Author: فہد کیہر

Windows 7 2009 Mein Release Hui Aur Windows 8 2012 Mein, Aur Donon Par Awam Ka Response Bilkul Mukhtalif Tha. Windows 7 Nay To Sales Kay Records Torr Diay, Laikin Windows 8 Buri Tarah Flop Ho Gai. Par Ab Donon Ka Anjam Aik Jaisa Honay Wala Hay, Next Month Donon Operating Systems Ki Official Support Khatam Ho Jaey Gi. Yahan Tak Ke Microsoft Edge Ki Support Bhi Nahi Milay Gi. https://twitter.com/windowsblog/status/1601260458614235137?s=20&t=MzSVTlspVqs9TwgZTIEF1w Yani Windows 7 Aur 8 Donon Officially Dead Ho Jaen Gi. 2009 Aik Zabardast Saal 2009, Wohi Saal Tha Jis Mein Nvidia Ka GTX 295 Launch Hua Tha, Jis…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup 2022 Mein Istemal Honay Wali Ball Al Rihla Kay Baray Mein To Aap Buhat Kuch Jantay Hain, Kyunke Hum Aap Ko Pehlay Hi Bata Chukay Hain. Laikin Kya Aap Ko Pata Hay Ke World Cup Kay Semi Finals Aur Final Mein Al Rihla Use Nahi Hogi? Jee Haan! Na Sirf In Matches Mein Balkay 3rd Position Kay Muqablay Mein Bhi Aik New Ball Ka Istemal Hoga, Jis Ka Naam Hay ‘Al Hilm’. Ye Ball Al Rihla Say Kaisay Mukhtalif Hay? Aur Is Kay Kya Features Hain? Aayen Aap Ko Batatay Hain. https://twitter.com/roadto2022en/status/1601903263015649281?s=20&t=YwxI_We3vLX6lPIBdeqtmg 2022 Qatar - Al Hilm…

مزید پڑھیں

Saud Shakeel 94 Runs Par Khel Rahay Thay, Apni Pehli Test Century Kay Qareeb, Pakistan Ko Aik Tareekhi Kamyabi Dilanay Kay Qareeb, Aur Series Barabar Karnay Kay Bhi Qareeb. Laikin Mark Wood Ki Aik Ball, Aur Us Par Aleem Dar Kay Aik Faislay Nay Sab Kuch Badal Dia. Aik Soft Signal Pakistan Ko Buhat Bhari Parr Gaya. Hua Kya Tha? Ye Innings Ka 92nd Over Tha. Pakistan Kuch Dair Pehlay Hi Mohamad Nawaz Ki Qeemti Wicket Ka Nuqsan Utha Chuka Tha. Ab 64 Mazeed Runs Ki Zarurat Thi Aur Yahan Saud Say Wohi Ghalti Hui, Jo Nawaz Nay Ki Thi.…

مزید پڑھیں

Kitnay Surprising Results Aaey Hain Na Is FIFA World Cup Mein? Saudi Arabia Nay Argentina Ko Haraya, Japan Nay Germany Aur Spain Ko, Tunisia Nay France, Cameroon Nay Brazil Aur Morocco Nay Belgium, Spain Aur Portugal Ko Shikast Di Aur Dunya Ko Hila Dia. FIFA World Cup Upsets Hi Nay Qatar 2022 Ko ‘Best World Cup Ever’ Banaya Hay. Laikin Akhir Aisa Ho Kyun Raha Hay? Kya Is Ki Koi Khaas Waja Hay? Aayen Talash Kartay Hain. https://twitter.com/KhaledBeydoun/status/1601672587142012928?s=20&t=JJV2iUjvSh0ZtkvkgRDhbg Aik Different World Cup Pehla Reason To Ye Hay Ke World Cup 2022 Sab Say Alag Aur Sab Say Juda Hay. Ye…

مزید پڑھیں

Morocco FIFA World Cup 2022 Kay Semi Final Tak Puhanchnay Wala Pehla African Aur Arab Mulk Zarur Hay, Laikin Wo Pehla Muslim Mulk Nahi Hay. Jaisa Ke Kal Say Buhat Say Logon Ko Ye Ghalat Fehmi Hui Hay. Yahan Tak Ke Apnay ‘Khan Sahib’ Bhi Itwar Ko Subah Subah Jaag Gaey Aur Tweet Kar Dala Ke Koi Arab, African Aur Muslim Team “Pehli Baar” FIFA World Cup Semi Final Mein Puhanchi Hay. https://twitter.com/ImranKhanPTI/status/1601777732815585280?s=20&t=8y0adlbZiH46wxTLTOQDOw Na Khan Sahib Na! Kisi Muslim Majority Country Ka World Cup Semi Final Wala Aizaz Morocco Ka Nahi, Balkay Turkey Kay Paas Hay. 20 Saal Pehlay 2002…

مزید پڑھیں

Finally Cristiano Ronaldo Ka World Cup Mein Safar Khatam Hua. Morocco Kay Hathon Aik Tareekhi Shikast Khanay Kay Baad CR7 Rotay Huay Maidan Say Wapis Aaey Aur Shayad Ab Dubara Kabhi FIFA World Cup Na Khel Sakain. 37 Saala Ronaldo Nay 2006 Say 2022 Tak 5 World Cup Khelay, Laikin Portugal Kabhi Top 3 Mein Bhi Nahi Aa Saka. Youn Ronaldo Bhi Un Players Mein Shamil Ho Gaey Hain, Jo Kabhi World Cup Nahi Jeet Sakay. To Aisay Kaun Say Players Hain Jo Great, Balkay Greatest Thay, Laikin Kabhi World Cup Ki Khoobsurat Trophy Un Kay Hath Nahi Lagi, Aayen…

مزید پڑھیں

Morocco Portugal Ko Hara Kar FIFA World Cup 2022 Kay Semifinal Mein Puhanch Gaya Hay, Aur Agar Koi Is Result Ko Upset Kehta Hay To Shayad Us Nay World Cup Mein Morocco Ki Performance Nahi Dekhi. Wo Team Jo Croatia Kay Sath Draw Khelnay Kay Baad World No. 2 Belgium Aur Phir Round Of 16 Mein Spain Ko Hara Chuki Ho, Us Ki Jeet Ko Ab Upset Nahi Kehna Chahiye. Kya Khayal Hay? Waisay Ye Baat Hay Ke World Cup Say Pehlay Socha Kisi Nay Nahi Socha Hoga Ke Semifinal Stage Tak Undefeated Rehnay Wali Teams Mein Say Aik Morocco…

مزید پڑھیں

Lionel Messi, Aik Living Legend Hain. Buhat Say Fans Ki Nazar Mein GOAT Yani ‘Greatest Of All Time’. Aur Dekhain To Messi Kay Paas Kya Nahi Hay? Record 7 Ballon d'Or Say Lay Kar 10 La Liga Aur 4 UEFA Champions League Titles Tak, Yahan Tak Ke 23 Saal Baad Argentina Kay Liay Pehla Copa America Bhi. Laikin Nahi Hay To FIFA World Cup Nahi. Aur Jis Kay Paas World Cup Na Ho, Hamari Nazar Mein Wo Legend Kaisay Ban Sakta Hay? To Ab Messi Ki “Jindagi Ka Aik Hi Maqsad Hay”: WORLD CUP! Aur Ye Manzil Ab Un Say…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup 2022 Mein Ye Argentina Ka Din Tha. Pehlay Us Ka Archrival Brazil Croatia Kay Hathon Shocking Defeat Kay Sath Tournament Say Bahar Hua Aur Phir Kuch Dair Baad Wo Netherlands Kay Hathon Haartay Haartay Penalty Shootouts Par Jeet Gaya. Youn Lionel Messi Ka World Cup Dream Zinda Hay, Laikin Neymar Ka Khwab Toot Chuka. 5 Martaba Ka World Champion Brazil Last 5 World Cup Tournaments Mein 4th Martaba Quarterfinals Mein Hi Haar Gaya. Waisay FIFA World Cup 2022 Mein Ye Din Hi Kamaal Ka Tha. Aik Kay Baad Doosra Shandaar Muqabla. Aisay Matches Ke Shayad Future Mein…

مزید پڑھیں

Is Waqt Cricket World Mein Sirf Aik Hi Naam Hay Jo Sab Ki Zaban Par Hay: Abrar Ahmed! Wo Naujawan Jis Nay Apnay Pehlay Test Mein, Pehlay Hi Din Balkay Pehlay Hi Session Mein Wo Kar Dikahaya Jo Rawalpindi Test Mein Pakistan Kay Saray Bowlers Bhi Mil Kar Nahi Kar Paey Thay. Abrar Nay Multan Test Mein England Ki Pehli Innings Mein 114 Runs Day Kar 7 Wickets Hasil Keen. Jo Debut Par Pakistani Bowlers Ki Best Performance Mein Say Aik Hay. 1st Test Kay Pehlay Din Runs Ka Himalaya Khara Karnay Wala England Abrar Ki Best Bowling Ki Waja…

مزید پڑھیں