Jata. Kabhi Barfbaari Ho, Sandstorm Aa Jaey Ya Khuda Na Karay Terrorist Attack Ho Jaey To Match Cancel Hona Samajh Aata…

مزید پڑھیں

Cricket Rules : One Day cricket kay rules main aai hain kuch bari changes. Jo buhat important bhi hain aur zaroori bhi. Kuch changes aisi hain jin say batsman ko faida puhanchay ga aur kuch aisi hain jin se bowlers baray khush hon gay. Pehli barri tabdeeli ye hay ke ab ball par saliva yani thook laganay par mukammal pabandi hogi. 2020 main jab Coronavirus aaya tha to usay phhailnay say roknay kay liye thook ka istemaal band kar diya gaya tha. Lekin ab usay pakka thakka qanoon bana diya gaya hai. Doosri ahem tabdeeli hay ke ab catch hotay…

مزید پڑھیں

Kya Aap Aik Student Hain? To Chahay Panchwin Main Parhte Hon Ya College Main, Time To Aap Kay Paas Bilkul Nahi Hoga. Bhala Aap Se Ziyada Busy Kon Hay Aajkal? To Parhai Kay Liye Waqt Kaisay Nikalen Gay Aur Nai Cheeze Kaisay Sekhen Gay? Is Kay Liye Aap Ki Jaib Main Hay Ala Deen Ka Chairag. Jee Haan! Wohi Smart Phone, Jis Ki Wajah Se Aap Bohat Busy Rehtay Hain. Usay Nikalen Aur Jo Apps Hum Bitanay Ja Rahay Hain Woh Install Kar Len, Bohat Kuch Sekhen Gay. Arrey Nahi, Nahi, Hum Aap Ko Khan Academy Ka Nahi Bitayen Ge.…

مزید پڑھیں

Ye 2001 Ka Wimbledon Hay. 19 Saal Ka Aik Nojawan, Jisay Koi Nahi Janta Tha, Pehli Baar Kisi Barray Tournament Main Seed Ho Kar 4th Round Tak Puhancha Tha. Laikin Yahan Us Ka Muqabla Parr Gaya Musalsal 4 Martaba Kay Champion Pete Sampras Say, Yani Apnay Hi Bachpan Kay Hero Say.Sampras Thay Bhi Hot Favourite, Aakhir Kiyun Na Hotay? Wo Is Match Say Pehlay Wimbledon Main Musalsal 56 Matches Jeet Chukay Thay Laikin 5 Set Kay Muqablay Main Haar Gaey. Jeetnay Kay Baad Jab Us Nojawan Nay Sampras Say Haath Milaya To Us Ki Aankhon Main Aanso Thay. Us Nay…

مزید پڑھیں

England Aa Gaya Bhai! Pooray 17 Saal Baad. 2 Nahi, 3 Nahi Poooray 7 T20 Matches Khailnay Kay Liye. Aanay Walon Mein Moin Ali Bhi Hain, Adil Rasheed Bhi Aur Jos Buttler, Alex Hales , Dawid Malan, Chris Woakes, Mark Wood aur Phil Salt Bhi, Bohat Se Naam Hain Jo Karachi Aur Lahore Mein Action Mein Nazar Ayen Gay. Yoon Pakistan Ko Aik Barri Team Ke Khilaf World Cup Ki Behtareen Tayari Ka Mauqa Miley Ga. Yeh Series Kon Jeetay Ga? On Paper To England Bohat Mazboot Hai, Lekin... Pakistan Bhi Kam Nahi Hai. Is Liye Muqabla To Hoga Tagrra!…

مزید پڑھیں