Author: محمد عرفان

Dunya Ke Chothay Ameer Tareen Shaksh Jeff Bezos Ne Bhi Charity Main Apna Hissa Barhana Shuru Kar Diya Hay. Amazon Ke Baani Ne CNN Ko Interview Main Ye Ailan Kiya Ke Wo Apni 124 Billion Dollar Dolat Ka Bara Hisa Charity Main Kharch Karen Gay. Aik Taraf Charity Dusri Taraf Chanti Dusri Janib Usi Din Ye Khabar Bhi Aayi Ke Amazon Isi Haftay 10,000 Logon Ko Naukri Se Nikal Rahi Hay. Ye Company Ki Tareekh Main Sab Se Bari Layoff Hay. Ye Inkishaf New York Time Main Shaya Honay Wali Report Main Kiya Gaya. Report Ke Mutabiq Guzishta 2 Saal…

مزید پڑھیں

Urdu Ka Mashhoor Misra Hay Ke ‘Basti Basna Khel Nahi Hay, Bastay Bastay Basti Hay.’ Is Ka Andaza Spain Ke Aik Village Ke Malik Ko Ho Gaya. Jis Ne 20 Saal Pehle Madrid Se 3 Ghantay Ki Musafat Per Waqay Aik Khali Gaaun Ye Soch Kar Kharida Tha Ke Wo Isay Tourist Spot Ke Tor Per Abad Karay Ga. Lekin Eurozone Ke Crisis Ne Us Ka Khwab Pura Nahi Honay Diya. Ab Wo Is Gaaun Ko Bechna Chahtay Hain Aur Is Ki Qeemat Unhon Ne 260,000 Euro Yani Taqreeban 5.5 Crore Pakistani Rupay Rakhi Hay. Spain Ke Village Main Kiya…

مزید پڑھیں

Canada Ke Immigration Ke Wazir Sean Fraser Ne November Ke Shuru Main Aik Press Conference Ki. Jis Ke Baad Dunya Bhar Ke Naujawanon Ne Khwab Dekhne Shuru Kar Diye Hain. Sean Fraser Ne Immigration Policy Ka Ailan Kartay Huye Khush Khabri Sunai Ke Aglay 3 Saal Main Dunya Bhar Ke 14 Lakh 50 Hazar Logon Ko Canada Main Entry Di Jaye Gi. Sean Fraser Ne Bataya Ke Canada 2023 Main 465,000 Naye Mustaqil Bashindon Ko Apnay Mulk Main Khush Aamdeed Kahay Ga. 2024 Main 4 Lakh 85 Hazar Afrad Ko Immigration Di Jaye Gi. 2025 Main Mazeed 5 Lakh Afrad…

مزید پڑھیں

Turkey Ke Shehr Istanbul Main Bomb Blast Se Kai Afrad Jan Bahaq Aur Darjanon Zakhmi Ho Gaye. Turkey Media Ke Mutabiq Dhamaka Istanbul Ke Taksim Square Per Hua Jahan Logon Ka Hujoom Rehta Hay. Dhamka Muqami Waqt Ke Mutabiq Dopehr 4:20 Per Hua. Us Waqt Istiklal Street Per Aurton Aur Bachon Samait Kharidari Karnay Walon Ka Hujoom Tha. Social Media Per Share Ki Janay Wali Vidoen Main Dhamaka Hota Hua Dekha Ja Sakta Hay. Jis Ke Baad Aurten Khauf Zada Ho Kar Bhagna Shuru Kar Deti Hain. https://twitter.com/CerfiaFR/status/1591788474750869511 Dhamkay Ki Baad Cheekh Pukar Aur Afra Tafri Phel Gai. Laashen Aur…

مزید پڑھیں

Pakistan Team T20 World Cup Ka Final Na Jeet Saki. Batters Ne Mutasir Kun Performance Nahi Dikhai Lekin Bowlers Ne Sab Ke Dil Jeet Liye. Aik Chotay Total Ke Ba Wajood Puri Mehnat Ki Aur Match Ko Dilchasp Bana Diya. Sadar-e-Mumlikat Arif Alvi, Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Aur Deegar Siyasat Daano Ne Bharpoor Muqaabla Karne Par Qaumi Team Ki Karkardagi Ko Saraha. Sadar Arif Alvi Ne Final Ke Fori Baad Tweet Kya. Likha Ke Umda All Rounder Karkardagi Ka Muzahira Karte Huye World Cup Jeetnay Par England Ko Mubarak. Pakistan Team Aap Ne Acha Khela, Kam Score Ke Bawajood Achi Bowling…

مزید پڑھیں

World Cup T20 Ka Final Agar Pakistan Aur India Ke Darmiyan Hota Tou Melbourne Cricket Ground Main Paaun Rakhnay Ki Bhi Jaga Na Milti. Lekin Final Tou Beher Hal Final Hota Hay. Pakistan Aur England Ke Darmiyan Match Dekhnay Bhi 80 Hazar Se Zyada Log Stadium Pohnchay. Fainal Match Ke Dauran ICC Ne Tweet Kar Kay Bataya Ke MCG Main 80,462 Tamashai Maujood Hain. https://twitter.com/ICC/status/1591750634776145925 In Main Aksariyat Asia Se Talluq Rakhne Walon Ki Thi Jo Pakistan Ko Support Kar Rahe Thay. Melbourne Cricket Ground Main Tamashaiyon Ki Total Gunjaish 1 Lakh Hay. Pakistan Aur Indiya Ke Darmyan Match Main…

مزید پڑھیں

Islamabad High Court Ne Mutanzaza Tweet Per Shehri Ke Khilaf Darj FIR Kharij Kar Di. Adalat Ne Hukum Mein Kaha Ke Aik Tweet Na To Fauj Ke Andar Baghaawat Ko Hawa De Sakti Hai. Aur Na Awam Mein Khauf-o-Hraas Peda Kar Sakti Hai. Islamabad High Court Ke Justice Babar Sattar Ne Shehri Kashif Farid Ke Khilaaf Muqadmay Ki Samaat Ki. Un Par Mutanaza Tweet Ke Zariye Mubayyana Tor Par Musallah Afwaj Ko Badnam Karnay Ka Ilzaam Tha. Kashif Farid Ke Khilaaf Mobayyana Tor Par Army Cheif Aur Fauj Ke Khilaaf Aik Tweet Karne Par FIR Darj Ki Gayi Thi. FIR…

مزید پڑھیں

America Mein Air Show Ke Dauran 2 Tayyaray Takra Kar Tabah Ho Gaye. Riyasat Texas Ke Shehar Dallas Mein Dusri Aalmi Jang Ki Yaad Mein Air Show Munaqqid Kya Gaya. Show Ke Dauran Parwaaz Ka Muzahira Kartay Huye World War II Ke Zamane Ke Do Tayyaray Aapas Mein Takra Gaye. Aik Tayyarah Boeing B-17 Flying Fortress Aur Dusra Bail Bell P-63 Kingcobra Tha. Social Media Par Viral Videos Mein Dekha Ja Sakta Hai Ke Dono Takkar Ke Baad Tayyaray Zameen Par Gir Gaye. Dono Tayyaron Main Aag Bharak Uthi. Dekhnay Walon Ki Cheekhen Nikal Gayeen. https://twitter.com/JasonWhitely/status/1591541681798668291 American Hukkaam Ke Mutabiq…

مزید پڑھیں

Pakistan Aur England Ke Darmiyan Honay Walay T20 World Cup Ke Final Match Mein Barish Khail Kharab Kar Sakti Hai. Shaiqeen Ko Mayoosi Se Bachanay Ke Liye International Cricket Council (ICC) Ne Qawaneen Tabdeel Kar Diye Hain. Mausam Ka Haal Bitanay Walon Ke Mutabiq Itwaar Ko Melbourne Mein 15 Se 25 Millimeter Barish Honay Ka 95 % Imkaan Hai. Australvi Mehakma-e-Mosmiyat Ka Kehna Hai Ke Sirf Barish Hi Nahi Shadeed Garaj Chamak Bhi Mutawaqqa Hai. Mausam Ka Mood Badalta Dekh Kar Event Technical Committee Ne Bhi Strategy Mein Tabdeeli Ki Hai. Itwaar Ko 30 Minute Ka Izafi Waqt Mukhtas Hai.…

مزید پڑھیں

Shehbaz Sharif Ko Bartanvi Akhbar Daily Mail Ne Chor Kaha To  Unhon Ne Khoob Shor Machaya. Chotay Miyan Ne Barri Barri Baatein Keen. Akhbar Ke Khilaaf Hatak-e-Izzat Ka Daawa Bhi Kardiya. Lekin Jab Adalat Mein Muqadma Larnay Ka Waqt Aaya To Dono Janib Se Tareekh Par Tareekh Li Jane Lagi. Magar Ab Judge Ne Wazeh Kardiya Ke Kisi Ko Tareekh Nahi Miley Gi. Bartanvi Media Ke Mutabiq London Ki Adalat Ne Daily Mail Harjana Case Mein Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Ki Stay Order Ki Darkhwast Kharij Karte Huye Mazeed Waqt Dainay Se Inkar Kar Diya. Adalat Mein Aam Admi Aur Wazir-e-Azam…

مزید پڑھیں