Author: فہد کیہر

New Zealand Ki Cricket Team Pakistan Puhanch Chuki Hay. Pakistan Ki Us Team Ka Muqabla Karnay Jis Nay Saal 2022 Mein Home Ground Par Aik Test Match Bhi Nahi Jeeta. Yani Ab To Pakistan Hi Pakistan Ka Hunting Ground Ban Chuka Hay. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1605854929150652416?s=20&t=87nLPJZmk_7JY8bKWy5Y3g England Kay Hathon 3-0 Ki Historic Defeat Kay Baad To Koi Expect Bhi Nahi Kar Raha Ke Babar XI New Zealand Kay Against 2 Test Matches Ki Series Jeet Bhi Sakay Gi. Laikin Ye Unpredictable Pakistan Hay, Phir New Zealand Kay Against Aik Acha Record Bhi Rakhta Hay. Donon Teams Nay 67 Saal Ki History Mein Total…

مزید پڑھیں

Jis Tarah ‘Naya Pakistan’ Pasand Nahi Aaya, Aur ‘Purana Pakistan’ Bahaal Kardia Gaya, Waisay Hi ‘Naey PCB’ Ko Bhi Lapait Dia Gaya Hay. Finally, Ramiz Raja Ka Raj Khatam Hua Aur Najam Sethi Aik Baar Phir Pakistan Cricket Board Kay Seth Ban Gaey Hain. Laikin Achanak Aisa Hua Kyun? Waja Kya? Mas’lay To Buhat Say Thay. April Mein Imran Khan Ki Government Janay Kay Baad Say Ramiz Raja Par Aik Talwar To Latak Hi Rahi Thi, Laikin Ab Achanak Un Ko Nikaalnay Kay 2 Reasons Nazar Aatay Hain: Aik To Pakistan Ki England Kay Khilaf 3-0 Ki Historic Defeat, Aur…

مزید پڑھیں

Dunya Tezi Say Badal Rahi Hay. Sirf Computer Aur Mobile Technology Mein Aanay Wali Changes Hi Dekh Lain, Aap Ko Andaza Ho Jaey Ga Ke Kitna Bara Inqilab Hay Jo Hamari Nazron Kay Samnay Aa Raha Hay, Balkay Aa Chuka Hay. Abhi Zyada Time Nahi Guzra Ke Hamaray Hathon Mein Bhari-Bharkam, Green Screen Walay Aur Buttons Say Chalnay Walay Mobiles Hotay Thay, Jin Mein Calls Kay Ilawa Hamari Wahid Dilchaspi Snake Game Mein Hoti Thi. Aur Aaj? Aaj To Ye Pocket Phones Personal Computers Say Bhi Zyada Powerful Ho Chukay Hain. Is Century Mein Computer Buhat Tezi Say Tabdeel Hua…

مزید پڑھیں

Little Master, Ye Naam Suntay Hi Ho Sakta Hay Aap Kay Zehn Mein Sachin Tendulkar Ka Naam Aata Ho. Laikin Asal Mein Ye Kaha Jata Tha Pakistan Kay Hanif Mohammad Ko, Wohi Hanif Jo 1934 Mein Aaj Hi Kay Din Yani 21st December Ko Paida Huay Thay. 5’3” Kay Hanif Pakistan Kay Pehlay Batting Super Star Thay. Un Ka Ta’luq Aik Sporting Family Say Tha. ‘Mohammad Brothers’ To Dunya Bhar Mein Pakistan Cricket Ki Pehchan Thay: Hanif Kay Sath Wazir Mohammad, Mushtaq Mohammad Aur Sadiq Mohammad. Yahi Nahi Baad Mein Hanif Kay Betay Shoaib Mohammad Nay Bhi Pakistan Kay Liay…

مزید پڑھیں

Is Waqt Dunya Mein Mega Companies Say Lay Kar Seth Ki Dukan Tak, Har Jaga Aik Hi Kaam Ho Raha Hay: Layoffs, Yani Logon Ko Nikaalna. Ab Bay-Rozgaar Logon Ki Aik Fauj Hay Jo Apnay “Updated” CV Lay Kar Har Jaga Apply Kar Rahi Hay. Agar Aap Bhi Aisay Hi Logon Mein Say Aik Hain To Zara Rukain: Hum Aap Ko Aik Important Baat Batanay Walay Hain. Kuch To Aisi Batein Hain Jin Ka Aap Ko CV Banatay Huay Waisay Hi Khayal Rakhna Hay. Phir Best CV Ki Tips To Aap Ko Pehlay Hi Day Chukay Hain, Aaj Aap Ko…

مزید پڑھیں

Avatar: The Way Of Water Ka Global Opening Weekend 400 Million Dollars Ka Raha. Umeed Thi Ke Ye Movie Opening Weekend Par Hi 500 Million Dollars Ka Milestone Paar Kar Jaey Gi, Laikin Aisa Hua Nahi. $400m Bhi Koi Choti Raqam Nahi, Laikin Phir Bhi Avatar II Ko ‘Box Office Bomb’ Kaha Ja Raha Hay. Kyun? Kyunke Ye Buhat Buhat Mehngi Film Hay Aur Isay ‘Break Even’ Kay Liay Bhi Kaheen Zyada Maal Kamaana Hoga. 13 Saal Kay Intizar Kay Baad Aanay Wali Avatar: The Way Of Water Kay First Impression Par 2 Mukhtalif Opinions Hain. Kuch Log To Is…

مزید پڑھیں

Ye Aik Historic Series Thi, Jo Ab Aik Tareekhi Shikast Mein Badal Chuki Hay. Pakistan England Kay Hathon Apnay Home Ground Par Hi Clean Sweep Ho Gaya Hay. Aisa Aakhri Baar Kab Hua Tha? Kabhi Nahi! Ye Aizaz Pehli Martaba Mila Hay Babar Azam Ko, Jin Ki Kaptaani Mein Pakistan Home Ground Par Consecutive 4 Test Matches Haara Hay, For The First Time Ever. Isi Liay Babar Par Ab Khul Kar Tanqeed Ho Rahi Hay. Jo Baat Pehlay Dabay Lafzon Mein, Dhakay Chhupay Ho Rahi Thi, Band Kamron Mein Thi, Ab Har Chai Kay Dhabay Aur Paan Kay Khokhay Par…

مزید پڑھیں

At Last, Lionel Messi Apnay Aakhri World Cup Mein Trophy Jeet Hi Gaey. Wo 2014 Mein World Champion Ban’nay Kay Buhat Qareeb Puhanchay Thay, Laikin Haar Hui, Baad Mein Retirement Lay Li, Phir Retirement Wapis Lay Kar Aik Baar Phir International Football Mein Wapis Aaey, Aur Apnay Last World Cup Mein Apni Best Performance Day Kar Argentina Ko World Champion Bana Dia. Ye Story Hamain Kuch Milti Julti Lagti Hay, Apnay Imran Khan Say. Aik Jaisa Debut Imran Khan Nay Sirf 18 Saal Ki Umar Mein Pakistan Kay Liay Apna Career Start Kia Tha. Ye England Kay Against 1971 Ki…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup 2022, Aik Aisa World Cup Jo Kai Generations Yaad Rakhain Gi. Jaisa Start Tha, Waisa Hi End, Qatar 2022 Bilkul Usi Tarah Apnay End Tak Puhancha, Jaisa Hum Chahtay Thay. Aik Shandaar Tournament Kay Baad Aik Jandaar Final, Jis Mein Aik Taraf Lionel Messi Kay 2 Goals Thay To Doosri Janib Kylian Mbappe Ki Hattrick. https://twitter.com/FIFAWorldCup/status/1604543580437024768?s=20&t=pgH1Lze4Y3ryQbIbZrkU1w 2022 FIFA World Cup Final Fulltime Kay Baad Extra Time Mein Bhi Barabar Raha. Laikin Penalty Shootouts Par France Kay Paas Argentina Ka Koi Jawab Nahi Tha. Wo 4-2 Say Haar Gaya Aur Title Defend Karnay Kay Khwab Poora Nahi Kar…

مزید پڑھیں

Doha Mein Buenos Aires Ka Manzar Tha Jab Argentina Nay Penalty Shootouts Par France Ko 4-2 Say Haraa Kar FIFA World Cup 2022 Jeet Lia. Aur Kya Muqabla Tha Ye, Wah! Shayad Isay Greatest Ever Football Match Kaha Jaey. Haan! Tareekh Ka Best Final To Hay Hi. FIFA World Cup 2022 Final Argentina 3-3 France Penalties 4-2 ArgentinaFrance Messi 23' (P) Messi 108'Di Maria 36'Mbappe 80' (P) Mbappe 81' Mbappe 118' (P)Team Stats20Shots1010Shots on Target555%Possession45%5Cards36Corners5 Argentina First Half, Balkay Second Half Kay Bara Hissa Bhi 2-0 Ki Lead Say Khela. Phir Full Time Say Pehlay France Nay Kylian Mbappe Ki…

مزید پڑھیں