Author: افضال فاروقی

Digital Revolution Kay Baad Technology Hamari Daily Life Main Aik Inqilab La Chuki Hay. Is Revolution Ko Jari Rakhnay Kay Liay Technology Experts Ki Demand Hamesha Say Rahi Hay Aur Aagay Bhi Is Main Izafa Hota Rahay Ga. Forbes Ki Report Main Bataya Gaya Hay Ab Tech Job Market Main Tabdeeli Arahi Hay. College Graduates Jo 2030 Main Pass Out Hongay, Un May Say 85% Kay Liye Jobs Abhi Tak Invent Hi Nahi Hui Hain. Is Ka Matlab Yeh Hay Kay Skills Bhi Tabdeel Hongi. Artificial Intelligence Aur Automation Ka Kirdar Barh Jaey Ga. Dunya Bhar Main Established Organizations New…

مزید پڑھیں

Jawani To Deewani Hoti Hay, Masti Kay In Dinon Main Hum Apni Sehat Ko Bhi Buhat Ignore Kartay Hain. Aisa Nahi Ke Aap Gym Nahi Jana Chahtay, Laikin Motivation Nahi Milti. Is Liay Aap Ko Healthy Habits Kay Liye Kisi Push Ya Inspiration Ki Zarurat Hoti Hay Takay, Jis Say Aap Ka Aik Healthy Routine Ban Sakay. Trigger Yourself Agar Aap Daily Morning Walk Per Jatay Hain To Aap Ko Chahiye Kay Raat Ko Sonay Say Pehlay Apnay Sneakers Bed Kay Nazdeek Rakh Lain. Subha Aankh Khultay Hi Aap Ki Pehli Nazar Un Per Paray Gi To Aap Ko Khud…

مزید پڑھیں

Woh Aya, Us Nay Dekha Aur Fatah Kerlia. Yeh Jumla Aaj Sarfraz Ahmed Per Suit Kerti Hay, Jin Ki Test Team Main 3 Saal Baad Wapsi Hui Aur Is Shaan Say Hui Hay Kay Jaisay Woh Kabhi Bahar Hoay Hi Nahi Thay. Jab Kuch Pundits Saifi Ko Retirement Ka Mashwara Bhi Day Rahay Thay, Tab Unhon Nay Sab Ko Ghalat Sabit Ker Dikhaya Aur Consecutive 4 Test Innings Main 50+ Score Kiay, Wo Bhi Crisis Situation Main Aur Apni Selection Theak Sabit Kerdi. Kaptani Chali Gai Aur Phir Team Main Jaga Bhi Haath Say Gai, Laikin Sarfraz Nay Himmat Nahi…

مزید پڑھیں

Pakistan Ki Automobile Market Aur Car Industry Tabdeel Horahi Hay. Economic Survey Of Pakistan 2021-22 Ki Report Main Bataya Gaya Hay Kay 3.7 Million Say Ziada Four-Wheel Vehicles Register Hoi Hain. Year 2016 Kay Bad Say 6 International Car Companies Pakistan Main Aai Hain Jin Main MG Motors, KIA Motors, Proton Aur Hyundai Bhi Shamil Hain. In Main Say Kai Companies Nay 2023 Kay Liay Kuch New Models Announce Kiye Hoay Hain. Aayen Dekhtay Hain Pakistan Most Anticipated Cars In 2023, Aur Un Kay Features Bhi. MG RX8 MG Motors Nay 2023 Kay Liay MG RX8 Car Announce Kar Rakhi Hay.…

مزید پڑھیں

Hum 2023 Main Agaey Hain. Job Market Change Ho Rahi Hay Aur Global Employers Bhi Apnay Workers Main Multi Dynamic Talent Aur Skills Dekhna Chahtay Hain. Aap Ka Employer Yeh Bhi Chahta Hay Kay Aap Teamwork Kerna Jantay Hain Aur Is Kay Liye Aap Ko Critical Thinking Bhi Aani Chahiye. Aap Open Mind Set Kay Sath Solution Based Skills Rakhtay Hoay Apnay Office Environment Main Ideal Bhi Ban Saktay Hain. Aaj Kal Ziada Tar Employees Office Environment Kay Aadi Nahi Hain. Work From Home Culture Hi Nahi Aaya, Kaafi Kuch Badal Chuka Hay. Yeh Sab Covid-19 Kay Baad Aanay Wali…

مزید پڑھیں

"Akela Babar Kya Karay?" "Middle Order Mein Koi Sanbhalnay Wala Hi Nahi?" Aisay Sawal To Hum Roz Suntay Aa Rahay Hain, Laikin Jawab Ab Ja Kar Mila Hay: Wo Hay Karachi Ka "S" Factor, Yani Sarfraz Ahmed Aur Saud Shakeel. Donon Nay 2nd Test Main Bhi Responsibility Nibhai. Lagta Hay Kay Un Ki 150 Runs Ki Partnership Nay Pakistan Ka Middle Order Crisis Door Kardiya Hay. Saal Bhar Home Ground Par Koi Test Na Jeetnay Walay Pakistan Kay Liay New Zealand Kay Sath Test Series Is Liay Bhi Important Hay Kyunke Ye PCB Kay New Setup Ka Pehla Imtihan Hay. Jo…

مزید پڑھیں

Early To Bed And Early To Rise, Suna To Bachpan Main Tha, Laikin Samajh Baray Honay Kay Baad Aaya. Subah Jaldi Uthnay Kay Kitabon Main Jo Bhi Faiday Likhay Hain, Agar Un Par Thora Sa Bhi Amal Ho Jata To Aaj Hum Bhi Fit Hotay. Ab To Har Doosra Fard Sleep Deprivation Ka Shikar Hay. Neend Poori Na Ho To Sara Din Aur Tamam Routine Upset Ho Jatay Hain. Laikin Subah Jaldi Uthain Kaisay? Aayen Aap Ko Kuch Tips Batatay Hain, Jin Say Aap Apnay Routine Main Aik Planned Way Main Changes La Saktay Hain Aur Aik Organized Zindagi Hasil…

مزید پڑھیں

Aap Kisi Bhi Age Kay Hon Exercise Say Khud Ko Fit Rakh Saktay Hain. Laikin Jahan Exercise Kay Liye Energy Zaruri Hoti Hai Waheen Motivation Bhi Aik Key Factor Hay. Aaj Ki Modern Aur Tez Raftar Life Main Teenagers Aur Youth Ko Exercise Ki Taraf Lana Thora Mushkil Hota Hay. Waisay Aik Zamana Tha Jab Naujawanon Ko Body Building Ka Junoon Tha. Ab Naujawan Khudh Ko Fit Rakhnay Kay Liye Warzish Kartay Hain. Exercise Ki Latest Techniques Nay Fit Rehna Aur Bhi Aasan Bana Diya Hay. World Health Organisation Kay Mutabiq Adolescents Ko Daily 60 Minutes Ki Moderate Aur Vigorous…

مزید پڑھیں

India Kay Wicket Keeper Batter Rishabh Pant Ka Accident Itnay Din Baad Bhi Zehn Say Nahi Nikal Raha. Delhi–Dehradun Highway Par Pesh Aanay Walay Hadsay Main Un Ki Mercedes Car Minutes Main Hi Jal Kar Khaak Hogai. Ab Isay Pant Ki Khush-Qismati Kahain Ke Itnay Khatarnaak Accident Kay Baad Bhi Un Ki Zindagi Bach Gai. Laikin Mazi Kay Kai Cricketers Aisay Hain, Jo Itnay Lucky Sabit Nahi Huay. Aayen Aaj Un Cricketers Ki Baat Kartay Hain Jo Accidents Main Jaan Say Gaey. Andrew Symonds Is Silsilmay Main Pehla Naam Andrew Symonds Ka Aata Hay. Australia Ki History Kay One Of…

مزید پڑھیں

2022 Rukhsat Hua, Science Aur Technology Ki Dunya Mein Bhi Buhat Say Breakthroughs Huay Jo Apna Asar Chorr Gaey. Kuch Aisay Thay Jinhon Nay Future Kay Hawalay Say Umeed Di, Aur Kuch Aisi Jinhon Nay Khauf Main Mubtala Kardia. Ye Developments Hamaray Liye Kis Tarah Faida-Mand Hongi? Is Ka Faisala To Waqt Karay Ga. Waisay 2022 Is Lihaz Say Yaadgar Raha Ke Is Saal Coronavirus Ka Spread Kafi Hadd Tak Control Kia Gaya Aur Is Ki Vaccine Bhi Barri Ta'daad Main Logon Tak Puhanch Gai. Aur Kya Hua? Aayen Dekhtay Hain: NASA Nay Asteroid Tabah Kia 66 Million Years Pehlay…

مزید پڑھیں