Author: محمد عرفان

2022 Ka Saal Khatam Ho Raha Hay. Ye Saal Pakistanion Ke Liye Khasa Hungama Khez Raha. Is Aik Saal Main Mulk Main Bohat Si Tabdeeliyan Aayeen. Tabdeeli Sarkar Ke Bajaye PDM Ki Hukumat Ban Gayi. Shikwa Karnay Walay Kehtay Hain Ke Awam Ki Halat Nahi Badli. Aisa Nahi Hay, Awam Ki Zindagiyon Main Bhi Bohat Tabdeeli Aayi Hay. Ye Baat Aur Hay Ke Tabdeeli Positive Ke Bajaye Negative Rahi Hay. Petrol, Bijli, Gas, Food Items Aur Dusri Cheezon Ki Mehngai Ne Awam Ko Din Main Taray Dikha Diye Hain. 2022 Pakistanion Ko Kya De Kar Ja Raha Hay? January 2022…

مزید پڑھیں

Benjamin Netanyahu Aik Baar Phir Israel Ke Prime Minister Ban Gaye Hain. Likud Party Ke Sarbarah Ne Is Baar Iqtidaar Far Right Extremist aur anti-muslim Yahodi Parties Se Ittehaad Ke Zariye Haasil Kya Hai. 73 Sala Benjamin Netanyahu Israel Ki Tareekh Main Sab Se Ziyada Lambay Arsay Tak Is Ohday Par Reh Chukay Hain. Woh Pehlay 1996 Se 1999 Tak Wazeer-e-Azam Rahay. Baad Main 2009 Se 2021 Tak 12 Saal Un Ki Hukoomat Rahi. June 2021 Main Un Ko Corruption Ke Ilzamaat Par Wazeer-e-Azam Ke Ohday Se Farigh Kya Gaya Tha. Netanyahu Ki Nayi Government Aur Khadshat November Main Honay…

مزید پڑھیں

Warren Buffet Ki Net Worth $116 Billion Hay. Nick Saban Ne 7 National Titles Jeetay Hain. Ye Donon Apnay “Inner Scorecard.” Ke Tehat Zindagi Guzartay Hain. Inner Scorecard Kiya Hay Aur Isay Kesay Use Karen? Success Ko Measure Karnay Ke 2 Tariqay Hotay Hain.  • Outer Scorecard• Inner Scorecard Zyada Tar Log Pehla Scorecard Use Kartay Hain, Magar Jo Log Best Hotay Hain Wo Dusra Walay Scorecard Per Focus Kartay Hain. Chaliye In Donon Ko Break Down Kartay Hain. Outer Scorecard Zyada Tar Log Success Ko • Fame, • Money, • Status, • Influence, • Accolades, • Recognition, Aur •…

مزید پڑھیں

Pakistan Main Aik Baar Phir Technocrat Government Ki Baatein Chal Rahi Hain. April 2022 Main PDM Ne Imran Khan Ko No Confidence Motion Ke Zariye Hataya. Shahbaz Shareef Wazir-e-Azam Tou Ban Gaye Lekin Na Mulk Main Political Stability Aayi Aur Na Economy Ki Haalat Behtar Hui. IMF Naye Loan Ke Liye Mazeed Sakht Conditions Laga Raha Hay. Foreign Exchange Reserves Roz Baroz Kam Hotay Jarahay Hain. Mulk Ke Default Honay Ki Baaten Bhi Ki Jarahi Hain. Technocrat Government Se Kis Ko Faida Ho Ga? Aik Taraf Imran Khan Hukoomat Par Siyasi Dabao Barha Rahay Hain Aur Naye Election Ka Mutalba…

مزید پڑھیں

Books Aur Insaan Ka Talluq Bohat Purana Hay. Duniya Ke Har Mazhab, Har Mulk, Har Qaum Main Kitab Ko Aik Khususi Hesiyat Hasil Hay. Kyunkay Book Aisa Zariya Hay Jo Hamen Jeeney Ke Dhang Sikhati Hay, Hamara Hosla Barhati Hay Aur Aagay Barhnay Ke Rastay Dikhati Hay. Waqt Badalny Se Kitab Ki Surat Zaroor Badal Gayi Hay Magar Zarurat Kam Nahi Hui. Ye Baat Ab Scientific Tehqeeq Se Bhi Saabit Ho Gayi Hay Ke Suni Aur Dekhi Hui Cheez Ke Muqablay Main Parhi Hui Cheez Hafzay Mein Ziyada Arsay Tak Mehfooz Rehti Hai. Lekin Aham Sawal Ye Hota Hay Ke…

مزید پڑھیں

Mulk Default Karne Wala Hay. Economy Ki Haalat Kharab Hay. IMF Qarz Nahi Day Raha. Pakistan Mein Har Dahai Mein Aisi Duhaiyan Sunai Deti Rahi Hain. Shuru Din Se Qarz Par Chalnay Walay Mulk Mein Aisa Hona Koi Anokhi Baat Bhi Nahi. Magar Guzishta Chand Mahinon Se To Yeh Shor Bohat Barh Gaya Hay. Aik Tarf Covid-19 Ke Baad Se World Economies Pressure Ka Shikaar Theen Tou Is Ke Baad Russia Ukraine War Se Duniya Bhar Mein Mehengai Ka Jo Toofaan Aaya Is Se Bhi Har Mulk Mutasir Hua, Khaas Tor Par Kamzor Economy Walay Mulk Shadeed Mushkilaat Se Dochar…

مزید پڑھیں

International Monetary Fund Ya IMF Ko Pakistani Awam Villain Samjhatay Hain. IMF Program Ke Baat Suntay Hi Pakistanion Ke Zehn Main Mehngi Bijli, Mehnga Petrol, Subsidies Ke Khatmay Waghera Jesay Bhayanak Khayal Aatay Hain. Isi Liye Hamaray Leader Jab Opposition Main Hotay Hain Tou IMF Ke Programs Ko Mulk Dusmni Batatay Hain Aur Jab Khud Hukumat Main Aatay Hain Tou Khud Bhi IMF Ke Darwazay Per Pohnch Jatay Hain. Pakistan Aaj Kal Phir IMF Ke Loan Program Ko Revive Karwanay Ke Liye Minnaten Kar Raha Hay. Mulk Ke Forex Reserves Drastically Kam Ho Chukay Hain. IMF Extended Fund Facility (EFF)…

مزید پڑھیں

Aksar Zehreelay Saanp Bohat Khubsurat Hotay Hain. Wo Apni Dilkashi Se Skhikar Ko Lubhatay Hain. Usay Mesmerize Kar Detay Hain Aur Phir Apnay Zehar Se Shikar Ko Maut Ki Neend Sula Detay Hain. Wo Bhi Apnay Shikar Ko Apni Handsome Personality Se Impress Karta Tha, Apni Baaton Ke Jaal Main Usay Phansa Kar Usay Bebas Kar Deta Tha Phir Zehar Ya Kisi Aur Tareeqay Se Apnay Victim Ki Jaan Le Leta Tha. Saanp Ki Speed Aur Skin Badalnay Ki Ability Bhi Mashhoor Hay. Wo Bhi Apna Kaam Barq Raftari Se Karta Tha Aur Behroop Badalany Ka Mahir Tha. Isi Liye…

مزید پڑھیں

Dunya Ke Ameer Tareen Shaks Elon Musk Ka Shayad Khayal Tha Ke Twitter Ka Malik Bannay Ke Baad Un Ki Popularity Barhi Hay. Agar Wo Twitter Ke CEO Ki Post Chhornay Ka Faisla Karen Gay Tou Logon Ki Akasariyat Un Ki Minnat Samajat Karay Gi Aur Unhen Roknay Ki Koshish Karay Gi. Isi Khush Fehmi Main Unhon Ne Twitter Per Poll Karaya Ke Kiya Unhen Ye Ohda Chhor Dena Chahiye? Unhon Ne Wada Bhi Kiya Ke Wo Poll Ke Result Per Amal Karen Ge. Poll Main 1 Crore 75 Lakh Se Zyada Logon Ne Hissa Liya Aur 57% Yani Almost…

مزید پڑھیں

Pakistan Ke Aksar Elaqon Main In Dinon Sardi Aa Chuki Hay. Sardi Se Bachnay Ke Liye Tarah Tarah Ke Jatan Kiye Jatay Hain. Is Silslay Main Kuch Log Baaz Cheezon Main Negligence Dikhatay Hay Jis Ki Wajah Se Kabhi Kabhi Nuqsan Bhi Uthana Parta Hay. Is Liye Sardi Main Kuch Baton Ka Khayal Rakhna Bohat Zaruri Hay. 1. Heater Chalta Chhor Kar Na Soyen Akasr Aisay Incidents Media Main Report Hotay Hain Ke Log Sotay Huvay Gas Heater Jala Kar So Jatay Hain Jis Ki Wajah Se Oxygen Ki Kami, Heater Band Ho Janay Se Gas Bhar Janay Ya Aag…

مزید پڑھیں