Author: فہد کیہر

Climate Agreement Main Kia Gaya Waada Poora Kartay Huay Norway Indonesia Ko 56 Million Dollars Ada Karay Ga. Is Ki Waja Ye Hay Ke Indonesia Apnay Tropical Forests Ko Mehfooz Karkay Carbon Dioxide Emissions Ko Kam Kar Rah Hay. Is Agreement Par Norway Indonesia Climate Deal Kay Mutabiq Sign Kiay Gaey Thay.  Indonesia Main Dunya Ka 3rd Sub Say Barra Tropical Jungle Hay. Jisay Mehfooz Karnay Kay Liay Indonesia Kafi Waqt Say Steps Utha Raha Hay. 2016-17 Main Indonesia 11.2 Million Tonnes Carbon Dioxide Emissions Kam Karnay Main Kaymab Hua Tha. Jo Deforestation Yani Junglon Ki Katai Ko Kam Karnay…

مزید پڑھیں

Gold Jewellery Ka Naam Sun Kar Hi Aankhon Main Aik Chamak Aa Jati Hay. Kyunke Humaray Culture Main Gold Kay Zewraat Ko Buhat Importance Di Jati Hay. Phir Ye Investment Opportunity Bhi Daitay Hain, Savings Ka Aik Option Bhi. Aajkal Jo Economic Conditions Chal Rahi Hain Un Main To Savings Kay Liay Gold Best Option Samjha Ja Raha Hay. Lekin Duniya Mein Har Jagah Aisa Nahi. Sonay Ka Istemaal Mukhtalif Bhi Hai Aur Zaroori Bhi. Laikin Finbold Kay Data Kay Mutabiq Gold Jewellery Market Par China Aur India Ka Qabza Hay. Jahan Tonnes Ke Hisaab Say Sonay Kay Zewrat Farokht…

مزید پڑھیں

Bangladesh Aur India Ka Koi Crucial Match Ho Aur Koi Controversy Paida Nah Ho? Aisa Ho Hi Nahi Sakta. T20  World Cup Ke Aik Important Match Mein India Ne Bangladesh Ko Sirf 5 Runs Se Haraya. Jis Ke Baad Aik Naya Hungama Khara Ho Chuka Hai. Woh Yeh Ke Umpires Ne Virat Kohli Ki Aik Fake Fielding Harkat Ko Ignore Kia Jis Par Bangladesh Ko Qanoon Ke Mutabiq 5 Runs Mil Satke Thay. Yani Itnay Hi Runs Jitne Runs Se Woh Yeh Match Haara.  Bangladeshi Batsman Nurul Hasan Nay Press Conferencemain Bataya Ke Umpires Ne 'Fake Fielding' Ka Aik Waqia Nahi…

مزید پڑھیں

Twitter Ki Dunya Main Elon Musk Ka Raj Shuroo Ho Chuka Hay. 44 Arab Dollars Say Ye Social Media Company Khareednay Kay Baad Ab Musk Wo Sub ‘Problems’ Solve Karnay Chalay Hain, Jin Par Wo Hamesha Baat Kartay Thay. Yani Twitter Main Sakht Moderation, Bots Khatam Karna Aur Buhat Say Doosray Issues. Filhaal Twitter Kay CEO Aur CFO Ki Chhutti Ho Chuki Hay. Kuchh Ajeeb Faislay Bhi Liay Gaey Hain. Jaisa Ke Verified Account Say Charges Lainay Ka Faisla. Khair, Buhat Sari Tabdeelian Buhat Tezi Say Aa Rahi Hain. Aur Lagta Hay Aap Bhi Elon Musk Kay Twitter Par Aanay Say…

مزید پڑھیں

Wo Khabar Aa Gai Jo Hum Nahi Sun’na Chahtay Thay. India Nay Bangladesh Ko 5 Runs Say Hara Dia. Yoon Us Ka Aik Qadam Semi-Final Main Hay. Jabke Doosra Qadam Aik Kick Ki Surat Main Pakistan Ko Parr Chuka Hay. ICC T20 World Cup 2022 India vs Bangladesh 2 November 2022 Adelaide Oval, Adelaide, Australia Result: India 5 Runs Say Jeet Gaya (D/L Method) IND184-6Virat Kohli64 (44)KL Rahul50 (32) BAN BowlingOMRWHasan Mahmud40473Shakib Al Hasan40332 BAN(T:151, 16 ov.)145-6Litton Das60 (27)Nurul Hasan25 (14) IND BowlingOMRWHardik Pandya30282Arshdeep Singh40382 T20 World Cup, Pakistan Ka Chance Khatam? Nahi, Aisa To Nahi Keh Saktay, Laikin Ab…

مزید پڑھیں

3 Saal Baad Pehli Baar Dunya Ka Most Powerful Operational Rocket ‘Falcon Heavy’ Aik Baar Phir Puri Raftar Say Launch Ho Chuka Hay. Falcon Heavy Ko History Main Sirf 4th Martaba Launch Kia Gaya Hay. 2018 Main Test Flight Hui Thi, Jis Main Rocket Tesla Roadster Ko Space Main Lay Gaya Tha. Ye Car Ab Bhi Space Main Kaheen Ghoom Rahi Hogi. Phir 2019 Main 2 Missions Huay. Aur Ab NASA Kay Kennedy Space Center Say Ye Recent Launch Hua Hay. https://twitter.com/SpaceX/status/1587435644111925251?s=20&t=PCOn9A3S-Zlj3H6bhcPoIQ Ye Rocket 230 Feet Ooncha Hay, Yani SpaceX Kay Doosray Rocket ‘Falcon 9’ Say 3 Times High. Aur…

مزید پڑھیں

Jub Say Elon Musk Aaey Hain, Twitter Employees Ki To Neendain Haram Ho Chuki Hain. Unhain Khatra Hay Kay Company Ki Overhauling Main Un Ki Nokri Na Chali Jaey. ‘Naey Malik’ Nay Deadlines Day Di Hain, Jinhain Poora Karnay Kay Liay Staff Say Din Main 12 Ghantay Aur Haftay Main 7 Din Kaam Expect Kiye Ja Raha Hay. Ye Aik Week Main 84 Hours Bantay Hain. Musk Nay Twitter 44 Billion USD Main Kharida Hay. Ab Sub Ko Khatra Hay Ke Company Say Buhat Say Log Niklain Gay. Waisay Kuchh Barray Nikaal Bhi Diay Gaey Hain. https://raftar.com/raftar-360/minus-india-twitter/ Ab Company Employees…

مزید پڑھیں

India Ki State Gujarat Ka Aik Gaun Hay Modhera, Jo Famous Hay Apnay Sun Temple Kay Liay. 1,000 Saal Puranay Is Temple Kay Baad Is Ilaqay Ko Shohrat Di Hay Solar Power Nay. Modhera Mulk Ka Pehla Solar-Powered Village Bun Gaya Hay. https://twitter.com/Reuters/status/1587690972002979842?s=20&t=0QOyTpJohqCWtQb-jYdsmQ 9.7 Million USD Say Ban’nay Walay Solar Project Kay Liay Paisa Indian Government Aur Gujarat State Nay Mil Kar Diyae. Jis Kay Baad Ye India Ka Pehla Village Hay Jo Totally Solar Power Par Chal Raha Hay. Yoon Local Abadi Ko Bijli Kay Bills Main 100 Percent Tak Bachat Mil Rahi Hay. Yani Yeh Hi Nahi, Balkay…

مزید پڑھیں

Aajkal Dry Shampoos Ka Trend Buhat Chal Raha Hay. Agar Aap Bhi Koi Dry Shampoo Istamal Kar Rahay Hain To Zara Rukan! Aik Martaba Phir Soch Lain, Dekh Lain, Samajh Lain!. Kyunke Consumer Goods Bananay Wali Dunya Ki Barri Companies Main Say Aik Unilever Apnay Dry Shampoos Market Say Utha Chuki Hay. Laikin Kyun? Kyunke Un Main Benzene Kuch Zyada Hi Hay. Aik Carcinogen Chemical Hay Yani Is Say Aap Ko Cancer Ho Sakta Hay. Ye Hum Nahi US Food And Drug Administration (FDA) Kehta Hay. Benzene, Aik Carcinogen Benzene Aisa Chemical Hay Jo Insanon Main Cancer Ki Waja Ban…

مزید پڑھیں

Olympics Kay Baad Dunya Ka Sub Say Barra Sporting Event Hay FIFA World Cup. Jo Bus Shuroo Honay Hi Wala Hay. History Mein Pehli Baar Middle East World Cup Ka Mezban Banay Ga. Qatar Is Event Ko Kamyab Bananay Ki Koshish To Kar Hi Raha Hay, Laikin Sath Hi Apnay Khilaf Propaganda Ko Torrnay Ki Strategies Bhi Bana Raha Hay. Is Silsilay Mein Aik Project Hay Dunya Kay Mukhtalif Mulkon Kay Fans Ko Invite Karnay Ka, Ke Wo World Cup Dekhnay Qatar Aaen. Aur Un Say Expect Bhi Kia Ja Raha Hay Ke Wo Social Media Par Qatar Aur World…

مزید پڑھیں