Author: محمد عرفان

“Aik Bara Business Chhota Shuru Hota Hay” ~ Sir Richard Branson Billionaire Richard Branson Ne Jo Kaha Wo Cent Per Cent Sahi Hay. Richard Branson Virgin Group Ke Founder Aur British Businessman Hain, Unko Group Various Sectors Main 400 Companies Control Karta Hay. Chahay Mcdonlad, KFC Aur Starbucks Hon Ya Google, Amazon, Apple, Facebook Jesay Tech Giants. In Sab Ne Bohat Chhotay Paimanay Per Kaam Start Kiya Tha. Subway Ke Founder Fred DeLuca  Ne 17 Years Ki Age Main Sandwiches Bechnay Ka Business Chotay Scale Per Shuru Kiya Tha. Kya Aap Apna Business Karna Chahtay Hain? Pakistan Main Bhi Aap…

مزید پڑھیں

Türkiye Ki Economy Crisis Ka Shikar Hay. Inflation Ke Lihaz Se Türkiye Dunya Ke Top 5 Mulkon Mian Shamil Ho Chuka Hay. Mehngai Ka Rate 85.5% Tak Pohnchnay Ki Wajah Se Awam Ki Zindagi Mushkil Ho Chuki Hay. Businesses Aur Factories Band Ho Rahi Hain, Farmers Bhi Pareshan Hain. Yöneylem Social Research Centre Ke Survey Ke Mutabiq Türkiye Ki 85 Million Population Main Se Almost 56 Million Afrad Ko Apni Food Cost Aur Rent Pay Karnay Main Difficulties Ka Samna Hay. Is Ke Nateejay Main Mental Illness Aur Personal Debt Barh Raha Hay. Magar Aisa Kiun Hua? Türkiye Ki Economy…

مزید پڑھیں

Mehngai Ab Sirf Gharib Mulkon Aur Gharib Afrad Ka Problem Nahi Raha. Is Monster Ne Dunya Ke Sab Mulkon Ko Apnay Panjon Main Jakar Liya Hay. Geopolitical Tensions Ki Wajah Se Energy Costs Barhti Ja Rahi Hain. Supply Side Main Disruptions Ki Wajah Se Bhi Consumers Per Burden Par Raha Hay. Is Ka End Result Ye Hay Ke Dunya Ke Almost 50% Mulkon Main Double Digit Ya Us Se Bhi Higher Inflation Ho Chuki Hay. 2022 Main Mehngai Ke Maar Kahan Kahan? Jesa Ke Map Main Dekha Sakta Hay, In Dinon Beshumar Mulk Record-High Levels Of Inflation Se Guzar Rahay…

مزید پڑھیں

English Ki Aik Expression Hay “You Are What You Eat”. Taqreeban 200 Saal Purani Is Phrase Ki Sachai Waqt Ke Saath Saath Mazeed Prove Hoti Ja Rahi Hay. Nai Researches Batati Hain Ke Hum Jo Kuch Khatay Hain Us Ka Asar Na Sirf Hamary Heart, Liver Aur Dusray Body Parts Per Parta Hay Bulkay Is Ka Bohat Zyada Impact Hamary Brain Aur Mood Per Bhi Hota Hay. Nutritionists Ka Kehna Hay Ke Kuch Foods Brain Ko Damage Karti Hain Aur Kuch Foods Brain Ko Healthy Aur Sharp Rakhti Hain. Brain Damaging Foods Ke Baaray Main Aap Yehan Parh Saktay Hain.…

مزید پڑھیں

Aksar Naujawanon Ka Ye Sawal Hota Hai Ke Is Mulk Ne Humain Kya Diya Hai? Bohat Kam Naujawan Khud Se Ye Sawal Karte Hain Ke Main Ne Is Mulk Ko Kya Diya Hai Ya Main Is Mulk Ke Liye Kya Kar Sakta Hon? Hamaray Aksar Naujawan Halaat Ka Shikwah Karte Dikhayi Detay Hain. Achi Taleem Nahi Hai, Job Nahi Hain, Gandagi Hai, Corruption Hai. Economy Doob Rahi Hai. Aisay Main Aksar Naujawanon Ki Ye Khwahish Hoti Hai Ke Apna Watan Chhor Kar Pardes Chalay Jayen. Haal Hi Main Kiye Jane Walay Aik Survey Main Ye Baat Samnay Aayi Hai Ke…

مزید پڑھیں

Thanay (Police Station) Aur Kachehri (Court) Se Allah Bachaye. Aap Ne Aksar Logon Ko Ye Dua Mangtay Suna Ho Ga. Halan Ke Thana Aur Kachehri Dono Insaf Aur Tahaffuz Ki Jagah Hain, Phir Pakistani In Se Khauf Kiun Khatay Hain? Is Ki Wajah Wo Personal Ya Kisi Jananay Walay Ke Wo Experiences Hain Jo Police Station Aur Court Of Law Main Hotay Hay. Yehi Wajah Hay Ke Pakistan Main Insaaf Ke Ye Idaray Sab Se Daghdar Samjhay Jatay Hain. Transparency International (TI) Ke Latest Annual Survey Main Bhi Yehi Samnay Aaya Hay. National Corruption Perception Survey 2022 Ke Key Points…

مزید پڑھیں

Pakistan Ke Halaat Bohat Kharab Hain. Mulk Default Ke Kinare Par Khara Hai. Mehengai Aur Be Rozgari Barhti Ja Rahi Hai. Economist Hon Ya Aam Aadmi, Sab Ki Zabaan Se Aaj Kal Isi Qisam Ki Baatein Sunnay Ko Millti Hain. Aisay Mein Bohat Se Log Yeh Bhi Kehte Nazar Atay Hain Ke Agar Mujhe Mauqa Miley To Mein Pakistan Chhor Kar Bahar Chala Jaoun. Aam Taasur Yahi Hai Ke Aisa Sochnay Walay Pakistanion Ki Aksariyat Hogi. Isi Liye 'Pakistan Zindabad' Naaray Ki Parody 'Pakistan Se Zinda Bhag' Banayi Gai. Ke Kisi Na Kisi Tarah Mulk Se Nikal Jaao. Pakistan Se…

مزید پڑھیں

Sab Passport Aik Jaisay Nahi Hotay. Na Rang Aur Design Mein Na Usefulness Mein. Duniya Mein Sab Se Ziyada Taaqatwar Passport Wo Mana Jata Hai Jo Agar Aap Ke Paas Ho To Aap Duniya Ke Ziyada Se Ziyada Mumalik Mein Baghair Visa Ya Visa on Arrival Par Ja Saktay Hain. Western Aur Developed Mulkon Ko Ye Bohat Arsay Se Ye Aizaz Hasil Hai Ke Un Ka Passport Rakhnay Wala Fard Duniya Mein Azadi Se Ghoom Phir Sakta Hai. Ab Ye Aizaz Aik Muslim Mulk UAE Ko Hasil Ho Gaya Hai Jis Ke Shehri Baghair Visa Ya Visa On Arrival Par…

مزید پڑھیں

The Legend Of Maula Jatt Ne Pakistani Cinema Ko Revive Kiya Hay. Ye Film Ab Tak Pakistan Ki Sb Se Zyada Business Karnay Wali Film Bhi Ban Gayi Hay. 1979 Ke Super Hit Maula Jatt Ke Kridaron Per Mushtamil Film Ne Jahan Kai Record Aur Aizaz Apnay Naam Kiye Hain Ab Is Ki Cap Main Aik Aur Feather Ka Izafa Ho Gaya Hay. Google Ke Year In Search Data Ke Mutabiq Maula Jatt 2022 Main Pakistan Main Sab Se Zyada Search Ki Janay Wali Movie Rahi. List Main Dusray Number Per Streming Services Disney+ Ki TV Series Ms. Marvel Rahi.…

مزید پڑھیں

Google Ne 2022 Ke Liye Apne Salana ‘Year in Search’ Ka Data Jari Kardiya Hai. Pakistan Ka Data Dekhen Tou Top Trending Searches Main Cricket Top Of The List Nazar Aati Hai. Top Trends Ki First 3 Positions Par T20 World Cup, Asia Cup Aur PSL 7 Ka Qabza Raha. Herat Angaiz Tor Par Puray Mulk Mein Honay Wali Barishain Aur Is Ke Baad Aanay Wala Sailab Top Trends Mein Jagah Bananay Mein Nakaam Raha, Lekin Climate Change Aur Ehsaas Program Ki Talaash Hoti Rahi. World Cupp T20 Ki Wajah Se Melbourne Ke Mausam Mein Bhi Pakistanio Ne Dilchaspi Dikhayi.…

مزید پڑھیں