Author: محمد عرفان

Duniya Kaisay Tabah Hogi? Kya Third World War Ho Gi. Nuclear Weapons Chalen Gay? Koi Bari Pandemic Aaye Gi Ya Climate Change Sab Malyamet Kardayy Ga? Magar Jo Bhi Hoga Ab Us Mein Ziyada Waqt Nahi Reh Gaya. Duniya Ke Khatmay Ka Waqt Bitanay Wali "Qayamat Ki Ghari"  Ya Doomsday Clock Ke Mutabiq Hamari Duniya Ki Tabahi Mein Sirf 90 Second Baqi Reh Gaye Hain. Doomsday Clock Kya Hai Aur Kis Ne Banai? August 1945 Mein Japan Ke Shehar Hiroshima Aur Nagasaki Par Atomic Hamlay Ke Baad Scientists Ko Yeh Fikar Lahiq Ho Gayi Ke Agar Nuclear Weapons Ka Isi…

مزید پڑھیں

Pakistan Tehreek-e-Insaf Par Se Mushkilaat Ke Saaye Door Nahi Huay. PTI Ke Aham Rehnuma, Sabiq Federal Minister Fawad Chaudhry Ko Punjab Police Ne Lahore Mein Un Ke Ghar Se Girftar Kar Liya. Fawad Chaudhry Ke Khilaaf Guzishta Roz Islamabad Mein Secretary Election Commission Ki Janib Se Muqadma Darj Karaya Gaya Tha. PTI Rehnuma Per Ilzaam Lagaya Gaya Hay Ke Unhon Ne Media Talk Ke Dauran Election Commission Ke Members Aur Un Ki Family Ko Dhamkian Di Hain. Idaron Ko Laranay Aur Nafrat Phelanay Ki Koshish Ki Hay. Fawad Chaudhry Ko Raat Mein Giraftari Ke Baad Subah Adalat Mein Hathkari Laga…

مزید پڑھیں

Maghrib Main Har Kuch Arsay Baad Aisa Koi Waqea Paish Aata Hai Jis Se Duniya Ke 1.5 Billion Se Ziyada Musalmanon Ke Dil Zakhmon Se Choor Ho Jatay Hain. Azadi-e-Izhaar Ke Naam Par Kabhi Rasool-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Main Gustakhi Ki Jati Hay. Gustakhana Khakay Aur Filme Banai Jati Hain. Kabhi Musalmanoon Se Nafrat Ka Ghussa Quran-e-Kareem Ki Tauheen Karkay Nikala Jata Hay. Afsos Naak Aur Tashweesh Naak Baat Yeh Hay Ke Islamophobia Ke Shikar Afraad Aur Tanzeemon Ki In Makrooh Harkaton Ko Hukoomaton Ki Sarparasti Ya Tahaffuz Bhi Haasil Hota Hay. France Main Gustakhana Khakay Publish Honay…

مزید پڑھیں

Pakistan Main Aik Baar Phir Baray Power Breakdown Ne Mulk Ke Ziyada Tar Shehron Main Zindagi Ka Nizaam Darham Barham Kar Diya. Croron Shehri Jab Subah Jagay Tou Charaghoon Main Roshni Nahi Thi. Gharelu Khawateen Ko Nashta Bananay Aur Bachon Ko School Bhejnay Main Dushwari Ka Saamna Karna Para To Daftar Aur Dukaan Janay Walay Bhi Tayari Ke Liye Pareshan Huay. Logon Ne Soorat-e-Haal Jannay Ke Liye Joq Dar Joq Social Media Ka Rukh Karna Shuru Kya Jahan Electricity Breakdown, Power Breakdown Aur Power Outage Jaisay Trends Se Logon Ko Pata Chala Ke Yeh Sirf Un Ke Elaqay Ya Shehar…

مزید پڑھیں

Iqtidaar Aur Ikhtiyar Main Sab Se Ziyada Nasha Hota Hay. Khaas Tor Par Pakistan Aur Is Jaisay Taraqqi Pazeer Mumalik Main Jahan Sarbarah-e-Mumlikat Ko Be Panah Ikhtiyarat Haasil Hotay Hain. Yahi Wajah Hay Ke Pakistan Main Kabhi Kisi Leader Ne Khud Se Iqtidaar Nahi Chorra. Kisi Ko Qatal Kya Gaya, Kisi Ko By Force Be Dakhal Kya Gaya To Kisi Ko Jala Watan Kya Gaya. Isi Tarha Party Ka Sarbarah Bhi Party Ka Maalik Hota Hay. Wo Apni Party Ko Private Ltd Company Ke Tor Par Chalata Hay. Khud Party Chhoray Ka Tou Sawal Hi Paida Nahi Hota Balkay Party…

مزید پڑھیں

Punjab Ka Caretaker Chief Minister Kon Hoga? Ye Million Dollar Ka Sawal Hay. PTI Ne Jo Naam Tajweez Kiye Thay Woh PML-N Ko Pasand Nahi Aaye. Noon League Jin Ko Nigaran Wazir-e-Aala Dekhna Chahti Hay Woh PTI Ko Manzoor Nahi. Dono Jamaten Ilzaam Laga Rahi Hain Ke Mukhalif Ki Janib Se Diye Janay Walay Naam Impartial Nahi Hain. Un Ko Agar Caretaker Chief Minister Banaya Gaya To Woh Apni Pasandeeda Party Ko Support Karen Gay. Waisay Agar Maazi Ka Jaiza Len To Yeh Khadshaat Pehlay Bhi Zahir Kiye Jatay Thay Aur Election Main Harnay Wali Jamaat Yeh Ilzaam Lagati Rahi…

مزید پڑھیں

Karachi Mini Pakistan Hay. Yahan Pakistan Ki Har Zabaan Bolnay Walay Aur Har Qomiat Se Talluq Rakhnay Walay Log Abad Hain. Qayam-e-Pakistan Se Pehlay Bhi Karachi Aik Bara Tijarti Markaz Honay Ki Wajah Se Mukhtalif Qomiton Ki Aamajgah Tha. Yahan Musalman, Hindu, Parsi, Christians Samait Mukhtalif Mazahab Aur Sindhi, Gujrati, Memon, Baloch Samait Mukhtalif Zabanon Ke Bolnay Walay Rehtay Thay. Karachi Ke Pehlay Mayor Ka Talluq Bhi Parsi Family Se Tha. Un Ke Baad Hindu Aur Christian Bhi Karachi Ke Mayor Rahay Thay. Pakistan Bana To Karachi Ko Federal Capital Banaya Gaya. India Se Bari Tadaad Main Migrate Karkay Anay…

مزید پڑھیں

Imran Khan Kaha Karte Thay Ke Mujhe Agar Hukoomat Se Nikala Gaya Tou Main Aur Khatarnaak Ho Jaun Ga. Mukhalfin Un Ka Mazaaq Uraya Kartay Thay. Taanay Diya Kartay Thay Ke Imran Khan Ko Siyasat Nahi Aati. Aaj Wohi Mukhalfin Sir Pakray Baithy Hain Ke Kya Karen Kya Nah Karen. PTI Ke Chairman Prime Ministership Se Hataye Janay Ke Baad Se Bas Aik Hi Mutalba Kar Rahay Hain Ke Naye Election Kara Diye Jayen. PDM Sarkar Magar Bazid Thi Ke Woh Muddat Poori Kere Gi. Imran Khan Ne Azadi March 2 Ke End Par Elaan Kya Ke Woh Punjab Aur…

مزید پڑھیں

Dunya Ke Tamam Baray Shehron Ki Tarah Karachi Main Bhi Municipality System Bohat Arsay Se Qaim Hay. January 1885 Main Karachi Ki Pehli Municipal Committee Banai Gayi Thi. Kaha Jata Hay Ke Sub-Continent Ki Pehli Municipal Committee Thi Jis Ne State Revenue Collect Karna Start Kiya Tha. Us Zamanay Main Karachi Ka Mayor Nahi Hota Tha Bulkay Committee Hi Tamam Muamlat Chalati Thi. 1910 Main Aik British Officer Charles Mule Karachi Municipal Committee Ke President Elect Huay. 1911 Main Ye Post Ghulam Ali Chagla Ne Sanbhali. Inhi Ghulam Ali Chagla Ke Betay Ahmed Ghulam Ali Chagla Ne 1950 Main Pakistan…

مزید پڑھیں

Duniya Ke Taaqatwar Passports Ki List different Institutions Jari Kartay Hain. In Main Passport Index Aur Henley & Partners Numayan Hain. Passport Index Ne Kuch Arsay Pehlay Duniya Ke Powerful Passports Ki List Jari Ki Thi Jabke Henley and Partners Ne Bhi New Index Jari Ki Hay. Bad Qismati Se Donon Lists Main Pakistan Ka Naam Aakhir Ke 4, 5 Mulkon Main Aata Hay. Pakistani Passport Ki Naqadri Main Kuch Hamaray Hukmraanon Ka Kirdaar Hai Aur Kuch Hamaray Awam Ka Qasoor Hay. Rulers Ne 75 Saal Main Pakistan Ko Aik Tabah Haal, Maqrooz, Ghareeb Mulk Bana Diya Jabkay Pakistani Awam…

مزید پڑھیں