Author: محمد عرفان

Dunya Main 195 Mulk Hain In Main Se 180 Mulkon Ki Currency Ko United Nations Ne Legal Tender Ke Tor Per Recognize Kiya Hua Hay. Forex Trading Ke Lehaz Se In Main Se Kuch Currencies Bohat Sasti Aur Kuch Bohat Valued Hain. Weakest Currencies Ke Baray Main Aap Pichlay Article Main Parh Chukay Hain. Aaj Hum Baat Karen Ge Top 10 Most Valued Currencies Ki. Top 10 Most Valued Currencies Is Comparison Ke Liye US Dollar Ko Fixed Base Currency Banaya Gaya Hay. Kyunke Zyada Tar Forex Trading US Dollar Main Hi Hoti Hay. Is Lehaz Se Sab Se Strong…

مزید پڑھیں

Daulat Main Bohat Taqat Hoti Hay. Chahay Individual Hon A Mulk. Agar Daulat Na Ho Tou Us Ka Wujood Khatrat Se Dochar Ho Jata Hay. Yehi Wajah Hay Ke Dunya Ke Most Powerful Countries Ki List Per Nazar Daalen Tou Wohi Mulk Top Of The List Hain Jin Ki Economy Strong Hay, GDP Aur GDP Growth Achi Hay. Foreign Exchange Reserves Zyada Hain. America Ke US News And World Report Ne Saal 2022 Ke Most Powerful Countries Ki Ranking Jari Ki Hay. Is Ranking Ke Mutabiq America Aur China Dunya Ke Most Powerful Mulk Hain. Top 10 Ki Main UAE…

مزید پڑھیں

Kehtay Hain Khali Jaib Ka Bojh Bohat Zyada Hota Hay. Jaib Main Paisay Hon Tou Dunya Rangeen Nazar Aati Hay. Jaib Khali Ho Tou Jug Soona Soona Lagta Hay. Yehi Haal Mulk Ka Bhi Hota Hay, Khazana Bhara Ho 'All Is Well' Hota Hay, Khazana Main Maal Na Ho 'All Is Hell' Ho Jata Hay. Pehlay Mulk Ke Khazanay Main Gold, Diamonds Aur Precious Stones Rakhay Jatay Thay. Aaj Kal Zyada Tar Mulkon Ke Khazanay Main Foreign Currencies Rakhi Jati Hain Jo Foreign Exchange Reserves Kehlatay Hain. Forex Reserves Aam Tor Per Central Bank Ke Paas Hotay Hain. In Ke…

مزید پڑھیں

Rupee Girta Hai To Pakistanion Ke Dil Is Tarha Dehaltay Hain Jis Tarha Bachay Ke Girnay Par Maa Baap Ke Dil Dehal Jatay Hain. Magar Pakistani Ye Sadma Pichlay 75 Saal Se Seh Rahay Hain. Dollar Ke Muqablay Main Rupee Zameen Par Aata Ja Raha Hay Aur Mehengai Aasman Par Pohanchti Ja Rahi Hay. Rupay Ki Naqadri Ka Silsila Aik Saal Main To Kuch Ziyada Hi Taiz Ho Gaya Hay. Pichlay Saal 160 Rupay Main Milnay Wala Dollar Is Saal 250 Main Bhi Nahi Mil Raha. IMF Ki Sakht Conditions Ke Baad Dollar Mazeed Mehanga Honay Ka Imkaan Hay. Itni…

مزید پڑھیں

Kobe Bryant America Ke Basketball Player Thay. Un Ka Shumar America Ke Greatest Players Main Hota Hay. 20 Saal Ke Kamyab Career Main Unhon Ne Kai Awards Hasil Kiye. Success Aur Greatness Ke Hawalay Se Un Ke 10 Rules Bohat Famous Hain. Aaiye In Rules Ka Jaiza Letay Hain. Aap Ki Asani Ke Liye Hum Ne In Rules Ko Thora Define Bhi Kar Diya Hay. 1. Get Better Every Single Day Aap Ka Har Din Pichlay Din Se Behtar Hona Chahiye. Agar Aisa Nahi Hay Tou Is Ka Matlab Ho Ga Ke Aap Life Main Aagay Nahi Barh Rahay. Is…

مزید پڑھیں

Pakistan Main Sonay Ki Qeemat In Dinon Tareekh Ki Buland Tareen Satah Par Hai. Tashweesh Naak Baat Yeh Nahi Hay. Tashweesh Naak Baat Ye Hay Ke International Market Main Gold Price Main Itna Izafah Nahi Hua. Pakistan Main Gold Ki Price Rupee Ki Devaluation Ki Wajah Se Barhi Hay. Is Se Bhi Ziyada Tashweesh Naak Baat Ye Hay Ke Dollar Ki Jo Qeemat Sarkari Tor Par Batayi Jati Hay. Gold Us Qeemat Ke Lehaaz Se Nahi Mil Raha. Balkay Sonay Ki Qeemat Ke Lehaaz Se Dollar Ki Value 272 Rupee Tak Banti Hay. https://twitter.com/raftardotcom/status/1610273087840473089 Log Gold Main Invest Kyun Kar…

مزید پڑھیں

Israel Mein Benjamin Netanyahu Ke Dobara Power Main Anay Ko Palestinian Musalmanon Ke Liye Bhayanak Khwab Qarar Diya Ja Raha Tha. Kyunkay Netanyahu Ne Is Baar Far Right Extremist Parties Ke Sath Coalition Government Banai Hay. Yeh Parties Musalmanoon Ke Sakht Khilaaf Aur Bait-ul-Maqdas Par Mukammal Jewish Control Chahti Hain. Palestine Aur Duniya Bhar Ke Musalmanoon Ke Khadshaat Durust Saabit Honay Lagay Hain. Nai Hukoomat Banay Abhi Chand Din Bhi Nahi Huay Ke Israeli Security Minister Itamar Ben-Gvir Ne Masjid-e-Aqsa Ka Visit Kya Hay. Masjid-e-Aqsa Ki Muslims Ke Liye Ehmiat Masjid-ul-Haram Aur Masjid-e-Nabwi Ke Baad Masjid-e-Aqsa Musalmanon Ka Teesra Muqaddas Tareen…

مزید پڑھیں

Imran Khan Ke Chahnay Walay 2023 Ko Un Ka Saal Qarar De Rahay Hain. PTI Ke Supporters Aur Workers Ko Yaqeen Hay Ke Is Saal Elections Hon Gay Aur Imran Khan Dobara Prime Minister Banain Ge. Aisa Ho Ga Ya Nahi, Ye Tou Waqt Hi Bataye Ga. Lekin Aaiye Jaiza Letay Hain Ke Saal 2022 Chairman PTI Ke Liye Kesa Raha. Wazir-e-Azam Se Na Ehli Tak Ka Safar Kesay Tay Hua. Mukhalfieen Ne Kiya Kiya Chaalen Chaleen Aur Imran Khan Ne Kesay Un Ka Muqabla Kiya? Saal 2022 Ka Sooraj Jab Tulu Hua Tha To PTI Ke Chairman Imran Khan…

مزید پڑھیں

Tech Industry Pichlay 20 Saal Se Sab Se Behtar Perform Karnay Wala Sector Raha Hay. Khas Tor Per Covid-19 Pandemic Main Jab Dusri Tamam Industries Ko Jhatka Laga, Tech Industry Ko Boom Mila Kyunke Work From Home Aur Online Shopping Ka Culture Barha. Magar Us Ke Baad International Financial Crisis Ki Wajah Se Ab Tech Industry Bhi Bohat Mushkilat Ka Shikar Hay. Yehi Wajah Hay Ke Pichlay Aik Saal Main Tech Companies Main Baray Paimany Per Layoffs Hui Hain. Is Aik Saal Main Dunya Bhar Main Tech Companies Almost 2 Lakh 38 Hazar Afrad Ko Farigh Kar Chuki Hain. In…

مزید پڑھیں

کوئی بھی ملک جب ڈیفالٹ کرتا ہے تو اس کی کرنسی تیزی سے اپنی قدر کھونے لگتی ہے۔ خوش قسمتی سے پاکستان 75 سال کی تاریخ میں کبھی ڈیفالٹ تو نہیں ہوا تاہم بدقسمتی سے 75 سال سے پاکستان ڈالر کے مقابلے میں پاکستانی روپیا اپنی قدر مسلسل کھو رہا ہے۔ 1971 تک تو یہ کمی آہستہ آہستہ ہو رہی تھی مگر ملک ٹوٹنے کے بعد اس میں اتنی تیزی آئی کہ یہ سلسلہ آج تک نہیں رکا۔ گزشتہ کئی مہینوں سے ملک میں ڈالر نایاب ہے۔ انٹربینک اور اوپن مارکیٹ میں ڈالر کی قیمت میں بہت زیادہ فرق رہنے…

مزید پڑھیں