Author: فہد کیہر

Marnus Labuschagne Bhi Kya Player Hain! Apnay Khel Say To Sub Ko Hairan Kartay Hi Rehtay Hain, Ab Harkaton Say Pareshan Bhi Kar Dia Hay. Yaani Naam Ajeeb Aur Kaam Ghareeb. Kya Aap Ko Pata Hay Marnus Batting Kartay Huay Apnay Aap Say Baatein Kartay Hain? Laikin South Africa Kay Against Third Test Mein To Unhon Nay Jo Kia Hay, Us Ka Level Hi Aur Hay. Sydney Test Kay Pehlay Din Labuschagne Nay Dressing Room Ki Taraf Aisa Ishara Kia Jo Hum Nay To Kabhi Cricket Maidan Mein Nahi Dekha. Unhon Nay Wo Signal Dia Jo Cigarette Mangtay Huay Dia…

مزید پڑھیں

Aik Baar Phir Pakistani Team Relax Hui, Aur Opponent Nay Faida Utha Liya. New Zealand Ka 234 Par 1 Out Tha, Aur Pakistan Nay 345 Tak 9 Wickets Hasil Kar Leen. Hum To Samajh Rahay Thay Ke Bus Ab New Zealand Ki Kahani Khatam Honay Hi Wali Hay, Laikin Andaza Nahi Tha Ke Haathi Nikal Gaya, Laikin Dum Phans Gai Hay. Karachi Mein Jari Doosray Test Kay 2nd Day Ki Highlight Thi New Zealand Ki Last Wicket Ki 100+ Ki Partnership. Matt Henry Aur Aijaz Patel Nay Sirf 149 Balls Par 104 Runs Ka Izafa Kia Aur Score Ko Puhancha…

مزید پڑھیں

Pakistan Aur India Ki Test Cricket Ki Batein To Buhat Dinon Say Ho Rahi Hain, Laikin Hamain To Koi Umeed Nazar Nahi Aati. India Pakistan Say Khelna Hi Nahi Chahta Aur Mu’amla “Hum Hain Mushtaq Aur Wo Bezaar” Wala Hay. Waisay Aap Ko Yaad Hay 2014 Mein BCCI Nay Pakistan Kay Sath Aik MoU Par Sign Kiay Thay? Kaha Gaya Tha Ke Agar Pakistan ‘Big Three’ Kay Ma’mlay Par India Ki Himayat Karay To Us Kay Sath Aglay 8 Saalon Mein 6 Bilateral Series Khelay Ga. Laikin “Wo Wa’da Nahi Jo Wafa Ho Gaya”. Aik Series Tak To Hui Nahi…

مزید پڑھیں

Kisi Khel Kay Rules Aur Laws Samajhnay Hon To Shayad Cricket Dunya Ka Sab Say Complex Khel Hoga. Is Ki Basi Knowledge Hi Itni Complicated Hay Ke Kisi Naey Admi Ko Samjhana Buhat Hi Mushkil Hota Hay. Zara Kisi Aam Admi Ko LBW Samjha Kar Dekh Lain 😉 Khair, Hamain New Year Mein Ye Cricket Rules Kyun Yaad Aa Rahay Hain? Asal Mein Kal Australia Ki Big Bash League Mein Kuch Aisa Hua Hay, Jis Nay Sub Ko Hairan Kardia Hay, Aur Log Cricket Rules Mein Changes Ki Baat Kar Rahay Hain. Ye Brisbane Heat Aur Sydney Sixers Ka Match…

مزید پڑھیں

Jo Bhi Umeedain Theen, Expectations, Doubts, Khauf, Khatray, Un Sub Kay Saath 2022 Ab Ja Raha Hay. Kai Umeedain Puri Na Ho Sakeen, Kuch Doubts Thay Jo Khatam Ho Gaey. Aisay Fears Bhi Jo Haqeeqat Ban Kar Saamnay Kharay Ho Gaey. Aisa Bhi Hua Ke Jo Impossible Tha, Wo Possible Ho Gaya. Aam Zindagi Say Cricket Kay Maidanon Tak, Buhat Khuch Hua. To Aayen Dekhtay Hain Pakistan Cricket 2022 Mein Kaisi Rahi, Aur Individually Players Kay Liay Bhi Ye Saal Kaisa Raha. Test Ka Saal, Bura Haal (Photo: Getty Images) Cricket Kay Asal Format Yani Test Ki Baat Karain To…

مزید پڑھیں

Test Cricket Mein Pakistan Kay Liay 2022 Ka Start Bhi Draw Kay Sath Hua Aur End Bhi. Koshish To Hum Nay Buhat Ki Ke New Zealand Kay Against 1st Test Draw Na Ho, Laikin Mehmanon Ki Qismat Ke Babar Azam Kay Diay Gaey Open Chance Ka Faida Nahi Utha Sakay. Jee Haan! Babar Azam Nay Pakistan Ki 2nd Innings Declare Karnay Ka Jo Faisla Kia, Wo Kisi Ko Samajh Nahi Aaya, Shayad Khud New Zealand Ko Bhi Nahi, Ke Akhir Unhain Max. 17 Overs Mein 138 Runs Chase Karnay Ka Chance Kyun Dia Ja Raha Hay? Khair, Babar Ki Batein,…

مزید پڑھیں

Stadium Mein 2 Lakh Say Zyada Tamashai Hain, FIFA World Cup Ka Final Hay, Brazil Apnay Home Ground Par Khel Raha Hay, Lead Bhi Lay Chuka Hay, Laikin… Phir Bhi Haar Gaya. 5 Crore Dil Toot Gaey, Tab 9 Saal Kay Aik Bachy Nascimento Nay Apnay Baap Ko Rotay Dekha Aur Waada Kia Ke Wo Aik Din Brazil Ko World Cup Jitaey Ga. Aur 8 Saal Baad Wo Din Aa Hi Gaya! Nascimento Pele Ban Gaya, History Ka Youngest World Champion, Aur Phir Aik Nahi 3 Baar World Cup Jeetnay Wala History Ka Wahid Footballer Bhi. Aaj Wohi ‘The King’…

مزید پڑھیں

Naya Saal Aa Ra Hay, Ab Hoslay Bhi Naey Hain Aur Goals Bhi. Aur Jab Baat Ho Goals Ki To Office Mein Promotion Say Bara Goal Kaun Sa Hoga? Naey Saal Mein Taraqqi Mil Jaey To Mazay Hi Aa Jaey. Laikin Sawal Ye Hay Ke How To Get A Promotion? Such Ye Hay Ke Promotions Buhat Kam Diay Jatay Hain. Managers Promotions Detay Nahi, Employees Promotion Ka Kehtay Nahi, Kyunke Unhain Rejection Ka Khauf Hota Hay. Laikin Promotions To Hotay Hain, Company Mein Log Taraqqi To Kartay Hi Hain. Kaisay? Aayen Aap Ko 5 Steps Batatay Hein Ke Promotion Kaisay…

مزید پڑھیں

Pakistan Mein Runs Ki Ganga Beh Rahi Hay, Sub Haath Dho Rahay Thay Ke Kane Williamson Aaey Aur Poora Naha Liay. Karachi Test Mein “Kane Baba” Ki 200 Runs Ki Not Out Innings 2022 Mein Pakistan Mein Kisi Bhi Batsman Ki Pehli Double Hundred Hay. Hay To Ye Williamson Kay Career Ki 5th Test Double Century, Laikin Hay Buhat Special. Kaisay? Aayen Aap Ko Batatay Hain. https://twitter.com/ICC/status/1608399476133367809?s=20&t=X4GAp0fCtB0Xm5rtE8hRoA Sab Say Pehlay To Ye Pakistani Sarzameen Par New Zealand Kay Kisi Batsman Ki First Double Hundred Hay. Williamson Say Pehlay Pakistan Mein 200+ Ki 33 Innings Kheli Ja Chuki Theen, Laikin Kabhi…

مزید پڑھیں

Saal Badal Raha Hay, Haal Badal Raha Hay Aur Pakistan Cricket Mein To Sub Kuch Badal Raha Hay, Chairman Say Lay Kar Players Tak, Sub! Andaza Laga Lain Ke Karachi Test Mein Sarfraz Ahmed Aur Mir Hamza Khel Rahay Hain, Aur ODI Series Kay Liay Team Mein Sharjeel Khan Hain Aur Fakhar Zaman Nahi. Ye "Inqilab" Laey Hain Chief Selector Shahid Afridi. National Selection Committee Nay New Zealand Kay Against ODI Series Kay Liay 22 Probables Kay Naamon Ka Ailan Kia, Jabke Final 16 Members Team Next Week Announce Ki Jaey Gi. Ye List Saaf Zahir Kar Rahi Hay Ke…

مزید پڑھیں