Author: محمد عرفان

Football Ki International Governing Body FIFA Ke Sadar Gianni Infantino Ne Qatar Par Tanqeed Karne Walay European Mulkon Ko Shut up Call Day Di. Kaha Europe Ko Qatar Ki Mezbani Par Tanqeed Nahi Karni Chahiye. European Mulkon Ko To Khud Apni History Par Muafi Mangni Chahiye. Wo FIFA World Cupp 2022 Ke Iftitah Se Pehlay Press Conference Kar Rahay Thay. Gianni Infantino Ne Qatar Par Tanqeed Ko European Mulkon Ki Munafqat Qarar Dete Huye Kaha Ke Wo Mumalik Kisi Ko Ikhlaqi Lecture Dainay Ki Position Mein Nahi Hain. Eurpoe Ko Qatar Per Kiya Aitrazat Hain? Mashriq-e-Wusta Ke Chhootay Se Mulk…

مزید پڑھیں

Twitter Ke Naye Malik Elon Musk Ne America Ke Sabiq Sadar Donald Trump Ka Twitter Account Bahal Kar Diya. Elon Musk Ne Trump Ke Account Ki Bahali Ke Liye Aik Twitter Per On Line Poll Karaya Tha. Poll Main 15 Million Se Zyada Logon Ne Hissa Liya. 51.8% Logon Ne Trump Ke Haq Main Vote Diya. Dunya Ke Ameer Tareen Shaksh Elon Musk Ne October Main 44 Billion Dollar Ki Deal Ke Baad Twitter Ka Control Sanbhala Tha. Unhon Ne Twitter Ka Malik Bannay Se Pehlay Bhi Aisay Isharay Diye Thay Ke Wo Kai Logon Ka Account Bahal Kar Saktay…

مزید پڑھیں

Football World Cup Ho Ya Duniya Ka Doosra Koi Bara Mega Event, Maslan Olympics, Cricket World Cup Ya Hockey World Cup. Dunya Ke Har Mulk Ki Khwahish Hoti Hai Ke Usay Mezbani Mil Jaye. Barson Balkay Dahaiyon Pehlay Darkhwasten Di Jati Hain. Faisla Saaz Body Ko Har Tarah Ki Yaqeen Dehani Karai Jati Hai Ke Hum Barray Achay Andaaz Mein Ye Event Karayen Ge. Khilarion Aur Tamashaiyon Ko Security Aur Tamam Sahulaten Faraham Karen Ge. Magar International Olympics Committee, FIFA, ICC Waghera Event Ki Mezbani Dainay Ke Liye Kisi Mulk Ki Maali Hesiyat, Wahan Ke Infrastructure Aur Security Soorat-e-Haal Ko…

مزید پڑھیں

“Tum Bhi Bitcoin Khareed Lo, Dekh Lena 6 Mahinay Main Paisay Double Ho Jayen Ge.” Aqeel Ne Rashid Se Kaha. Apni Baat Aagay Barhatay Huye Wo Bola. “Main Ne Tou Apnay Plot Aur Dusri Cheezen Bech Kar Bitcoin Main Invest Kar Diye Hain. Pichle Saal November Main 10,000 Dollar Ki Price Per 20 Bitcoin Liye Thay. 10 Mahinay Main Qeemat 35,000 Dollar Tak Pohanch Gayi Hay. Aglay Saal Aik Lakh Dollar Se Opper Jaye Ga.” Aqeel Ki Baaten Sun Ker Rashid Ki Hairat Se Pheli Aankhon Main Umeedon Ke Chirag Jhilmilanay Lagay. Ye September 2021 Ki Aik Shaam Thi. Private…

مزید پڑھیں

Aaj Kal Har Taraf Imran Khan Ki Ghari Ka Charcha Hay. Jo Unhen Tohfay Main Mili Thi Aur Unhon Ne Tosha Khana Se Kharid Kar Bech Di Thi. Daawa Kiya Ja Ja Raha Hay Ke Saudi Crown Prince Ki Janib Se Di Gayi Ghari Aur Dusray Tohfon Ke Set Ki Qeemat 12 Million Dollars Hay. JIs Main Sirf Ghari Ki Qeemat 5-6 Million Dollars Se Zyada Hay. Graff Company Ki Makkah Edition Watch Ka Sirf Aik Hi Piece Tayyar Kiya Gaya Tha. Halan Ke Ab Company Ke Dealer Ne Aik Video Main Wazeh Kar Diya Hay Ke Ghari 2019 Main…

مزید پڑھیں

Indonesia Ke Jazeeray Bali Main In Dinon G20 Summit Jari Hay. Sidelines Per Mulaqaton Ka Silsila Bhi Chal Raha Hay. Aisi Hi Aik Mulaqat Main China Ke Sadar Xi Jinping Aur Canada Ke Wazir-e-Azam Justin Trudeau Ke Darmiyan Kuch Narazgi Peda Ho Gai, Jo Camera Per Record Bhi Ho Gai. Video Main Dekha Ja Sakata Hay Ke Xi Jinping Justin Trudeau Se Naraz Ho Kar Kuch Keh Rahay Hain Aur Translator Us Ka Tarjuma Kar Raha Hay. Xi Jinping Ne Shikayat Ki Ke ‘Main Ne Aap Se Kal Jo Baaten Keen Wo Sab Ki Sab Akhabarat Main Leak Ho Gayeen,…

مزید پڑھیں

Silicon Valley Ke Baray Baray Tech Idaray Apnay Mulazmeen Par Baray Kulharay Chala Rahay Hain. Pichlay Haftay Tech Giant Facebook Ke Bani Mark Zuckerberg Ne 11,000 Meta Workers Ko Job Se Nikalnay Ke Hukm Per Sign Kiye. Jo Meta Ki Global Workforce Ka Almost 13% Hai. Is Se Pehlay Elon Musk Ne Twitter Ka Malik Bantay Hi Company Ke 50% Yani Almost 3700 Mulazimon Ko Naukri Se Nikal Diya Tha. Isi Ke Saath Ye Khabar Bhi Aayi Ke Amazon 10,000 Job Cut Kar Rahi Hay. Silicon Valley Ke Numayan Idaron Main Kaam Karnay Walon Ke Liye Ye Saal Khasa Sakht…

مزید پڑھیں

Pakistan Mein Jeena Asan Tou Shayad Kabhi Nahi Tha Lekin Ab Mazeed Mushkil Hota Ja Raha Hai. Ye Hum Nahi Keh Rahay Balkay Pakistan Bureau Of Statistics Ki Nai Report Mein Kaha Gaya Hai. PBS Ne Pakistan Ki Population Aur Death Rate Ke Mutaliq 2020 Ka Pakistan Demographic Survey Jari Kardiya Hai. Survey Ke Mutabiq Pakistan Mein 2019 Mein Majmoi Ausat Umar 65.4 Saal Thi Jo 2020 Mein 65 Saal Reh Gayi Hai. Mardon Ki Mutawaqqa Ausat Umar Mein Izafah Hua Hai Jo 64.3 Se Barh Kar 64.5 Saal Hogayi Hai. Jabkay Khawateen Ki Aust Umar Jo 2019 Mein 66.5…

مزید پڑھیں

Pakistan Main Difai Saz-o-Samaan Ki Numaish IDEAS 2022 Ka Aghaz Ho Chuka Hay. Wazir Kharija Bilawal Bhutto Zardari Ne Event Ka Iftitah Kiya. https://twitter.com/MediaCellPPP/status/1592434841274155008 Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Ne Twitter Paigham Main Kaha Ke IDEAS Aik Aisa Platform Ban Chuka Hay Jo Global Defence Market Main Pakistan Ki Peshraft Ko Numayan Karta Hay. Khushi Ki Baat Hay Ke Hamara Defence Sector Technology Ke Is Duar Ki Zaruriyat Puri Kar Raha Hay. https://twitter.com/CMShehbaz/status/1592411289426759680 IDEAS 2020 Mian Na Sirf Pakistan Main Bannay Walay Hathyaron Aur Deegar Saman Ki Numaish Ki Jati Hay. Bulkay Dost Aur Bradar Mumalik Bhi Apni Masnooat Pesh Kartay Hay.…

مزید پڑھیں

Vitamin Ke Capsule Aur Dietary Supplement Ka Suntay Hi Dimagh Main Khayal Aata Hay Ke In Se Taqat Milay Gi Sehat Achi Hogi. Magar Haqeeqat Main Aisa Nahi Hay. Aik Research Report Main Kaha Gaya Hay Ke Nicotinamide Riboside Dietary Supplement Cancer Samait Kai Sangeen Bimariyon Ka Khatra Barhata Hay. Nicotinamide Riboside (NR) Vitamin B3 Ki Aik Qisam Hay. Pehley Tehqeeqat Main Kaha Gaya Tha Ke NR Jesay Dietary Supplement Se Dil, Dimagh Aur Metabolism Ko Faida Hota Hay. Nai Tehqeeq Main Pata Chala Hay Ke NR Ke Zyada level Se Na Sirf Triple-Negative Breast Cancer Honay Ka Khatra Barh…

مزید پڑھیں