Author: افضال فاروقی

Pakistan New Zealand Karachi Test Draw Hogaya. 2 Matches Ki Series Kay 1st Test Main Pakistan Ki Taraf Say Jahan Babar Azam Aur Agha Salman Nay Centuries Score Keen, Phir Kane Williamson Ki Double Hundred Nay Kamal Dikhaya Aur Haan! Umpire Aleem Dar Kay Decisions Par Bhi Buhat Tanqeed Hui. Pakistan Ka World Test Championship Khelnay Ka Khwab To Kab Ka Toot Chuka Laikin Is Match Kay Talking Points Kia Rahay? Aayen Dekhtay Hain: Pehla Boxing Day Test Is Martaba Pak-New Zealand Series Ka 1st Test 26th December Say Shuru Hua, Yani Ye Pakistan Ki Cricket History Ka Pehla Boxing Day Test…

مزید پڑھیں

First Innings Mein 438 Runs Banany Kay Baad Bhi 174 Ka Deficit? Bowling To Responsible Thi Hi, Laikin Pak-New Zealand First Test Kay Aakhri Din To Batsmen Bhi Phansa Gaey. Yahan “S” Factor Kaam Aa Gaya, Matlab: Sarfraz Ahmed Aur Saud Shakeel. Pooray Saal Home Ground Par Koi Test Na Jeetnay Walay Pakistan Kay Liay 2022 Ka Ye Last Test Is Liay is liay Bhi important tha kyunke ye PCB Kay New setup ka pehla imtehan tha. jo "New" Players Shamil kiay gaey thay, un ki importance buhat zyada thi. especially, sarfraz ki. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1608803329622310914?s=20&t=Mu134eDba7IB3vLiF6CPRw Sarfraz Ki Wapsi Sarfraz Ahmed Ki…

مزید پڑھیں

Pakistan India Test Series Ko “Ashes” Say Bara Muqabla Kaha Jata Hay. 1952 Say Donon Teams Nay 58 Test Matches Khelay, Laikin Pichlay 15 Saal Say Koi Test Nahi Hua. Kyun? Waja Hay Donon Mulkon Ki Political Tussle, Jis Ka Nuqsan Cricket Fans Ko Ho Raha Hay. Laikin Ab Pak-India Test Match Karwanay Kay Liye Kuch Halchal Shuru Hui Hay, Kaheen Aur Nahi Australia Kay Melbourne Cricket Ground Main. Pakistan Aur Neutral Venues Pakistan Nay Apni Cricketing History Main Kafi Arsay Tak UAE Ko Home Ground Banaey Rakha. Mulk Main Security Issues Ko Jawaaz Bana Kar International Teams Yahan Anay…

مزید پڑھیں

Pakistan Ki Cricket History Main Buhat Say Umpires Aaey, Kuch Nay Apna Naam Banaya To Koi Kuch Arsay Main Hi Pas-E-Manzar Main Chala Gaya. Javed Akhtar Say Lai Ker Shakoor Rana Tak Aur Asad Rauf Say Lai Ker Mohammad Nazir Tak, In Sab Umpires Nay International Cricket Main Bhi Umpiring Kay Faraiz Anjam Diye. Laikin Jo Place Umpire Aleem Dar Ko Hasil Hua, Woh Pakistan Kay Kisi Umpire Kay Hissay Main Nahi Aaya. Unhon Nay International Cricket Main Apnay Decisions Say Aik Arsay Tak Izzat Kamai. Laikin Ab Youn Lag Raha Hay Kay Un Ka "Waqt" Poora Ho Chuka Hay.…

مزید پڑھیں

Aap Kay Nazdeek Kisi Kamyab Insaan Ki Kia Pehchan Ya Definition Hoti Hay? Jo Bhi Ho, Laikin Ye Baat Tay Hay Ke Aik Kamyab Insaan Doosron Say Zara Mukhtalif Hota Hay Aur Hamesha Khoob Say Khoob-Tar Ki Jusutju Mein Rehtan Hay. Aayen Aaj Is Raaz Say Parda Uthatay Ke Aakhir Wo Kaun Si Baatein Hain Jo In Successful People Mein Common Hoti Hain. Writing Aap Kisi Bhi Baat Ko Gehrai Mein Sochna Aur Samajhna Chahtay Hain To Writing Is The Key. Koi Choti Moti Presentation, Youtube Video Ya Podcast Dekh Ya Sun Kar Hum Khud Ko Us Subject Ka Master…

مزید پڑھیں

Sardiyun Ka Mausam Jahan Apnay Sath Dryness Aur Skin Per Itching Hoti Hay Waheen Hair Dandruff ( Baloon Ki Khushki) Ka Masla Bhi Aam Toar Per Dekha Jata Hay. Dandruff Aap Kay Hairs Ko Weak Kerti Hai Aur Ap Ki Personality Per Bhi Asar Andaz Hoti Hay. Baal Ki Khaal Utaarnay Ka Phrase, Yani Muhawara Aap Na Suna Hoga. Sardiyun Main Aap Kay Sir Ki Skin Yani Head Scalp Dry Hoker Aisay He Jharti Hay. Kuch Medical Researches Kay Mutabiq, Dandruff Say 42 % Bachay Aur 1 Say 3 % Adults Effected Hotay Hain. Khushki Kay Kuch Reasons Hotay Hain.…

مزید پڑھیں

Cigarette Shuru Kerna Jitna Asan Hota Hay, Utna Hi Cigarette Chourna Yani “Quit Smoking” Tough Hota Hay. Smoking Ka Nasha Ahista Ahista Asar Kerta Hay Aur Is Kay Sehat Per Asarat Zahir Hona Shuru Hojatay Hain. Is Addiction, Smoking Main Mubtala Honay Kay Kuch Reasons Hain. Some times Loog Doston Ki Waja Say Smoking Kertay Hain Tou Koi Stress Ya Depression Durr Kernay Kay Liye Smoking Ka Sahara Laita Hay. Ager Ap “Quit Smoking” Kay Mission Ko Shuru Kerna Chahtay Hain Tou Dair Na Kerain Aur Hamari Yeh Tehreer Zaroor Parhain. Jab Ap Smoking Quit Kernay Ka Plan Kertay Hain…

مزید پڑھیں

Kia Aap Jantay Hain Kay Cricket Mai Boxing Bhi Hoti Hai. Aray Nahi, Yeh Woh Punches Wali Boxing Nahi Balkay 26th December Ko Honay Walay Test Matches Boxing Day Test Kehlatay Hain. Is Kay Ilawa Bhi Boxing Day Ki Sports Main Aik History Hai Aur Is Day Per Honay Walay Sports Event House Full Hi Rehtay Hain. Boxing Day Hota Kia Hay? Christmas Ka Agla Roz Yani 26th December Chutti Ka Din Hota Hay Aur Boxing Day Kehlata Hay. Kyunke Is Din Aam Toar Per Servants Aur Employees Ko Gift Box Miltay Thay Aur Ye Shopping Holiday Hota Tha. Is…

مزید پڑھیں

Khoubsurat Baal Yani Healthy Hairs Hamari Personality Ka Hisa Hotay Hain. Ager Ap Kay Baal Kharab Horahay Hain Aur Un Ki Waja Say Ap Pareshan Rehtay Hain Tou Yaqeenun Aap Ki Personality Per Bhi Is Ka Asar Parta Hay. Red Book Poll Kay Mutabiq 74 % Women Ka Kehna Hay Kay Jis Din Unkay Baal Achay Nahi Lagtay, Unka Din Kharab Guzarta Hay Aur Woh Khudh Ko Confident Nahi Samajhtein. Aisa Aam Toar Per Ziada Hota Hay. Leken Jis Din Aap Kay Baal Achay Lagtay Hain, Us Dinn Tou Aap Over The Moon Hoti Hongi. Baalon Kay Masail Main Saab…

مزید پڑھیں

Insan Us Waqt Stress Ya Depression Ka Shikar Hota Hay Jab Us Ki Expectations Puri Nahi Hotein. Apni Adaaton Aur Rawayun (Cognitive Behavior) Main Tabdeliyan La Ker Hum Bauhat Kuch Badal Saktay Hain. Cognitive Behaviour Therapy Main Mental Health Ko Strengthen Kernay Kay Liye Problem Solving Aur Practical Approach Apnai Jaati Hay. Is Approach Kay Zariye Hum Ko Apnay Thoughts, Feelings Aur Behaviours Ko Samajhnay Main Madad Milti Hai, Kion Kay Yeh Sab Inter Linked Hotay Hain. Cognitive Behaviour Therapy Ko Introduce Kernay Walay Expert Aaron Beck Nay Bataya Hay Kay Aksar Auqaat, Khudh Say He Negative Thoughts Aanay Lagtay…

مزید پڑھیں