Author: فہد کیہر

Dunya Ki Bari Bari Tech Companies Har Saal America Kay Shehr Las Vegas Mein Jama Hoti Hain Aur CES (Consumer Electronics Show) Mein Pesh Karti Hain Apni Jadeed Tareen Aur Ajeeb Tareen Inventions, Yani Future Tech. Youn New Year Kay Liay Zabardast Products Samnay Aati Hain. CES 2023 Sunday Ko Ye Khatam Hui Aur Sath Hi 2023 Ki Latest Aur Best Technologies Samnay Aa Chuki Hain. Aayen Mustaqbil Par Aik Nazar Daltay Hain: Tablet Pe Tablet (Photo: Lenovo) CES Mein Lenovo Nay Apni Aik New Product Reveal Ki Hay, Jis Ka Naam Hay Yoga Book 9i. Is Par Reaction Zara…

مزید پڑھیں

James Cameron Ki Avatar: The Way of Water Release Kay Baad Sirf 4 Hafton Mein Hi 1.7 Billion Dollars Kama Gai Hay, Yani 2022 Mein Release Honay Wali Highest Grossing Film Bhi Bani Hay Aur Sath Hi History Ki 7th Sub Say Zyada Kamanay Wali Movie Bhi. Is Weekend Par Avatar 2 Ki Kamai 1.709 Billion USD Tak Ja Puhanchi. Youn Ye 2019 Ki The Lion King Kay 1.663 Aur 2015 Ki Jurassic World Kay 1.672 Billion Dollars Ko Peechay Chhor Gai Hay. International Box Office Mein Bhi 1.19 Billion USD Kama Kar Avatar 2 Post-Pandemic Era Mein Sub Say…

مزید پڑھیں

Cricket History Mein Kuch Aisay Unlucky Players Bhi Aaey Hain, Jo Cricket Ball Lagnay Say Apni Jaan Day Gaey. 1959 Kay Quaid-e-Azam Trophy Final Mein Wicketkeeper Abdul Aziz Say Lay Kar 2014 Mein Australia Kay Batsman Phillip Hughes Tak, Aisay Bad-Naseeb Players Ki Aik Lambi List Hay. Laikin Kya Aap Jantay Hain Ke Modern Cricket Mein Fans Ko Bhi Cricket Ball Say Utna Hi Khatra Hay? Aaj Ki Fast Cricket Mein, Jis Mein Ball Baar Baar Spectators Mein Jati Nazar Aati Hay, Kisi Din Koi Tragedy Bhi Ho Sakti Hay. Isi Liay Aik American Khatoon Jana Goldbloom Brody Nay Cricket…

مزید پڑھیں

Pakistan New Zealand Cricket Teams Aik Historic Test Series Kay Baad Ab One Day Internationals Mein Aamnay Samnay Hain, Aur Is Series Mein Pakistan Kay Paas Hay Aik Golden Chance, ODI Rankings Mein World No. 1 Ban’nay Ka. Jee Haan! Agar Pakistan New Zealand Ko Is Series Kay Teenon Matches Hara Day To Wo 20 Saal Baad Pehli Baar ODI Rankings Mein No. 1 Ban Sakta Hay. Pakistan Is Waqt One Day International Rankings Mein 107 Rating Kay Saath 5th Number Par Hay, Jabke New Zealand No. 1 Hay, Jis Kay 116 Rating Points Hain. ICC ODI Rankings Updated: 8…

مزید پڑھیں

Kya Aap Nay Kabhi Koi Aisa Bowler Dekha Hay Jo Donon Hathon Say Bowling Karta Ho? Yani Right Arm Say Aur Left Say Bhi? Shayad Kabhi Nahi Dekha Hoga! Kyunke Ye Aik Rare Breed Hay. Aisi Ability Lakhon Mein Shayad Kisi Aik Mein Hoti Hogi. Laikin Pakistan Mein Aik Aisa Bowler Zarur Aaya Hay Jo Sab Say Mukhtalif Aur Munfarid Hay. Naujwan Yasir Jan Ambidextrous Bowlers Mein Shayad Wahid Ho Gay Jo Fast Bowling Kartay Hain. Shayad Aap Ko Yaad Bhi Ho, Yasir Pehli Baar 2016 Mein Lahore Qalandars Kay ‘Al-Mash’hoor’ Talent Hunt Mein Samnay Aaey Thay. Laikin Un Ki…

مزید پڑھیں

Buhat Shauq Tha Hamain Bari Teams Ki Mezbani Karnay Ka, Umeed Hay Ab Arman Thanday Parr Gaey Hongay. 2022 Mein Jahan Pakistan Home Ground Par 1 Test Tak Nahi Jeeta, Waheen 2023 Ka Aghaz Bhi Itna Acha Nahi Raha. Khair, Pakistan New Zealand 2nd Test Mein Jaan Bachi, So Lakhon Paey! Pakistan New Zealand Kay Against 2nd Test Haartay Haartay Jeetnay Laga, Aur Phir Jeet’tay Jeet’tay Haarnay Hi Wala Tha Ke Allah Allah Karkay Mu’amla Draw Par Ruk Gaya. New Zealand Kay Khilaf 2 Test Matches Ki Series 0-0 Say Khatam Hui. Aur Youn Pakistan Ka Home Ground Par Imtehan…

مزید پڑھیں

National Stadium Karachi Hamesha Say ‘Fortress Of Pakistan’ Samjha Jata Hay. Kyun? Kyunke Pakistan Aaj Tak Sub Say Zyada Test Matches Yaheen Jeeta Hay. Pakistan Nay National Stadium Par 1955 Say Aaj Tak Total 47 Test Matches Khelay Hain Jin Mein Say 23 Mein Kamyabi Haasil Ki Aur Sirf 3 Mein Shikast Khai Hay. Jaisay Kisi Zamanay Main Squash Mein Jahangir Khan Aur Jansher Khan Ki Jeet Nahi Balkay Haar Khabar Hoti Thi, Usi Tarah Pakistan Cricket Team Ka National Stadium Main Haarna Headline Samjhi Jati Thi. Laikin Phir Century Badli, Waqt Badla Aur Karachi Bhi 'Pakistan Ka Qila' Nahi…

مزید پڑھیں

Aik Taraf Government Hay Jo Economy Ko Bachanay Kay Liay Desperate Measures Utha Rahi Hay To Doosri Janib Pakistan Cricket Board Kay Halaat Bhi Mukhtalif Nahi. Test Kay Baad New Zealand Kay Against ODI Series Kay Liay Team Selection Mein Yahi Desperation Saaf Nazar Aa Rahi Hay. New Setup Nay Aatay Hi Aisay “Toofani Iqdamaat” Uthaey, Jaisay Sub Kuch Badal Jaey Ga. Badla To Kuch Nahi Laikin Policy Ka “Aik Qadam Aagay, 2 Qadam Peechay” Jana Zarur Samnay Aa Gaya Hay. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1610937324497412097?s=20 Lala Ka U-Turn Chief Selector Shahid Afridi Nay New Zealand Kay Khilaf 3 ODI Matches Kay Liay 16-Player…

مزید پڑھیں

Zimbabwe Nay Ireland Kay Khilaf T20 Series Kay Liay Apna Squad Announce Kardia Hay Ke Jis Mein Gary Ballance Bhi Shamil Hain. Naam Kuch Suna Suna Lag Raha Hay. Jee Haan! Agar Aap Last 10 Years Say Bhi Cricket Dekh Rahay Hain To Aap Nay Inhain Zarur Kheltay Dekha Hoga. Ye Wohi Ballance Hain Jo England Kay Liay Kheltay Thay. https://twitter.com/ZimCricketv/status/1610580182040985603 33 Saal Kay Gary Ballance Nay 2014 Say 2017 Kay Beech England Kay Liay 23 Test Aur 16 One Day Internationals Khelay, Laikin ‘Rise Of Jos Buttler’ Nay Unhain Team Say Bahar Kardia. Ab Ballance Apnay Birth Country Zimbabwe…

مزید پڑھیں

Pakistan Is Saal 2023 Kay End Mein Australia Ka Tour Karay Ga, Wo Jaga Jo Pakistan Kay Liay Hamesha Buhat Mushkil Rahi Hay. 2016-17 Mein Jab Last Tour Kia Tha To Hum Test Series 3-0 Say Haaray Thay. Us Series Mein Aaj Ka Din Yani 5 January Bhi Aaya Tha, Jis Par Younis Khan Nay Aik Milestone Cross Kia Tha: Test Century In Every Country. 5 January 2017 Ko Younis Khan Nay Apni 34th Aur Last Test Century Score Ki Thi, Wo Bhi Sydney Kay Maidan Par. Aur Ye Thi Australia Mein Un Ki Pehli Hundred. Is Kay Sath Hi…

مزید پڑھیں