Author: فہد کیہر

Ab To Sab Ki Nazrain Qatar Par Hain. Sunday Ki Raat Doha Kay Lusail Iconic Stadium Mein Hoga ‘Aakhri Muqabla’, FIFA World Cup 2022 Ka Final. Jahan Argentina 1986 Kay Baad Apna Pehla World Cup Jeetnay Ki Koshish Karay Ga Aur France 60 Saal Baad Apnay Title Ko Defend Karnay Wali Pehli Team Ban’nay Ki. Aur Jaisi Donon Teams Ki Performance Hay, Lagta Hay Hamain Aik Yadgaar Final Dekhnay Ko Milay Ga. Ye FIFA World Cup History Ka 22nd Final Hoga, Is Say Pehlay 21 Finals Mein Say Kuch Aisay Thay Jinhain Aaj Bhi Yaad Kia Jata Hay. To Argentina-France…

مزید پڑھیں

Film Storytelling Ki Aik Modern, Aur Buhat Expensive Shakal Hay. Agar Aap Aik Movie Buff Ya Cinephilia Hain To Aap Aisi Films Aap Ki Nazar Say Zarur Guzri Hongi Jinhain Dekhnay Kay Baad Aap Kafi Dair Sochtay Hi Reh Jatay Hain Ke Ye Hua Kya Tha? Kabhi Kabhi To Aisi Movie Bhi ‘Takra’ Jati Hay Ke Do Baar Dekh Kar Hi Samajh Aati Hay. Agar Aap Ko Aisi Hi Mind Bending Movies Pasand Aati Hain To Aap Bilkul Theek Jaga Par Aayen Hain. Aaj Hum Aap Ko Aisi 10 Movies Kay Baaray Mein Batayen Gay. Predestination Year: 2014 Director: Michael…

مزید پڑھیں

96 Test Matches, 7,000 Say Zyada Runs, 19 Centuries, 35 Fifties Aur Sab Say Barh Kar 302 Runs Ki Wo Not Out Innings Jis Nay Azhar Ali Ko Hanif Muhammad, Inzamam Ul Haq Aur Younis Khan Jaisay Legends Kay Sath Khara Kardia. Aaj Azhar Ali Nay Test Cricket Say Retirement Ka Ailan Kardia Hay. England Kay Khilaf Series Ka 3rd Test Azhar Ka Aakhri Test Hoga. Youn Pakistan History Ka Aik Unsung Hero 100 Test Khelay Baghair Cricket Chhor Jaey Ga. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1603649538992095237?s=20&t=AH0JvzzbVBO5wIYvouKBWQ Azhar Ali Nay Pakistan Kay Liay Us Waqt Debut Kia Tha Jab Aik Toofan Tham Chuka Tha, Aur…

مزید پڑھیں

Pakistan Super League Ka 8th Season Hoga To Aglay Saal, Laikin Is Ki Tayari Abhi Say Shuru Ho Chuki Hay. PSL Draft Kay Sath Next Season Ki Taraf Sab Say Bara Qadam Uth Chuka Hay. Kai Baray Naam Pehli Baar PSL Ka Hissa Banain Gay. Laikin Kis Team Mein Kitna Dam Hay? Ye Hum Aap Ko Bataen Gay. https://twitter.com/thePSLt20/status/1603451008717316098?s=20&t=LA2ekac2eK972c4pqwdSjw Islamabad United 2 Martaba Ka Champion Islamabad Hamesha ‘Dimagh Se’ Khelta Hay, Is Baar Bhi Team Dimagh Say Banai Hay. Agar Ye Kahain To Ghalat Nahi Hoga Ke Next Season Ki Sab Say Balanced Team Islamabad Hi Ki Lagti Hay. Flamboyant…

مزید پڑھیں

Pakistan Mein Pabandi To Lagti Rehti Hay, Kabhi Double Savari Par To Kabhi Movies Par. 1959 Mein Jago Hua Savera Say Aaj Joyland Tak, Aisi Movies Ki List Buhat Lambi Hay Jo Totally Banned Raheen, Ya Unhain Kisi Na Kisi Stage Par Pabandi Ka Samna Karna Para. Laikin Baat Pakistan Tak Mehdood Nahi. Syasi Aur Mazhabi Donon Waja Say Dunya Bhar Mein Kai Films Par Ban Lagaya Ja Chuka Hay. Balkay Kuch Reasons To Aisay Hain Ke Sun Kar Hansi Aati Hay. Aayen Aaj Aap Ko Kuch Aisi Famous Movies Kay Baray Mein Batatay Hain, Jo Mukhtalif Mulkon Mein Pabandi…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup Sports World Ka Sab Say Bara Title Hay, Laikin Jeetnay Walay Ko Sirf Izzat, Shohrat Aur Naam Hi Nahi, Paisa Bhi Buhat Milta Hay. World Cup 2022 Ki Total Prize Money 440 Million Dollars Hay. Yani 1 Kharab Pakistani Rupay! Ab Is Main Say Kis Ko Kitnay Milain Gay? Aayen Aap Ko Batatay Hain. Is World Cup Mein Total 64 Mein Say 62 Matches Ho Chukay Hain. Ab Muqabla Hoga First 3 Positions Kay Liay. Final Mein France Aur Argentina Khelain Gay Aur Third Position Kay Liay Morocco Aur Croatia Ka Muqabla Hoga. Laikin Paisa Sirf In…

مزید پڑھیں

Dil Toot Gaya, Dimagh Jeet Gaya. FIFA World Cup 2022 Mein Morocco Ka, Africa Ka, Arab World Ka Aur Muslim Dunya Ka Safar Khatam Ho Gaya. Defending Champion France Nay 2nd Semi Final Mein Morocco Ko 2-0 Say Hara Dia Hay. Youn 18th December Ko World Cup Kay Liay Argentina Aur France Aamnay Samnay Hon Gay. Yani Lionel Messi vs Kylian Mbappé, No. 10 vs No. 10. https://twitter.com/FIFAWorldCup/status/1603133751290044417?s=20&t=_Fo95j7Qe3BX_eWVnxroCw Start Hi Lead Kay Sath France vs Morocco Semi Final Mein Les Bleus Nay Theo Hernández Kay Zariay 5th Minute Mein Hi Goal Kar Dia Tha. Morocco, Wo Team Jis Nay Pooray…

مزید پڑھیں

Aap Technology Mein Dilchaspi Rakhtay Hain Aur Aaj Kal Artificial Intelligence Jo Wonders Dikha Rahi Hay, Un Say Hamari Tarah Hairan Hotay Rehtay Hain To Aap Nay ChatGPT Kay Baray Mein Zarur Suna Hoga. Ye Aik Research Group OpenAI Ki Tayyar Ki Gai Zabardast, Aur Sath Sath Pareshan Kar Dainay Wali, Technology Hay. Jo Aap Kay Saray Problems Solve Kar Sakti Hay, Aur Aap Kay Har Sawal Ka Jawab Day Sakti Hay. Is Liay ChatGPT Nay Is Waqt Internet World Mein Tehelka Macha Rakha Hay. https://twitter.com/volodarik/status/1600854935515844610?s=20&t=CnQde4GKPTBS8fB0waEvvQ Aayen Asan Lafzon Mein Batatay Hain: ChatGPT Aik Bot Hay Jo User Inputs Ka…

مزید پڑھیں

Lionel Messi Ki Umar Ab 35 Saal Hay. Ab To Un Say Expect Bhi Nahi Kia Jata Ke Ball Un Kay Paas Aaey Gi To Wo Toofani Speed Say Niklain Gay Aur Opponent Ka Defence Torrtay Huay Aisa Goal Karain Gay Ke Dunya Hairan Reh Jaey Gi. Ab Wo Purana Messi Kahan? Laikin World Cup 2022 Kay 1st Semi Final Mein Hamain Kuch Dekhnay Ko Mila, A Moment Of Magic! Penalty Par Score Aur 2nd Goal Mein Assist Karnay Kay Baad Lag Raha Tha Messi Ki Umar Achanak 35 Say 21 Saal Ho Gai Hay. 69th Minute Mein Halfway Line…

مزید پڑھیں

Expectations To Buhat High Theen Ke Ye Hojaey Ga, Wo Hojaey Ga. Laikin Argentina vs Croatia Semi Final Mein Messi Kay Magic Kay Samnay Kisi Ki Aik Nahi Chali. Argentina Aik One-Sided Match Kay Baad FIFA World Cup 2022 Ka 1st Semi Final 3-0 Say Jeet Gaya Aur Youn Aik Martaba Phir Final Mein Puhanch Gaya Hay. https://twitter.com/FIFAWorldCup/status/1602769111523774467?s=20&t=6aJEVnShnhrqVrdVtdw-gg Lusail Iconic Stadium Mein Argentina Nay Shuru Mein Hi Lead Lay Li Thi. Ye 32nd Minute Tha Jis Mein Croatian Goalkeeper Dominik Livakovic Ko Aagay Barthay Julián Álvarez Ko Roknay Ki Koshish Mein Yellow Card Dekhna Para, Is Say Bhi Zyada Ye…

مزید پڑھیں