Author: فہد کیہر

Ramiz Raja Nay Bus Itna Hi To Kaha Tha Ke Peshawar Mein International Teams Ko Lana Mumkin Nahi. Yaad Hay Na Kitna Reaction Aaya Tha? Balke Ye “Gunah” To Un Kay Khilaf Charge Sheet Ka Hissa Ban Gaya. Laikin Pakistan Cricket Board Ki New Administration To PSL Kay Matches Bhi Yahan Nahi Karwa Saki. Quetta Kay Sath Sath Peshawar Ko Bhi Kata Dia Hay, Laikin Phir Bhi Mutma’in Hay: “Kisi Ki Jaan Gai, Aap Ki Ada Thehri!” https://twitter.com/_FaridKhan/status/1605491649764904961?ref_src=twsrc%5Etfw Pakistan Super League Ka Next Season 13 February Say Shuru Honay Wala Hay. Schedule Kay Mutabiq Sub Say Zyada 11 Matches Rawalpindi…

مزید پڑھیں

Har Taraf Maria Khan Ki Dhoom Hay, Koi Un Ki Freekick Ko Ronaldinho Say Mila Raha Hay To Koi Roberto Carlos Say. Aur Aakhir Kyun Na Milaey? Saudi Arabia Kay Against Is Historic Match Mein Aisa Equalizer Dekhnay Ko Milay To Hype To Banti Hay. https://twitter.com/FootballPak/status/1616171153764007945?s=20&t=5S7mP5k_QZV2g8_pDRlYMw Waisay Ye Koi Fluke Nahi Tha, Maria Jamila Khan Kay Jisam Mein Khel Khoon Ban Kar Dorta Hay, Abhi Say Nahi, Kai Generations Say. Maria Squash Kay Legendary Player Hashim Khan Ki Nawasi Aur One Of The Greatest Athletes Ever Jahangir Khan Ki Bhanji Hain. 31 Saal Ki Maria Khan America Mein Paida Hueen.…

مزید پڑھیں

Bowling Action, Cricket Ki Ye Terminology Suntay Hi Hamaray Dimagh Mein Aik Hi Naam Aata Hay: Shoaib Akhtar. Aaj Ki Fast & Furious Cricket Mein Jitni Lambi Boundaries Hain, Us Say Bhi Lamba To ‘Rawalpindi Express’ Ka Run Up Hota Tha. Phir Aik Smooth And Sharp Bowling Action, Jis Kay Baad Aata Aik Deadly Yorker Ya Tabahi Bouncer! Soch Kar Hi Rongtay Kharay Ho Rahay Hain. Ho Sakta Hay Aap Kay Aur Meray Khayal Mein Sab Say Khubsurat Bowling Action Yahi Ho, Laikin Aur Bhi Bowlers Thay Jin Kay Bowling Action Dekhnay Laiq Thay, Laikain Hamara Sawal Ye Nahi. Kam-Az-Kam…

مزید پڑھیں

Wo Apnay Zamanay Mein Hindustan Kay Ameer Tareen Shakhs Thay. Un Kay Dada Tou Dunya Kay Richest Person Thay, Laikin Phir Waqt Nay Palta Khaya. Zameen Kha Gai Aasman Kaisay Kaisay. Hum Baat Kar Rahay Hain Nawab Mukarram Jah Ki. Ryasat Hyderabad Kay 8th Aur Aakhri Nizam Ki, Jo Is Haftay 89 Saal Ki Umar Mein Istanbul Mein Khamoshi Say Chal Basay. Mukrram Jah 6 October 1933 Ko Mir Himayat Ali Khan Azam Jah Kay Ghar Paida Huay, Jo Aakhri Khud-Mukhtar Nizam Hyderabad Mir Osman Ali Khan Kay Sub Say Baray Betay Thay. Mukarram Jah Ki Maan Koi Aur Nahi…

مزید پڑھیں

Fastest ODI Hundred Ka Record Aisa Tha Jisay Shahid Afridi Apnay Seenay Say Laga Kar Phirtay Thay. Yahan Tak Ke 2014 Ka Pehlay Din Subah Aankh Khuli To Khuli Ki Khuli Hi Reh Gai. Corey Anderson Naami New Zealand Kay Aik Gum-Naam Player Nay Lala Ka 18 Saal Purana Record Torr Dala Tha. West Indies Kay Against Sirf 36 Balls Par Century Lala Kay Fans Ko Rota Chhor Gai. https://twitter.com/SajSadiqCricket/status/418348082607054848?s=20&t=iOHIse5HR076EZDWEcRuow Mujhay Yaad Hay Ke Us Din Lala Kay Fans Nay Kaisi Kaisi Baatein Banai Then. Maslan 21 Overs Per Innings Ka Ye Match ODI Count Hi Nahi Hoga, Kyunke ODI…

مزید پڑھیں

Pakistan Cricket Board Mein Chairman Badla, Selection Committee Farigh Hui, Coach Ki Kahani Bhi Jald Khatam Honay Wali Hay. To Kaptan Ka Kia Hoga? Haan! Is Waqt Sub Say Bara Khatra Hay Babar Azam Ki Kaptani Ko. King Babar Waisay To Bach Jatay Laikin Home Ground Par Aik Kay Baad Doosri Haar Nay Kaam Kharab Kar Dia Hay. Last Year Ka Home Season Dekain: West Indies Aur Australia Ko ODI Series Harai Aur Bus! Phir To Bus Haar Hi Haar Nazar Aai. England Say T20 Series Haray, Test Mein Clean Sweep Khaya. Phir New Zealand Kay Khilaf Bari Mushkil Say…

مزید پڑھیں

Aik Aur Match Aur Babar Azam Phir Ho Gaey Stumped! New Zealand Kay Against One Day Series Kay Teesray Match Mein ‘Kaptaan’ 13 Balls Par Sirf 4 Runs Bana Kar Out Ho Gaey. Jab Michael Bracewell Ki Ball Par Tom Latham Nay Unhain Stumped Kia To Ye Consecutive Third Match Tha Ke Jis Mein Babar Is Tarah Out Huay. Is Series Say Pehlay Wo 238 Innings Mein Sirf 1 Baar Stumped Huay Thay, Laikin Lagta Hay Karachi Unhain Raas Nahi Aaya. https://twitter.com/WisdenCricket/status/1613840620493185025?s=20&t=ZvUUXFDlFyRagSb8xgODeA Pakistan New Zealand Cricket Series Kay First Match Mein Jab Pakistan 256 Runs Chase Kar Raha Tha. Babar…

مزید پڑھیں

Ballon d'Or Football World Ka Aik Prestigious Award Hay Aur Messi-Ronaldo Rivalry Hamein Is Mein Bhi Nazar Aati Hay. Lionel Messi To 7 Awards Kay Sath Sub Say Zyada Ballon d'Ors Jeetnay Ka Record Rakhtay Hain Laikin Sub Say Zyada 18 Nominations Cristiano Ronaldo Kay Paas Raheen. CR7 Nay Apnay Career Mein Total 5 Ballon d'Ors Jeetay, Jin Mein Say Aik Ab Israel Ko Mil Gaya Hay. Asal Mein Ronaldo Nay 2013 Mein Jeeta Gaya Apna Ballon d'Or Aik Charity Kay Liay Bechnay Ka Ailan Kar Dia Tha, Jo Ab 600,000 British Pounds (Yani 16 Crore 65 Lakh PKR) Ki…

مزید پڑھیں

Babar Azam Ko Kaun Nahi Janta? Sirf Pakistan Mein Hi Nahi Wo To Ab Dunya Bhar Mein Famous Hain. Yahi Waja Hay Ke Wo Pakistan Mein Sab Say Zyada Kamanay Walay Sportsman Hain. Aik Andazay Kay Mutabiq Babar Ki Net Worth Approx. 5 Million US Dollars Hay. Pak Rupees Mein Convert Karain To Ye 1.14 Billion Rupees Bantay Hain. Laikin Sawal Ye Hay Ke Babar Kay Baad Kis Ka Naam Aata Hay? Kaun Hay Jo Sub Say Zyada Kamata Hay? Jawab Hay Sumail Hassan. Naam Nahi Suna Na? Sumail Na Cricketer Hain, Na Hi Wo Hockey Ya Football Player Hain,…

مزید پڑھیں